Hindi Typing Kaise Kare? Mobile Aur Computer Me Hindi Me Type Kaise Kare

Hindi me typing kaise kare | Hello friends aj hum is post me mobile aur computer me hindi me type kaise kare ke bare me janenge. Agar aapko office work ke liye ya social site jaise ki WhatsApp, Facebook, ya aap ek hindi blogger hai ya other kisi bhi kaam ke liye hindi me likhna padta hai aur aap bina hindi typing jane apne computer, mobile me english keyword ki madad se easily hindi typing karna chahte hai to ye post aapke liye helpful rahegi. Yaha humne computer aur mobile se bina hindi typing jane hindi me typing kaise kare ke tariko ke bare me details me bataya hai.

hindi me typing kaise kare 2020

Jitna asan hindi bhasha bolne me hota hai utna hi muskil mobile ya computer me hindi me typing karne me hota hai, Humare computer, mobile me english keyword hone ke karn hume apne mobile aur computer me hindi typing karna thoda muskil hota hai.

Agar aap apne english keyword ka use kar hindi me typing karna chahte hai to aap easliy bina hindi typing jane bhi kar sakte hai, Aapko normally hinglish me type karna hoga aur uske baad wah hindi me chnage ho jayega.

Compute Me Hindi Typing Kaise Kare

Computer me hindi typing karne ke bahut se tarike hai but unme se sabse best aur asan Google input tool hai, Yah google ka tool hai, Agar aap easily aur jaldi computer me hindi typing karna chahte hai to is tools se acha koi dusta tool nhi hai ye tool hindi typing ke liye bahut hi badhiya tool hai.

Iski sabse achi bat yah hai ki isme aap hindi ke sath other kai sari langauges jaise ki Marathi, Urdu, Kannada, Tamil, etc. kai sari language me easily typing kar sakt hai.

Step1: Sabse pahle aap apne browser me google input tool ko search kar kar open kar lijiye.

Step2: Ab yaha se aap uper menu me Try it out ke option par click kar dijiye.

Step3: Ab next page open hoga jaha by default english select hoga aap yaha english ke sath bane down arrow par click kar dijiye, Ab yaha aapko bahut sari language show hogi aap yaha se Hindi ko select kar lijiye. Agar aap other kisi languages me type karna chahte hai to aap yaha se us language ko select kar sakte hai.

hindi keyboard online

 

Step4: Ab aap is box me hinglish me jo bhi type karenge wo hindi me change ho jayega.

how to type in hindi

Is tarh se aap yaha se text ko hindi me likh kar use copy kar other jagah par paste kar sakte hai, Agar aap Facebook, Gmail, Docs file, etc. me directly hindi me type karna chahte hai to aap iske Chrome extension Google Input Tools ko install kar sakte hai.

1. Extension install karne ke baad aap uske icon par click karke “Extension Options” par click kar dijiye.

computer me hindi typing keyboard

2. Ab ek new window open hogi jaha aapko language select karni hai, Yaha par aapko bahut sare languages show hongi aap unme se hindi language ko select kar us par double click kar dijiye.

google input tool kaise download kare

 

3. Ab aap Facebook, Gmail kahi bhi jaha aap hindi typing karna chahte hai use open kare aur uske baad is extension ke icon par click kar हिन्दी  option par tick kar lijiye, Uske baad aap hinglish me type karna start kare wo hindi me change ho jayega.

hindi typing

Mobile Me Hindi Typing Kaise Kare

Aj ke samay me har koi social sites jaise ki facebook, whatsapp, instagram, etc. par hindi me post, chatting karna pasand karte hai, agar aapko bhi hindi me type karna pasad hai aur aap apne phone se hindi me typing karna chahte hai to aap niche bataye steps ko follow kar easily kar sakte hai.

Step1: Sabse pahle aap apne phone me Google Indic Keyword app ko install kar lijiye.

Step2: App ko intsall karne ke baad use open kar lijiye, uske baad aap Select Input Method ke button par click kar lijiye.

mobile hindi typing app

Step3: Ab aapke samne kuch option show honge unme se aap Google Indic Keyword wale option ko enable kar dijiye.

hindi typing keyboard app

Step4: Ab aapko input language select karna hai uske liye aap app ko open kar “Select input Language” wale option par click kar lijiye, Uske baad aapko yaha par bahut sare languages ke option show honge unme se aap “Hindi & Hinglish” wale option ko enable kar dijiye.

hindi typing app 2020

Step4: Ab aap apne phone me facebook, whatsapp jaha bhi aap hindi type karna chahte hai use open kar lijiye. Ab aapka keyword kuch is tarh ka jaisa ki niche image me dikhaya gaya hai is tarh ka show hoga.

best mobile apps 2020

Yaha aapko 2 options show honge, abc &

Agar aap english me likhna chahte hai(Hello – Hello) to aap abc wale option ko select kare, aur agar aap hindi me likhna chahte hai (Hello – हेलो ) to aap wale option ko select kar lijiye.

To is prakar aap upar bataye tariko ka use kar apne computer aur mobile me easily hindi typing kar sakte hai.

Ummid karta hun ki aapko ye Hindi me typing kaise kare post achi lagi hogi, Agar aapka is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Agar ye post aapke liye helpful raha hoga to ise social sites me apne friends ke sath share jarur kare.

Leave a Comment