Hello, friends aj hum is post me SEO kya hai? SEO kyu karte hai? ke bare me janenge. Agar aap ek Website Blog owner hai to aapko basic SEO ki jankari hona bahut jaruri hai, SEO website blog ke liye kyu jaruri hai? SEO kaam kaise karta hai? etc. SEO ke bina aap apni website blog par search engine se organic traffic nahi pa sakte hai. So aaj mai aapko yaha iske bare me simple way me bataunga ki SEO kya hai aur SEO kyu karte hai.
SEO Kya Hai ? What is SEO In Hindi
SEO ka pura name Search Engine Optimization hota hai. SEO ka use hum Website, Blog par search engines se organic traffic increase karne ke liye karte hai.
Koi bhi website blog banane ka main purpose us site ko jyada se jyada log dekhe se hai. Aur SEO jyada se jyada log us website blog ko dekhe uske liye SEO karna bahut jaruri hai.
SEO ki madad se hum apni website, blog ki organic ranking increase kar free me search engines me top par la sakte hai.
Simple sabdo me bolun to un sabhi SEO techniques ka use kar apni site blog ko optimize search engines ke top par lana jisse ki website blog par jyada se jyada log aye.
Webiste Blog Ke Liye SEO Ki Jarurat Kyu Hoti Hai?
Jab hum koi online business website ya blog banate hai to hum chahte hai ki humare website, blog par jyada se jyada log aye or aj ke samay me internet par hajaro aesi websites, blog hai jo ki same topic par hoti hai, jiske karan humari website, blog jyada se jyada logo tak nahi pahuch pati or business jyada grow nahi kar pata. Aise me hum apni website, blog ka SEO kar apni website, blog ko search engine me top par la sakte hai aur apni site ko jyada se jyada logo ta pahucha sakte hai.
Agar ek line me bolo to jyada se jyada log humari website, blog ko dekhe iske liye hume apni site ka SEO karna bahut jarurat hoti hai. Website blog par search engines se free traffic pane ka SEO ek best tarika hai.
SEO ko ache se samjhne ke liye aapko sabse pahle kuch basic terms ko samjhna hoga jaise ki Search engine kya hota hai? Major search engine kaun se hai? SERP kya hai? Keyword Research kya hai? etc.
To chaliye ab in basic terms ke bare me thoda thoda jan lete hai ki ye kya hote hai aur kaam kaise karte hai.
Search Engine Kya Hota Hai?
Search engine ek esa software program hai, jo ki internet par information ko search karne ka kaam karta hai.
Search engine internet ke unlimited database se user ke questions ko keyword/phrase ki help se find karta hai or jin sites me usse related information ko hoti hai unhe show karta hai.
Example: Jab bhi hume kisi chij ke bare me koi information leni hoti hai to hum search engine me us information se relative kuch words (Keywords) likhte hai, or uske baad search engine un sabhi sites jin site me me wo word hote hai unhe show karta hai.
Major Search Engine Kaun Se Hai
- Yahoo
- Bing
- Ask.com
Search Engine Kaam Kaise Karta Hai?
Search engine 3 process me kaam karte hai – Crawler>Index >Ranking
Search Engine sabse pahle web page ka Crawling karta hai, fir unhe Indexing karta hai, fir last me Ranking karta hai.
Search engine humari website, blog me Pages, Documents, Content sabhi ko scan karta hai, websites, blog se in sabhi information ko scan karne ke liye search engine software ka use karat hai jinhe Crawler ya Spider ke naam se jana jata hai, or sabhi information ko scan karne ke baad unme se jaruri details ki list banata hai jise crawling kahte hai, Iske baad wah crawler se data lekar apne database me add karte hai is process ko Indexing kahte hai, Fir last me us webpage ke topic or relevance ke aadhar par unhe rank karta hai.
SERP Kya Hai?
SERP ka matlab hota hai Search Engine Result Page yani ki jab aap kisi search engine me koi keywords dalkar kuch information search karte hai to jo webpages show hota hai unhe SERP kahte hai.
Keyword Kya Hote Hai?
Keyword search engine ko aapke website, blog ke bare me batata hai ki wo kis bare me hai.
Keyword SEO ke liye sabse important hai. keyword ki madad se hi log humari website, blog tak pahuchte hai.
Jab aap kisi chij ki information find karne ke liye jo words search engines me type karte hai unhi words ko hi SEO ki bhasha me keywords kahte hai.
Example: Maan lijiye ki aapko Website kaise banaye ke bare me janna hai to aap google search engine me kuch word likhoge jaise ki How to create website ya WordPress par website kaise banaye, etc. to inhi words ko keyword kahte hai, jin bhi websites me in word ko use kiya hoga search engine un sabhi web pages ko show kar dega.
Keywords Kitne Types Ke Hote Hai
Basically keywords 3 type ke hote hai:
- Short Tail Keyword: Ye aese keyword hote hai jo ki 1 word ke hote hai jaise ki SEO, Facebook, etc.
- Middle Tail Keyword: Ye keyword 2 ya 3 word ke hote hai jaise ki On page SEO, How to earn, etc.
- Long Tail Keyword: Ye aese keywords hote hai jinka length jyada hota hai jaise ki Off page seo kaise kare, Facebook se paise kaise kamaye, etc.
Keywords Density
Ek post me keyword ki density (length) post me jitney words hai unke 1-3% tak keyword ka use karna SEO ke liye sahi mana jata hai.
Example: Aapne ek article likha jisme total 1000 words hai, So aap us article me apne main keyword ko 10-12 bar us kar sakte hai.
Keyword Research Kya Hai?
Keywords research SEO ke liye bahut important hota hai. Agar aapko apni website, blog ko SERP me top par lana hai to aapko keyword find karna ana chahiye.
Keyword research ek esa process hai jisme hume sabse pahle ye janna hota hai ki humare website, blog topic se relative wah kaun se words hai jo log sabse jyada search karte hai, aur uske baad un keyword ka use kar hum apni post ko optimize karte hai.
Best Keywords Research Tools
- Google keyword planner (free)
- Semrush.com (paid)
- Ahrefs (paid)
- Ubersuggest (free)
- google.co.in/trends (free)
Keywords Kaise or Kaha Kaha Use Kare
Keyword me stop words ko use karna SEO ke liye sahi nahi mana jata hai, jaise ki By, It, As, ye kuch stop words hai jinka use apne keywords me nahi karna chahiye.
Agar aap ek se jyada keywords ka use karte hai to keywords ko (-) ya (|) se separate kare example: On page SEO kya hai | On page SEO kaise kare.
Aap websites, blog me jitna achi tarah se keywords ka use karenge aapki website, blog utna hi jaldi rank hogi. Keywords ka apne website, blog post me sahi tarike se optimize kare.
- URL: Apne post ke URL me main keyword ka use kare.
- Title: Tittle me keyword ka use kare.
- Image alt-tag: Jab bhi aap apne post me image ka use karte hai to usme alt tag me apne main keyword ko jarur add kare.
- Headings, Meta Description me apne keyword ka use kare.
I hope ki aapko ye SEO kya hai aur SEO kyu karte hai post achi lagi hogi, Agar aapke man me is post se related koi doubt ya question ho to aap niche comment me puch sakte hai.