WhatsApp tips and tricks in hindi | Hello friend aj hum is post me top 15 WhatsApp tips and tricks ke bare me janenge, Agar aap WhatsApp ke daily user hai to ye post aapke liye bahut hi useful aur helpful sabit ho sakti hai. Yaha is post me humne WhatsApp ke kuch latest, secrets, funny and hidden tips and tricks ke bare me bataya hai. 15 best WhatsApp tips and tricks in hindi 2020
Yah to hum sabhi jante hai ki Whatsapp aj ke samay me most popular social messaging application hai, or lagbhag har koi WhatsApp use karta hai. But bahut se logo ko WhatsApp ke sabhi features, tips & trick ke bare me nahi pata hai jo ki WhatsApp hume provide karta hai.
WhatsApp par naye naye features roj ate rahte hai, jiske bare me jyadatar log nahi jante hai. So aj mai aapko is post me aese hi 15 WhatsApp tips and tricks in hindi ke bare me bataunga jinke bare me sayad hi aap pahle se jante honge.
WhatsApp Tips and Tricks in Hindi 2020
1. Real-time Location Sharing
Real-time location sharing WhatsApp ka ek bahut hi badhiya feature hai iski madad se aap apne friends, family, etc. ko asani se track kar payenge.
Is feature ki madad se aapke sath jis friend ne real-time location share ki hui hai aap uske live location ko track kar sakte hai, agar wo ek jagah se dusre jagah par move bhi ho raha hai to bhi aap uska location jan payenge ki wo kaha kaha ja rahai hai.
Yah feature tab jyada useful hoga jab koi aapka friends ya koi or aapke paas a raha hai or use aapka location nahi pata to aap is feature ka use kar uske live location ko trace kar sakte hai.
Is feature ko on karne karne ke liye sabse pahle aap aapne whatsapp ko open kar lijiye.
- Ab us contact ko select kar chat ko open kar lijiye jiske sath aap real time live location share karna chahte hai, uske baad niche attach file wale option me click kar location ke option par click kar dijiye.
- Ab next page me aapko ek Share live location ka option dikhega us par click karne ke baad time set kar dijiye 15 minutes, 1 hour ya 8-hour kitne der tak aap usko track karna chahte hai, uske baad send ke button par click kar dijiye, Ab wo aapke live location ko dekh kar pata laga sakta hai ki aap kaha hai.
Note: Is features ka use karte samay aapke phone ka location on hona chahiye.
2. Formatting Text
Agar aap kisi ko message send kar rahe hai or aap us text ka format change karna chahte hai jaise ki agar aap kisi word ko Bold, italic, underline karna chahte hai to aap is whatsapp trick ki madad se kar sakte hai.
- Bold – Agar ap kisi text ko bold karna chahte hai to ap us word ke start or end me (*) ka sign laga dijiye. Ex – *elearninhindi*
- Italic – Italic style me likhne ke liye aap us word ya text ke start or end me ( _) is sign ko laga dijiye. Ex – _elearninhindi_
- Strikethrough – Agar aap kisi text me strikethrough lagana chahte hai to aap us text ke start or end me (~) is sign ko add kar dijiye. Ex – ~elearninhidi~
3. Hide Chat
Kai bar hum apne kuch friends ke sath kiye huye chat ko hide karna chahte hai jisse ki koi humare us chat ko na dekh paye to agar app bhi apne chat ko hide karna chahte hai to aap is hide chat feature ki madad se kar sakte hai.
Chat hide karne ke liye sabse pahle us chat ko select kar lijiye jise aap hide karna chahte hai, uske baad aap us chat ko long-press kijiye fir upar ek down arrow option a jayega us par click kar dijiye, Ab aap dekhenge ki aapki wo chat hide ho gayi hogi.
Agar aap us chat ko unhide karna chahte hai to aap apne whatsapp contact me jaye or us contact jise aapne hide kiya tha use select kar koi bi message send kar dijiye wo automatically hi unhide ho jayega or wo chat history me show hone lagega.
4. Know When Read Your Message
Whatsapp par apne jo message send kiya hai wo agar blue tick ho jata hai to aap jan lete hai ki apne jise message send kiya tha usne apka message read kar liya hai but kya ap ye jante ki aapka wo message kitne time pahle read kiya gaya hai agar nahi to aap is trick se easily jan sakte hai.
Send kiya hua message kis time me read kiya gaya hai ye janne ke liye sabse pahle aap us messages ko select kar long press kar lijiye fir upar right corner par 3 dots ke option par click kar info par click kar dijiye, ab yaha se aap dekh sakte hai ki apka wo message kitne time me read hua hai.
5. Hide WhatsApp Status(Story)
Agar aap apne whatsapp status (story) ko kisi ek user ya kuch khas user ko nahi dikhana chahte hai to ap is trick ki madad se kar sakte hai.
Whatsapp story hide karne ke liye sabse pahle aap apne whatsapp ko open kar lijiye.
- Yaha se status wale tap me click kare.
- Ab yaha se right corner par bane 3 dots par click kar status privacy ke option par click kar dijiye.
- Ab yaha se My contacts except wale option par click kar un contact ko select kare jinse ap apna status chupana chahte hai, Uske baad done kar dijiye, Ab ap jo bhi status dalenge wah status in contacts ko nahi dikhega.
6. Auto Reply
Aap apne WhatsApp me auto-reply set kar sakte hai, iska benefit yah hai ki agar ap kahi busy hai or aap us samay kisi ke message ka reply nahi de skate to ap auto reply ki madad se automatically hi aapka wo set kiya hua message send ho jayega.
Auto reply ke liye sabse pahle aapko apne phone me ek app download karna hoga Auto-Reply for whats. App ko install karne ke baad ap us app ko open kare or notification me auto-reply for whats ko enable kar de.
