5 Pen Drive Tips and Tricks In Hindi

Pen drive tips and tricks hindi | Hello friends aj hum is post me Pen drive ke kuch useful tips and tricks ke bare me janenge. pen drive ka use normally hum data store ya data transfer karne ke liye karte hai, But iske alawa pen drive ka use kai aur tariko se bhi kiya ja sakte hai. Agar aap bhi pen drive use karte hai to ye post aapke liye useful hogi, yaha mai jin pen drive tips and tricks ke bare me bata raha hun ye sabhi ek pen drive user ko pata honi chahiye.

pen-drive-tips-and-tricks-in-hindi

5 Pen Drive Tips and Tricks in Hindi 2019

1. Pen Drive Par Photo Kaise Lagaye

Jab hum apne pen drive ko pc, laptop me connect karte hai to waha par ek drive ka icon ban ke ata hai aese me agar aap chahte hai ki is icon ki jagah aap apni photo ko lagana to aesa possible hai.

Pen drive par photo lagane ke liye sabse pahle pen drive ko apne computer me insert kijiye.

  • Ab ek image select kar lijiye jise aap apne pandrive par lagana chahte hai,
  • Ab aap us image ko paint me open kar uske file format ko change kar BMP kar ek new folder me save kar dijiye.
  • Ab ek notepad file create karna hai iske liye aap notepad ko open kar lijiye uske baad is code ko type kijiye.

[autorun]

icon = new.bmp

Note: Yaha = ke baad new ke jagah aapko us image ka name likhna hai jisko aapne .BMP format me save kiya tha.

  • Ab is file ko save kar dijiye, file ko save karte samay aapko file name me autorun.inf rakhna hai or save as type me All Files ko select karna hai. dhyan rahe ki is file ko bhi aapko usi folder me save karna hai jaha image save ki thi.pen drive me image kaise lagaye
  • Ab aap is notepad file or image ko apne pen drive me copy kar lijiye, uske baad pen drive ko apne pc se nikal kar dobara lagani hai, ab aap dekh sakte hai aapke pen drive me wah photo set ho chuki hogi.

Note : Jab tak aapke pen drive me yah 2 file image or notepad file hogi tab tak aapke pen drive me image show hogi, agar aap in dono file ko delete kar dete hai to pen drive me image show nahi hoga.

2. Corrupted Pen Drive Ko Kaise Thik Kare

Kai bar humare pen drive corrupt ho jate hai or wo open nahi hote or agar hum use format karna chahe to bhi nhi hota aese me hum us pen drive ko kharab samjh kar fek dete hai. Corrupted pen drive ko fekne se pahle aap is trick ko ek bar jarur try kare.

Corrupted pan drive ko thik karne ke  liye sabse pahle aap use apne pc, laptop me insert kijiye uske baad apne pc, laptop me command prompt  par right click kar Run as administrator par click kar open kar lijiye.

  • Ab yaha diskpart likh kar enter kar dijiye. Ex – c\windows\system32>diskpart
  • Ab diskpart ke baad list disk likh kar enter kar dijiye. Ex – DISKPART> list disk
  • Ab yaha jitney bhi aapke disk hai sabhi dikh jayenge jisme se ek disk aapke pen drive ka hoga, pen drive disk ko select karne ke liye aap is code ko likhe.

Ex – DISKPART>select disk 1 (jis bhi disk me aapka pen drive hai wo likhe agar aap galat disk select karte hai to aapke kisi or disk ka data kharab ho jayega) enter press kar dijiye.

  • Ab aapka wo disk select ho gaya, ab aapko clean likhar enter kar dena hai. Ex –DISKPART>clean or enter.
  • Ab aap exit likh enter kar dena hai. Ex – DISKPART>exit or enter.
  • Ab last me ek bar or exit type kar enter kar dijiye. Ex – c\windows\system32>exit

Ab aap apne pen drive ko remove kar reconnect kar dijiye, ab aap check kar sakte hai ki aapka wo corrupted pen drive thik ho gaya hoga.

