Computer ki speed badhane ke tarike | Hello friends aj hum is post me laptop computer ki speed kaise badhaye? ke bare me janenge. Agar aap bhi apne computer, laptop ke slow, hang hone se pareshan hote hai ye post aapke liye helpful & useful rahegi. Is post me mai aapke sath 10 best aese tips share karunga jinki madad se aap apne computer, laptop ki speed ko badha sakte hai.Jaise jaise humara computer laptop purana hota jata hai to uski speed me kami ati hai. jiske karan us computer par kaam krna thoda muskil ho jata hai, or hum apne computer ko format karwate hai jisse humare computer se important data delete ho jata hai. But format karne ke aalawa humare paas aur bhi bahut se tarike hai jinki madad se hum apne laptop computer ki speed ko badha sakte hai.
Computer, laptop ki speed km hone ke bahut se karan hote hai, Yaha is post me hum aapko kuch aesi tricks and setting ke bare me bate rahe hai jinhe follow kar aap apne laptop computer ki speed ko badha sakte hai.
Laptop Computer Ki Speed Kaise Badhaye
1. Recycle Bin Folder Ko Empty Rakhe
Dosto jaisa ki hum sab ko pata hai ki agar hum apne computer se koi bhi files, folders delete karte hai to wo file, folder directly delete na hokar recycle bin me store ho jati hai. So agar aapki wo delete ki hui file important nahi hai to use aap recycle bin folder se bhi delete kar de, Kyunki recycle bin ki file humare pc ya laptop ke C drive me store hoti hai jiske karan computer, laptop ki speed me kami a sakti ahi. So computer ki speed ko badhane ke liye recycle bin folder ko hamesha empty rakhe.
2. Delete Temporary Files
Apne computer, laptop se 2, 3 din me temporary files ko delete karte rahe isse aapki computer, laptop ki speed badhegi.
Temporary file ko delete karne ke liye sabse pahle aap apne laptop computer par run command (Window+r) ko open kar lijiye.
Ab yaha %temp% likh kar enter kar dijiye, ab kuch temp file open hogi use aap all select(ctrl+a) kar delete kar dijiye.
Isi tarah fir run command ko open kar usme temp type kar enter kar dijiy or sari file ko select kar delete kar dijiye.
3. Unwanted Software Ko Uninstall Kare
Jin software ko aap use nahi karte hai unhe uninstall kar de or sath hi unwanted startup program ko bhi disable kar dijiye ye iese program hote hai jo aapke computer, laptop ke on hote hi automatically start ho jate hai jinka koi use nahi hota fir bhi wo background me chalte rahte hai, jiske karan computer slow hota hai.
Unwanted startup program ko disable karne ke liye aap sabse pahle task manager (ctrl+sift+esc) ko open kar lijiye uske baad startup ke option par click kar unwanted program ko disable kar dijiye. Is tarh aap unwanted software ko uninstalled kar computer ki speed badha sakte hai.
*Yaha par aap kisi Microsoft program ko disable na kare.
4. Desktop Screen Clean Rakhe
Dosto kai log apne computer, laptop ke desktop screen me kai sare files ko save karke rakhte hai, jisse ki computer ki speed me kami ati hai, kyunki jitni bhi file desktop screen me save hoti hai wo sabhi file direct C drive me save hoti hai. So apne computer ke desktop screen par aap jarurat ke hisab se files ko rakhe, or extra files ko kisi other drive me save karke rakhe.
5. Local Disk Drive Cleanup Kare
Apne computer, laptop ki local disk ko hamesha clean karte rahe disk ko clean karne se apke computer ki speed increased hoti hai.
1. Disk clean karne ke liye sabse pahle aap us local disk ko select kare jise aap clean karna chahte hai. Example ke liye yaha mai C disk ko select kar leta hun.
2. Uske baad us par mouse se right click kar properties par click kijiye.
3. Ab yaha aapko general tap me Disk cleanup ka button dikhega us par click kar dijiye.
4. Ab ek dialog box open hoga usme file to delete ke under jitni bhi file hai unhe tick kar clean up system files ke button par click kar dijiye.
5. Uske baad processing hogi jisme unwanted, corrupt file ko calculate kiya jayega processing complete hone ke baad ek or dialog box open hoga us me ok ke button par click kar dijiye.
6. Jaise hi aap ok ke button par click karenge to ek or popup open hoga jisme delete file ka option hoga us pe click kar dijiye. Uske baad us disk me jitni bhi unwanted or corrupt file hongi wo sabhi delete ho jayengi.
6. Ek Antivirus hi Install Kare
Aksar log apne computer, laptop ko virus se bachane ke liye kai sare free ke antivirus install karte hai, Jinke karan computer, laptop ki speed me kami aati hai.
So humesha aap apne computer, laptop me ek hi antivirus ko install kare or register antivirus ka hi use kare.
7. System Performance
Iska use kar aap computer, laptop ki speed ki performance ko increase kar sakte hai.
1. Sabse pahle aap apne computer me control panel ko open System ke option par click kar lijiye.
2. Ab ek new page open hoga yaha par aapko ek advanced system settings ka option dikhega is par click kar djiye.
3. Jaise hi aap is option par click karenge to ek dialog box open hoga waha par setting ka option hoga us par click kar dijiye.
4. Ab ek or dialog box open hoga yaha par by default let windows choose what best for my computer ke option me tick hota hai ise aap change kar adjust for best appearance par tick kar dijiye. Uske baad apply pe click kar ok par click kar dijiye.
8. C Drive Me Space Rakhe
Apne computer, laptop ki local disk drive ko full na rakhe apne drive me kuch khali space rakhe, especially C drive me, C drive sabse important drive hoti hai, isi drive me humare system ke sabhi jaruri software stored rahte hai. C drive me aap apni personal data ko na rakhe.
9. Restart Regularly
Aap apne computer, laptop ko weak me 2,3 bar restart jarur kare isse ye hota hai ki aapke jitney bhi unwanted program chal rahe hote hai wo close ho jate hai jisse ki aapke computer ki speed increased ho jati hai.
10. Browser History Delete Kare
Aap apane internet history ko delete karte rahe kyunki jab humare internet ki history jyada ho jati hai to isase huamre computer ki speed me kami ati hai, So aap apne computer se internet history ko delete kar diya kijiye jisse ki computer ki speed achi hogi.
I hope aapko ye computer ki speed kaise bahdaye post achi lagi hongi. Agar aapke man me computer, laptop ki speed kaise badhaye se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.