Best WordPress Plugins 2023 | Hello friends aj hum is post me top 10 best wordpress plugins ke bare me janenge. Agar aapka bhi wordpress par Blog website hai to ye post aapke liye helpful sabit hogi, Yaha mai aapke sath un top WordPress plugins ki list share karunga jo har wordpress user ke liye bahut hi useful aur helpful hai.Yeh sabhi plugins bahut hi popular or bahut hi important plugins me se ek hai.
WordPress install karne, theme ko select karne or blog me kuch basic settings karne ke baad next kaam hota hai apne blog website me jaruri plugins ko install karna, Lekin wordPress me kai sare plugins hone ke karan new bloggers ko ye samjh nahi ata ki staring me unhe kaun se plugins ko install karna chahiye or kaun sa nahi.
Agar aap wordpress me blog kaise banaye ke bare me janna chahte hai to aap wordpress par blog kaise banaye is post ko padh kar sikh sakte hai yaha mene step by step puri jankari share ki hai.
Aj mai aapko is post me top 10 best worpress plugins ke bare me bataunga jo bahut hi important or sabse jyada use kiye jane wale plugins hai.
Plugins ko install karne se pahle hum ye jan lete hai ki wordpress plugin kya hai or plugins blog website ke liye kyu jaruri hai.
WordPress Plugin Kya Hai?
Plugin kya hai ise hum ek example se samjhte hai – Plugin ek software ki tarh hote hai, jis prakar hum apne computer ya mobile me alag alag kam ke liye software ya applications install karte hai thik usi prakar wordpress blog me alag alag features ko add karne ke liye plugins ko install karte hai.
Plugins ka use kar hum apne wordpress blog website ko SEO friendly, User-friendly, Blog performance ko acha bana sakte hai. Plugins paid and free dono tarh ke available hote hai. Aap chahe to paid plugins ka bhi use kar sakte hai, Lekin mostly free plugins ka hi use karte hai kyunki free plugins me bhi bahut sare features milte hai. Starting me humhe free plugins ka hi use karna chahiye.
To chaliye ab jante hai ki worpress ke liye top 10 best plugins kaun hai, Jinke bare me har wordpress user ko pata hona chahiye.
Top 10 Best WordPress Plugins in Hindi
1. Akismet Anti-Spam
Akismet ek spam comment protection service hai, Yah ek bahut hi badhiya plugin hai. Is plugin ke jariye aap apne blog me ane wale spam comments ko filter kar sakte hai.
Jab aapka blog website popular hota jata hai to aapke blog website me spam comment bhi badhane lagte hai, Aise me ek ek comment ko select kar delete karna bahut muskil hota hai, to aap is plugin ka use kar sabhi spam comment ka ek alag list bana sakte hai.
Ye plugin aapke post me ane wale spam comments ki ek alag se list bana deti hai or original comments ko hi aapke samne show karti hai. Uske baad un spam comments ko aap badi hi asani se ek hi bar me delete kar sakte hai, Agar aap delete nahi karte hai to 15 din baad ye plugin automatically hi aapke blog se spam comments ko delete kar deti hai.
Aapko ye plugin jarur se install karna chahiye. Yah plugin spam comment ko rokne ke liye best hai. Yah plugin paid and free dono me available hai.
Akismet Anti-Spam Plugin Ka Setup Kaise Kare
Sabse pahle aap plugin ke option me jakar Add New par click kar search box me Akismet Anti -Spam type kar akismet plugin ko install kar activate kar lijiye. Uske baad aapko is plugin ko manually configure karna hoga.
1. Is plugin ko activate karne ke baad plugins me aapko ek Set up your Akismet account ka option dikhega is par click kar dijiye.
2. Ab yaha Get your API key ke button par click kar dijiye.
3. Next page me ACTIVATE AKISMET ke button par click kar dijiye.
4. Ab next page me apna Email Address, Username or Password dalkar Continue ke button par click kar dijiye.
5. Ab yaha se aapko plan select karna hai, Jaisa ki mene uper bataya tha ki ye paid and free dono me available hai, Ab yaha par aapko paid ya free jo bhi lena chahte hai us plan ko select karna hai, Yaha me free plan use karunga. Uske liye aap yaha Get Personal ke button par click kar dijiye.
6. Ab yaha par aapko is Plan details ko left side me drag kar $0 karna hai, fir yaha par aapko apni site ka URL dalna hai, Usake baad Contact Info me apna first name or last name dalkar Continue With Personal subscription ke button par click kar dijiye.
7. Jaise hi aap Continue With Personal subscription ke button par click karenge to ek popup open hoga jisme aapko Activate this site ke option show hoga us par click kar dijiye.
8. Activate this site par click karte hi akismet ka setting page open ho jayega. Ab yaha se aapko kuch setting change karni hai.
- Comments – Approved comments ki number janne ke liye ise tick kare.
- Strictness – Isme always put spam in the spam folder wale option ko tick kare.
- Privacy – Ise aap default hi rahne de.
- Last me Save Changes ke button par click kar dijiye.
Ab Akismet plugin aapke blog par puri tarh se activate ho gyi hai, Ab aapke blog me jitne bhi spam comment ayenge wo sabhi spam folder me save ho jayegi.
2. Yoast SEO
Yah ek bahut hi badhiya SEO plugin hai, Is plugin ke bare me sayd hi koi esa wordpress blogger hoga jise is plugin ke bare me nhi pata hoga, Is plugin ko lagbhag sabhi blogger use karte hai. Yoast SEO plugin on page SEO optimizations ke liye bahut hi badhiya plugin hai.
Yoast SEO plugin aapke blog me basic se lekar advanced tak On page SEO optimizations me help karta hai. Ye paid or free dono me available hai.
Is plugin ke madad se aap apne content me analysis kar sakte hai ki keyword density kitni hai, Meta Description kitna likhna hai, Focus keyword ko set kar sakte hai, Focus keyword ko headings tags me use kiya hai ya nahi, Meta description me keyword hai ya nahi etc. is plugin ki madad se aap apne post ka SEO bahut ache se kar sakte hai.
Agar aapko nahi pata ki SEO kya hai SEO kyu jaruri hai to aap is post ko padh kar sikh sakte hai yaha mene SEO ke bare me details me bataya hai.
3. Smush Image compression And Optimization
Yah ek image compress plugin hai, Jo ki humare post, page me use hone wali images ki size ko bina quality loss kiye compress kar deti hai.
Kisi bhi post ko SEO friendly banane ke liye images ko optimize karna bahut hi jaruri hai, bina image optimization ke post ko google me rank karana muskil hota hai, So post ko rank karane ke liye jaruri hai ki aapki post, page me use hone images ka optimization kiya, or image optimization me images ka size bahut aham role play karta hai. Aapki image ka size jitna kam hoga utna hi better hai.
Images size ko reduce karne ke liye wordpress me bahut se plugin available hai lekin Smush Image Compression plugin sabse jyada use kiye jane wala plugin me se ek hai, Ye plugin aapki post me use kiye jane wale images ki size ko automatically hi compress kar deta hai, Jisse ki aapke post ka load time achi hoti hai.
Example : Aapne apne post me ek image upload ki jiska size 200kb ka hai, jiske karan aapki post ki load time badh jata hai, Aise me aap is plugin ka use karenge to ye plugin aapki us 200kb wali image ka size compress kar 50-60 kb ki kar deti hai jisse aapki post ki load time kam ho jati hai.
4. Contact Form 7
Jaisa ki aap sabhi ne dekha hoga ki har blogger apni blog website me ek contact ka page jarur add karta hai, Isse ye fayda hota hai ki agar koi aapke blog website ko visit karta hai or use aapse contact karna ho or uske paas aapka koi contact details nahi ha to to wo aapki detail jane bina hi is form ki madad se aapse contact kar sakta hai. Iske alawa agar aap apne blog me adsense ko connect karna chahte hai to bhi aapko contact ka page banana jaruri hota hai.
Is plugin ka use karna bahut hi asan hai. Is plugin ki madad se aap bahut hi asani se apne blog me form create kar sakte hai.