3. Pen Drive Ko Apne PC/Laptop Ka Password Kaise Banaye

Hum apne pc ya laptop me kitna bhi strong password set kar le fir bhi hume ye dar laga rahta hai ki koi humare gair mojudgi me humare pc, laptop ka password pata kar usme padi personal data ko na dekh le to aese me aap apne pen drive ko apne pc, laptop ka password bana sakte hai. Uske baad aapka pc, laptop kisi ke paas bhi ho jab tak ki aap us pen drive ko apne pc, laptop me nahi lagayenge tab tak wah pc, laptop kaam nahi karega.

Pen drive ko pc, laptop ka password banane ke liye sabse pahle aapko apne pc, laptop me pen drive ko insert ka lijiye, Ab aapko ek predator name ke software ko install karna hoga uske baad aap us software me apna password set kar dijiye, ab jab aap apne pc me apne us pen drive ko connect karenge tabhi aapka pc kaam karega.

Note : Aap apne us pen drive jise aapne key password banaya hai use secure rakhe, agar aapka wo pen drive kho jata hai ya kharab ho jata hai to aapko apne pc, laptop ko open karne me problem ho sakti hai.

4. Pen Drive Me Password Kaise Lagaye

Agar aapke pen drive me personal data hai jise aap kisi or ko nahi dikhana chahte hai to aese me aap apne pen drive me password laga kar rakh sakte hai uske baad jab bhi koi aapke pen drive ko open karega to pahle use password dalna hoga uske baad hi wo pen drive open hogi.

  • Pen drive me password lagane ke liye sabse pahle aap apne pen drive ko pc se connect kar lijiye fir drive me right click kar Turn on BitLocker ke option me click kar dijiye.
  • Ab yaha se Use a password  to unlock the drive wale option me tick kar password dal Next ke button par click kar dijiye.

pen drive me password kaise lagaye

  • Ab yaha se Save to file ke option par click kar file ko save kar lijiye, iska use ye hai ki agar aap apna password bhul jate hai to aap is file ki madad se apne password ko recover kar sakte hai.

password kaise lagaye

  • Ab is next page me Encrypt used disk space only wale option me tick kar Next ke button par click kar dijiye.
  • Ab agale page me Start encrypting ke button par click kar dijiye. Uske baad jab ye 100% process ho jayega to aap apne pen drive ko pc se ek bar remove kar dobara connect kar dijiye, Ab aapke pen drive me password set ho gaya hai.

5. Pen Drive Ko Password Reset Disk Kaise Banaye

Kai bar hum apne pc, laptop ka password bhul jate hai aese me hume apne pc ko start karne ke liye format karna pad jata hai to agar aap pahle se hi apne pc ka password reset disk bana lete hai to uske baad agar aap password bhul bhi jate hai to aap us password ko easily reset kar sakte hai.

Pen drive ko password reset disk banane ke liye sabse pahle aap apne pen drive ko apne pc, laptop me connect kar lijiye, Uske bad pc, laptop me control panel ko open kar user account ko select kar lijiye, Ab yaha par aapko ek Create a password reset disk ka option milega is par click kar next next kar dijiye.

Ab aapse Current user account password pucha jayega waha par aap apne pc ka password dalkar Next kar dijiye, Ab aapka password reset disk ban chuka hai.

Ab jab bhi aap apne pc ka password bhul jayenge to aap is pen drive ko apne pc se connect kar password window me ek bar wrong password dal dijiye, uske baad aapko ek reset password ka option milega jis par click kar new password generate kar sakte hai.

To ye hai kuch useful pen drive ke tips and trick in hindi, Is tarh se aap apne pen drive ka use kai tarh se kar sakte hai.

Ummid karta hun ki aapko ye pen drive tips and tricks in hindi post achi lagi hogi, agar aapke man me is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment