Amazon Flex Kya Hai? Aur Isse Paise Kaise Kamaye

Amazon flex se paise kamaye | Hello friends aj hum is post me Amazon Flex kya hai? Amazon flex se paise kaise kamaye? Aur is program ko kaise or kaun apply kar sakta hai? sabhi ke bare me details me janenge. Agar aap part-time kaam kar paise kamana ke liye kisi part time work ki talash me hai to ye post aapke liye helpful ho sakti hai.

amazon flex se paise kaise kamaye

Yah to hum sabhi jante hai ki Amazon ek bahut hi popular eCommerce company hai. Haal hi me eCommerce company Amazon india ne ek naya program Amazon Flex launch kiya hai, Jisme aap amazon India ke sath apne khali samay me part-time kaam kar earning kar sakte hai.

Amazon Flex Kya Hai? What is Amazon Flex

Amazon flex, Amazon company ki Product Delivery Services hai, Yah aapko part-time jobs ki opportunity deta hai. Iske liye aapko is program me signup kar amazon India ki website me ane wale order ke saman ko customer tak delivery karna hota hai, Jiske liye amazon aapko Rs 120-140/Hr tak pay karega or sath hi Insurance jaisi suvidha bhi di jayegi.

Amazon flex program ko amazon bahar ke desh USA, Spain,  Singapur, Germany jaise country me chalata tha but ab yah program amazon ne India ke lie bhi launch kar diya hai. Abhi is program ko amazon India ne Delhi, Mumbai or Bangluru ke liye shuru kiya hai, Or ane wale samay me India ke pure state me is program ko shuru kar diya jayega.

Amazon flex ki sabse achi bat yah hai ki aap is program me apna schedule set kar apni marji ke time par kaam kar sakte hai. Jaise ki aap kis din or kitne hour free hai uske according aap kaam kar sakte hai, or sath hi aap jis bhi area me products delivery karna chahte hai use bhi select kar sakte hai, Yah 7 days open hai jab bhi aapke paas time hai aap us time me is kaam ko kar paise kama sakte hai.

Amazon Flex Program Join Karne Ke Liye Kin Kin Chijo Ka Hona Jaruri Hai?

Amazon flex program join karne ke liye aapko inki kuch condition ko fulfill karna hoga.

  1. Aapki age 18 year ya usse se adhik honi chahiye.
  2. Aapke paas Android Phone hona chahiye.
  3. Two-wheeler or Driving license hona chahiye.
  4. PAN card ka hona bhi jaruri hai.
  5. or aapka Bank account hona chahiye.

Amazon flex program join karne se related adhik jankari ke liye aap yaha click kar padh sakte hai.

Amazon Flex Program Join Kaise Kare?

Amazon flex program join karne ke liye sabse pahle aap flex.amazonflex.in ko open kar lijiye, Ab yaha aap apni detail Name, City, Pincode, Mobile number, Email Id or Type of vehicle ko select kar Get the app ke button par click kar dijiye. Ab aapko amazon flex app download karne ka ek link milega us par click kar app ko apne mobile me download kar lijiye.

amazon flex program kaise join kare

App download karne ke baad aapko us app me puchi gayi sari details jaise ki PAN number, Bank account number, Aap kitne hour free hai, etc. ko fillup karna hai, Uske baad aapka background verification kiya jayega, Verification complete hone ke baad aapko kaam kaise karna hai uski training bhi di jayegi, Sara process hone ke baad aap kaam start kar sakenge.

Amazon Flex Program Se Earn Paise Kaise Or Kab Milenge?

Aapne jo amazon flex ki app download ki hai usme aap apni earning ko check kar sakte hai or aapko aapki earning every Wednesday ko aapke bank account me transfer kar diya jayega.

To is prakar aap apne free samay me part time kaam kar Amazon flex india se paise kama sakte hai.

Ummid karta hun ki aapko ye Amazon flex kya hai? aur isse paise kaise kamaye post achi lagi hogi, Agar aapka Amazon flex program india se related koi bhi question hai to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment