Top 10 Facebook Tips And Tricks In Hindi

Facebook tips and tricks in hindi | Hello friends aj hum is post me top 10 Facebook tips and tricks ke bare me janenge jinka use kar aap facebook ko aur bhi ache se use kar payenge. Agar aap bhi ek facebook user hai to aapko bhi in Facebook tips and tricks ko apne facebook profile me ek bar jarur try karna chahiye yah sabhi FB tips and trick bahut hi interesting aur amazing hai.

Facebook Tips And Tricks In Hindi

Jaisa ki hum sab jante hai ki Facebook ek no.1 social networking site hai, jiska use lagbhag sabhi log karte hai. Facebook ka use kya hai? aur ise kaise use karte hai yah to sabhi log jante hai, but facebook par kuch aesi hidden tricks and features bhi hai jinke bare me bahut km log hi jante hai. Agar aap bhi facebook ke secret tips and trick ke bare me janna chahte hai to aap is post ko last tak padhe is post me mai aapko top 10 Facebook tips and tricks ke bare me bataunga jo ki aapke liye useful ho sakte hai.

Top 10 Facebook Tips and Tricks in Hindi

To chaliye ab jan lete hai un facebook secrets tips and tricks ke bare me jinka use kar aap apne facebook profile ko aur bhi acha bana sakte hai.

1. Facebook Login Notification Alert Start Kaise Kare

Facebook login alert feature ko use karne ka yah fayda hai ki jab bhi aapka facebook account kisi other device me login hota hai to aapko ek notification ayega jisse aap jan sakte hai ki aapka facebook account ko login kiya ja raha hai, So is prakar aap apane facebook id ko secure rakh sakte hai is feature ka use karke.

Facebook login notification alert on karne ke liye sabse pahle aap apne facebook me login kar lijiye, uske baad Settings>Security and login>Get alerts about unrecognized logins>Get notification>Save changes par click kar dijiye.

facebook notifications on hindi

Ab jab bi aapka facebook account kahi or log in hoga to aapko ek notification a jayega jisme bataya jayega ki aapka account kitne der pahle, kis location se, or kis browser se log in kiya hai.

2. Facebook Me Games Kaise Khele

Agar aap game khelne ke shaukeen hai to aap apne faebook friends ke sath FB messenger me online game khel sakte hai.

facebook messenger me online game khelne ke liye sabse pahle aap us friend ko select kar lijiye jiske sath aap game khelna chahte hai, uske baad us friend ke chat ko open kar emoji ke option par click kar dijiye, ab yaha basketball ya football ke icon ko select kar send kar dijiye, send karne ke baad aap us ball pe double click kar denge to aapke samne ek new window open hogi jaha se aap us game ko khel sakte hai.

facebook game

Isi tarh agar aap apne friends ke sath chess khelna chahte hai to uske liye aap us friend ke chatbox ko open kar message me @fbchess play likh kar send kar dijiye, jaise hi aap message send karenge to ek chessboard open ho jayega.

3. Facebook New Feed Save to See & Read latter

Facebook par kabhi koi aesi post, image share karta hai, jo hume bahut pasand a jati hai, but kabhi kabhi time na hone ke karan hum us post ko us samay padh dekh nhi pate, aise me hum chahte hai ki is post ko hum baad me dekh paye, But facebook me har second kai sare post share hoti hai jiski karan aapki pasand ki wo post chup jati hai or agar hum use search karna chahte hai to badhi muskil hoti hai, is problem se bachane ke liye aap is fb trick ka use kar us post ko save kar use baad me jab chahe tab padh, dekh sakte hai.

Post ko save kaise kare? post ko save karne ke liye sabse pahle aap us post jise aap save karna chahte hai us post ko select kar right corner me bane 3 dots par click kar dijiye, ab yaha first me hi aapko Save post ka option dikhega is par click kar dijiye, ab aapki wo post save ho gayi hai ab aap us post ko jab chahe tab dekh sakte hai.

fb save post

Save ki gayi us post ko dekhane ke liye aap facebook ke home page me akar left sidebar me Explore>Saved ke option par click kar dekh sakte hai.

fb save post hindi

4. Facebook Me Auto Play Video Off Kaise Kare

Jaisa ki aapne dekha hoga ki jab bhi hum facebook use karte hai to usme agar kisi ne koi video share kiya hai to wo video automatically hi play hone lagti hai, aese me agar aap nhi chahte hai ki video automatically play na ho to aap is feature ka us kar use off kar sakte hai.

Video auto play ko band karne ke liye sabse pahle aap apne facebook me login kar lijiye uske baad Settings>Videos>Auto-play videos>off kar dijiye.

how to off auto play video in facebook

Mobile app me Profile>app setting>autoplay>never autoplay videos.

5. Facebook Last Seen Ko Kaise Hide Kare

Facebook par jab hum kisi ko message send karte hai to uske baad hum jan sakte hai ki usne aapka wo message dekha hai ya nahi, But agar aap nahi chahte hai ki jis friend ka message aap padhe aur use pata na chale to apne Seen wale option ko hide kar sakte hai. 

Facebook me aesa koi feature abhi available nahi hai ki jiski madad se hum apne seen ko hide kar sake, but yaha mai aapko ek aisa trick bata raha hun jisse aap apane facebook seen ko hide kar sakte hai.

Is trick ke liye aapko Google chrome browser me ek Unseen for facebook extension ko install karna hoga. Is extension ko install karne ke baad ise enable kar dijiye ab aapka facebook seen ka option nhi dekhai dega.

6. Facebook Par All Messages Ko Ek Sath Kaise Delete Kare

Agar aapke facebook me bahut sare message ho gaye hai or aap unhe delete karna chahte hai, but agar aap ek ek message ko select kar delete karenge to aapka bahut jyada time lagega aese me aap is trick ka use kar un sare message ko ek sath delete kar sakte hai.

Facebook ke all message ko delete karne ke liye aapko apne google chrome browser me ek facebook-delete all messages extension ko install karna hoga.

Is extension ko install karne ke baad aap ise open kar lijiye, uske baad isme aapko ek Delete All Messages aur Choose & Delete ka option dikhega, Agar aap apne facebook se sabhi friends ke messages ko delete karna chhate hai to aap Delete all messages par clcik kar sare message ko ek sath delete kar sakte hai aur agar aap kuch selected friends ke message ko delet karna chahte hai to aap choose & delete wale option ko select kar message ko delete kar sakte hai.delete all messages in fb

7. Facebook Post Ko Selected Friends Se Kaise Hide Kare

Jab hum facebook par koi new post share karte hai to wo post humare sare facebook friends ko show hoti hai, but kabhi kabhi koi aesi post, photo, video hoti hai jise hum nahi chahte hai ki wo post sabhi friends ko show ho to aese me hum facebook ke is feature ka use kar hum us post ko selected friends se hide kar sakte hai.

Sabse pahle aap apane facebook me login kar lijiye, uske bad post likhiye, ab post ko publish karne se pahle privacy ke option me by default Public set hua hoga us par click kar Friends except ke option par click kar dijiye, ab apke facebook friends ki list show hogi usme se jin friends ke sath aap apni is post ko hide karna chahte hai unhe select kar lijiye fir Save changes par click kar us post ko publish kar dijiye. Ab yah post apke un selected friends ko show nahi hogi.

facebook-post-tips-and-tricks

8. Facebook Post Comment Notification Ko Kaise Band Kare

Jab hum facebook par kisi ke post me comment karte hai to uske baad us post me jitney bhi comment ate hai to un sabhi ki notification humare paas bhi ati hai, or bar bar notification ane ke karan hum pareshan ho jate hai aese me hum chahte hai ki us post par ke comment ki notification humare pass na aye to hum is feature ka use kar un notification ko band kar sakte hai.

Notification band karne ke liye sabse pahle aap us post ke right corner me 3 dots ke option par click kar dijiye, ab waha par aapko ek Torn off notification for this post ka option dikhega us par click kar dijiye, Iske baad ab us post me koi comment karta hai to uska notification aapko nahi ayega.

turn of notification in hindi

9. Facebook Id Ko Sabhi Jagah Se Ek hi Baar Me Kaise Logout Kare

Agar aap kabhi apne facebook id ko kisi friends ke mobile, laptop ya kahi or log in kar karte hai or aap us jagah se apne id ko log out karna bhul jate hai to aap is trick ka use kar apni fb id ko ek hi bar me sabhi jagah se logout kar sakte hai.

Sabse pahle aap apne facebook me login kar Settings>Security and login>Where you’re logged in ka option dikhega yaha wo sabhi list show hogi jaha jaha apki id login huyi hai, ab yaha se aap jis bhi device se apni id ko log out karna chate hai use select kar Log out kar dijiye.

facebook logout kaise kare

Agar is list me aapko koi esa device dikhata hai jo aapne use nahi kiya to aap samaj jaye ki aapki id koi or bhi use kar raha hai. To aap turant apne password ko change kar dijiye.

10. Facebook Par Secret Messages Kaise Send Kare

Agar aap facebook par apne kisi friends ko koi personal messages bhejte hai, or aapko dar laga rahta hai ki kabhi kahi aapka phone kisi friends, family ne use kiya or unhone un personal messages ko padh liya to kya hoga? Iese me agar aap chahte hai ki koi bhi aapke un personal messages ko na dekh paye to aap facebook ke is feature ka use kar apne messages ko private rakh sakte hai.

Is feature ka use aap Facebook messenger app me hi kar sakte hai.

Secret message send karne ke liye sabse pahle aap messenger app ko open kar lijiye, ab jis friend ke sath secret message karna chahte hai use select kar le, fir right top corner par i wale icon par click kar lijiye, ab yaha par aapko ek Go to Secret Conversation ka option milega is par click kar dijiye.

Ab message type wale box me aapko ek time ka icon milega is par click kar aap time set kar sakte hai ki aapke dwara send kiya message kitne der bad automatically delete honi chahiye. 

facebook secret chat in hindi

To yah hai kuch Facebook tips and tricks in hindi jinka use kar aap apne facebook account ko or bhi ache se use kar payenge. Yah sabhi facebook tips and tricks in hindi bahut hi kaam ki hai, Inhe aap ek bar jarur try kare. 

Ummid karta hun ki aapko ye top 10 Facebook tips and tricks in hindi post achi lagi hogi, or agar aapke man me is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment