Computer tips and tricks in hindi 2020 | Hello friends aj hum is post me computer ke top 10 secret tips and tricks ke bare me janenge. In computer tips and trick, ke bare me sayad hi aap pahle se jante honge. In computer tricks ke bare me sabhi computer users ko pata hona chahiye.
Agar aap ek daily computer ya laptop user hai to yaha bataye computer tips and tricks aapke liye bahut hi useful ho sakte hai, kyunki in tricks ka use kar aap apne kaam ko or bhi smart tarike se or jaldi kar sakte hai. Yah tricks aapke daily life me bahut kaam aa sakte hai. To chaliye jante hai ki top 10 computer tricks in hindi kaun se hai?
10 Computer Tips and Tricks in Hindi
1. Old Password Ke Bina Computer Ka Password Kaise Change Kare
Agar aapko apne pc ya laptop ka administrator password ko change karna ho to normally aap apne control panel me user account me jakar old password dalkar aap password change kar sakte hai, But agar aap old password bhul gaye hai to is trick ki madad se bina old password jane new password ko set kar sakte hai.
Sabse pahle aap apne pc ya laptop me command prompt ko open kar lijiye, Uske baad net user likh kar enter kar dijiye.
Ex – C:\Users\pc name>net user press enter.
Uske baad aapke pc ya laptop me jitney bhi account bane hai sabhi show ho jayenge.
Ab C:\Users\pc name> ke age net user or apne pc ya laptop me jo user ka name hoga use daal dijiye fir space dekar aap jo bhi new password rakhna chahte hai usko daal kar enter kar dijiye jaise hi aap enter press karenge to aapka password change ho jayega.
Ex – C:\Users\pc name>net user elearinhindi(pc name) 123456(new password) press enter.
2. Computer Me WiFi Ka Password Kaise Dekhe
Dosto agar aap apne pc ya laptop ke wifi ka password bhul gaye hai ya aap apne kisi friend ka pc ya laptop use kar rhe hai or aapko uska wifi password nahi pata to aap badhi is asani se uske wifi ka password jan sakte hai.
- Sabse pahle aap control panel ko open kar lijiye.
- Uske bad Network and Sharing center ke option par click kar lijiye.
- Ab connections me jakr wifi par click kar dijiye. Is par click karne ke sath hi ek popup open hoga jisme se wireless properties ke button par click kar dijiye.
- Ab ek or popup open hoga usme se Security wale tap me click kar Show characters wale option par tick kar dijiye, uske baad aapko us wifi ka password show ho jayega.
3. Encrypting File and Folder
Dosto humare laptop ya pc me kai easi private ya jaruri file, document, folder hote hai, So aese me hume dar laga rahta hai ki koi humare gair mojudgi me un file, document ko apne pan drive ya memory me copy kar le jakar unka galat use na kar le to aese me aap un file, folder ko encrypt kar sakte hai aesa karne se agar koi aapke us file, folder ko copy karke kisi dusre computer me chalane ki koshis karta hai to wo file nahi chalegi wo file bas aapke computer me hi chelegi.
Iske liye sabse pahle aap us file ya folder ko select kar lijiye jise aap encrypt karna chahte hai, Uske baad right click kar last me properties ke option me click kar dijiye, Ab yaha aapko General tab me ek advanced ka option milega is par click kar dijiye. Ab ek pop up open hoga jaha last me encrypt contents to secure data ka option hoga us par tick kar dijiye uske baad ok kar apply kar dijiye.
4. Make Your Own Shortcut Keys
Is trick ki madad se aap kisi software me apna khud ka shortcut key banakar unhe apne short cuts keys se access kar sakte hai.
Short cut keys banana ke liye sabse pahle aap us software ko select kar lijiye jiska aap shot key banana chahte hai, uske baad right click kar last me Properties ke option par click kar dijiye, ab yaha par aapko Shortcut tap me shortcuts key ka option dikhega waha par aap jo bhi short key rakhna chahte hai use daal kar apply kar ok kar dijiye.
Isme by default ctrl+alt add hokar aata hai. Example agar aap kisi software ka short key A rakhna chahte hai to by default uska short key ctrl+alt+A ho jayega.
5. Computer Me Same Name Ke Folder Kaise Banaye
Normally agar hum same jagah ek hi name ke 2 folder banana chahte hai to computer hume allow nahi karta but aap is trick ki madad se same name ke 2 folder bana sakte hai.
Same name ke folder banana ke liye sabse pahle aap us folder jiska aap same name rakhna chate hai usko rename kare fir Alt daba kar 255 press kar dijiye, uske baad us folder me wo name dal dijiye jo 1st folder me daala tha is prakar aap ek hi name ke 2 folder bana sakte hai.
6. Browser Shortcut Keys
Dosto hum sab computer ya laptop me browser ka to use karte hi hai lekin kya aapko pata hai ki hum browser ke short cut key ka use kar hum apne kaam ko jaldi or professional tarike se kar sakte hai
- Ctrl+t : New tap ko open karne ke liye.
- Ctrl+w: kisi tap ko close karne ke liye
- Ctrl+sift+t : Agar apse kaam karte karte agar koi tab close ho jati hai to aap is shortcut key se use kar open kar sakte hai .
- Alt+home : Is short key se aapka home page open jayega. Maan lijiye aapne kisi website ko open kar rakha hai or aap use close kar home page me jana chate hai to aap is shortcut ki madad se ja sakte hai.
- Ctrl+any number(1-8) : Maan lijiye ki aapke browser me aapne kai sari tab open kar rakhi hai or aap 1st wale tab se 5th wale tab me jana chahte hai to aap ctrl+5 press kar dijiye aap direct 5th tab me chale jayenge.
- Ctrl+sift+del : Is short cut key ki madad se aap apne browser ki history ko clear kar sakte hai
- Ctrl+d : Isaki madad se aap apne page ko bookmark kar sakte hai, maan lijiye apko koi website achhi lagi or aap use bookmark kar ke rakhna chhte hai to aap is key ka use kar use bookmark kar sakte hai.
- Ctrl+j : Is key ki madad se aap download window ko dekh sakte hai.
- ctrl+L : Is key se aapka cursor url me move ho jayega or sab highlight ho jata hai.
- ctrl+n : Open new browser window.
7. Know Website IP address
Agar aapko kisi website ka IP address janna hai to aap is trick ka use kar badi hi asani se jan sakte hai.
Sabse pahle aap command prompt ko open kar lijiye uske baad type kare ping fir space dekar aap jis bhi website ka ip address janna chahte hai uska name daal dijiye, jaise ki google.com ka ip address janna hai to ping google.com likhkar enter kar dijiye. Ab yaha par aapko us website ka ip address shwo ho jayega.
Ex – C:\Users\pc name>ping google.com(jis bhi website ka ip address janna hai uska name daal dijiye) fir enter press kar dijiye.
8. Automatically add www. And .com to a url
Agar aap browser me kisi website ka url jaise ki www.google.com likhte hai to aapko pura likhna padta hai aese me aap chahte hai ki website ka naam likhe or www. or .com automatically hi add ho jaye to aap uske liye website ka name likh kar Ctrl+Enter key ko press kar dijiye uske baad wo website www. Or .com automatically type ho kar open ho jayegi.
9. Computer Me Kisi Folder, File Ko Kaise Hide Kare
Humare pc ya laptop me kai aese folder, file hote hai jinhe hum kisi ko nhi dikhna chahte to aese me aap un file, folder ko hide kar ke rakh sakte hai.
Folder, file ko hide karne ke liye sabse pahle aap us file ya folder ko select kar lijiye jise aap hide karna chahte hai uske baad us par right click kar properties ke option me chale jaye fir general tab me attributes me hidden ke option par tick kar apply par click kar dijiye, ab ek pop up open hoga jaha par aap apply changes to this folder sub folder and file wale option par tick kar ok kar dijiye. Ab aapka wo folder hide ho jayega.
10. Computer Se Temp Files Ko Kaise Delete Kare
Jab hum apne computer me internet surfing karte hai to computer me Temp files store hoti jati hai, Jiske karan computer slow ho jata hai, So hume apne computer se time to time temp fils ko delete karte rahna chahiye.
- Temp file ko delete karne ke liye sabse pahle aap Window key+R ko press kar run command ko open kar lijiye.
- Ab yaha Run command me %temp% type kar enter press kar dijiye. Ab aapke samne sari temp file open ho jayegi unge aap all select kar delete kar dijiye.
- Isi tarh again run command me temp type kar enter press kar dijiye fir jo files open hogi unhe bhi all select kar delete kar dijiye.
So ye hai Top 10 computer tricks in hindi. In trick ka use kar aap apne kaam ko or bhi smart tarike se kar sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko ye Computer tips and tricks in Hindi post achi lagi hogi, Agar aapke man me is post se related ko bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.