Ab auto-reply for all messages ko enable kar dijiye or niche message type kar dijiye jise aap auto reply me send karna chahte hai.
7. Pin Chat
Humare Whatsapp me daily bahut sare messages ate hai or new message ane par pahle wale message niche hote chale jate hai aese me agar hume old message ko dekhna hota hai to use search karna thoda muskil hoti hai, to aese me agar aap kisi khas contact ya group ko hamesha top par rakhna chahte hai to aap is feature ki madad se kar sakte hai.
Sabse pahle aap us contact ya group ko select kar lijiye jise aap top me rakhna chahte hai. Uske baad ap us par long press kar upar top me pin ke icon par click kar dijiye. Ab aapka wo contact ya group top me hi rahega chahe kitne bhi new messages aye.
8. Read Deleted Whatsapp Messages
Whatsapp par aye message ko aapke read karne se pahle hi delete kar diya hai to aap is trick ki madad se un deleted messages ko padh sakte hai. WhatsApp delete message kaise dekhe.
9. Edit Picture
Whatsapp se image send karte samay aap us image me kuch text, stickers, effects, etc. add karna chahte hai to whatsapp ke is trick ki madad se kar sakte hai.
Sabse pahle aap us image ko select kar lijiye jise ap send karna chahte hai ab yaha image ko edit karne ke kai options mil jayenge aap yaha se image me jo bhi text, filter, crop, etc. add karna chahte hai add kar send kar sakte hai.
10. Send a Message to All Friends at Once
Whatsapp par ap apne kuch khas friends ko ek sath message send karna chahte hai to whatsapp broadcast feature ka use kar aisa kar skate hai.
Kai friends ko ek sath message send karne ke liye sabse pahle aap apne whatsapp ko open kar right side me 3 dots ke option me click kar New broadcast ke option par click kar dijiye, ab un sabhi contact ko select kar lijiye jise ap ek sath message send karna chahte hai. Ab niche right ke sign par click kar dijiye, ab aap jo bhi message send karenge wo message ek hi bar me jin jin ko aapne broadcast me add kiya tha sabhi par send ho jayega.
11. Invite Friends to Join Your Group Through Links
Agar apka koi WhatsApp group hai or aap us group me kisi ko add karna chahte ho but apke paas uska number nahi hai to ap use link ke madad se apne group me add kar sake hai.
Group link create karne ke liye sabse pahle ap apne us group ko open kar lijiye, uske baad upar group name par click kar lijiye, ab next page me aapko niche Invite via link ka option milega us par click kar dijiye.
Ab aapko aapke group ka ling mil jayega jise aap copy kar kahi bhi share kar sakte hai, uske bad koi bhi us link par click kar apke group me join ho sakta hai.
12. Shortcut to Conversation
Agar aap kisi whatsapp contact ko apne home screen me shortcut banana chahte hai taki apko usse chat karne ke liye bar bar whatsapp app ko open karke use search karne ki jarurat na pade.
Whatsapp par kisi contact ka shortcut banane ke liye sabse pahle ap us contact ko select kar long press kare fir upar right side me 3 dots ke option par click kar add chat shortcut par click kar dijiye.
Ab wo contact apke home screen me show hoga jab bhi apko usse chat karni ho to apko whatsapp app ko open karne ki jarurat nhi hai aap home screen me bane us shortcut par click kar usse chat kar sakte hai.
13. Hide WhatsApp Group Photos and Videos From Gallery
Whatsapp me sabhi ke kai sare groups hote hai jinme log photos, videos share karte rahte hai, aese me wo sabhi videos, photos apke gallary me save hoti hai, Agar ap whatsapp group me aye photos, videos ko apne gallary se hide karna chahte hai to ap is trick ki madad se easily kar sakte hai.
Sabse pahle ap us whatsapp group ko open kar group name par click kare. Ab yaha se Media visibility wale option par click kar No ke option par tick kar ok kar dijiye. Ab jab bhi group me koi photos, video share hogi wo apke gallary me save nahi hogi.
14. Delete Photos, Videos From a Particular WhatsApp Group or Contact
Agar ap WhatsApp se kisi particular group ya contact ke video, photos, chat, audio ect ko delete karna chahte hai to ap is trick ka use kar aesa kar sakte hai. Sabse pahle ap whatsapp ko open kar lijiye.
- Ab yaha se setting ke option me jakar Data and storage usage par click kar dijiye.
- Ab Storage usage par click kar dijiye, ab aapke whatsapp group or contact dikh jayenge.
- Yaha se aap us contact, group ko select kar lijiye jiska aap data delete karna chhate hai, uske baad niche Free up space par cick kar dijiye.
- Ab aap us data(video, photo, GIFs, audio, etc.) ko select kare jise ap delete karna chahte hai, fir last me Delete item par click kar dijiye.
15. Change WhatsApp Chat Background
Agar ap WhatsApp chat background me apni ya koi other photo ko set karna chahte hai to ap whatsapp ke is feature ka use kar whatsapp default background chat wallpaper ko change kar sakte hai.
Sabse pahle WhatsApp ko open kar setting ko open kar lijiye. Ab Chats ke option par click kar Wallpaper par click kar dijiye, Ab ap yaha Gallary, default, wallpaper library, etc. se wallpaper select kar chat backgrounds me set kar sakte hai.
To ye hai top 15 WhatsApp tips and tricks in hindi, jinke bare me every WhatsApp user ko pata hona chahiye.
Ummid karta hun ki aapko ye 15 WhatsApp tips and tricks in hindi post achi lagi hogi, Agar apke man me is post se related koi bhi question ho to ap niche comment me puch sakte hai.