Contact form 7 plugin ko install karne ke bad activate kar lijiye, Ab yaha wordpress dashboard me ek Contact ka option a jayega is par click kar dijiye, Yaha par aapko ek Shortcode dikhega us code ko copy kar aapne jo contact ka page banaya hai waja jakr paste kar dijiye, Uske baad aap us page ko open kar ke dekhenge to aapko ek contact page show hoga.
5. UpdraftPlus WordPress Backup Plugin
Yah plugin aapko backup security ka features deta hai. Jaisa ki dosto hum sab ko pata hai ki humare wordpress blog ka sara data humare web hosting server par host hota hai, or aise me agar humara blog kisi karan se delete ya hack ho jaye to humare dwara ki gayi puri mehnat bekar ho jayegi, But agar aap pahle se apne blog ka backup bana ke rakhte hai to uske baad agar aapka blog kisi karan delete ya hack bhi ho jaye to bhi koi farak nahi padta aap us backup file ki madad se apne blog ko badi hi asani se pahle jaisa kar sakte hai.
Is plugin ka use aap us samay bhi kar sakte hai jab aapko apne blog ki hosting sever change karni ho, Agar aap kisi karan se apni hosting company ko change karna chahte hai to aap is plugin ki madad se apne blog ka backup lekar apne blog ko kisi other hosting server me transfer kar sakte hai.
UpdraftPlus WordPress Backup Plugin Ko Kaise Stup Kare
Is plugin ko install karne ke baad activate kar lijiye, Ab is plugin me aapko kuch settings manually karni hoti hai.
1. Plugin ko activate karne ke baad aapko wordpress dashboard ke Settings ke option me jana hai, waha aapko ek UpdraftPlus Backups ka option milega is par click kar dijiye.
2. Ab updraftplus wordpress backup plugin ka setting page open hoga yaha se aap Settings ke tab par click kar lijiye.
3. Ab yaha Files backup schedule or Database backup schedule me aap jab jab backup lena chahte hai us time ko select kar lijiye yaha kai sare option available hai Weekly, Daily, Every 4hour, Monthly etc. or and retain this many scheduled backups ko aap default 2 hi rahne de. fir aapko apne blog ka backup rakhne ke liye niche diye gye options me se ek option ko select karna hai. Yaha mai Dropbox ko select kar raha hun aap apne pasand ke option ko select kar sakte hai.
4. Ab niche Email wale option ko tick kar dijiye, Fir last me Save Changes ke button par click kar dijiye.
5. Ab aapko apne Dropbox account ko Updraftplus backup plugin se link karna hai, Jab aap save changes ke button par click karte hai to aapke samne ek popup open hoga jisme ek link hoga us par click karenge to aapko dropbox ke sign in page me redirect kar diya jayega jaha par aapko apne dropbox account ka email or password dalkr sign in karna hai, Agar aapke paas dropbox account nhi hai to aap yaha se create kar sakte hai. Dropbox me account baana bahut hi asan hai.
6. Dropbox ko Updraftplus backup plugin se link hone ke baad aapke wordpress blog website ka backup automatically hi banta chala jayega or dropbox me store hota jayega.
6. Social Warfare
Agar aap apne blog post me jyada se jyada traffic lana chahte hai to aise me social media humari bahut madad kar sakta hai. Agar aap apne blog post me social media jaise ki Facebook, Twitter, Whatsapp, Instagram etc. se traffic gain karna chahte hai to aapko apne blog post me social media share button lagana chahiye. Jisse ki log aapke blog post ko social media me share kar sake.
Agar aap wordpress me social share plugin search karenge to aapko bahut sare social media share plugins mil jayenge, Yaha mai aapko Social Warfare plugin ke bare me bata raha hun ye plugin bahut hi badhiya hai. Mene apne blog me bhi social welfare plugin ko use kiya hai. Aap chahe to aap bhi ise use kar sakte hai.
Is plugin ki madad se hum apni blog website ke post ke Top, Bottom, Right jaha aap chahe social media share button ko add kar sakte hai. Social warfare me aap Facebook, Twitter, Google+, Linkedin, Pinterest etc. social share buttons add kar sakte hai.
7. W3 Total Cache
Har blogger ke liye uske blog ki loading speed bahut jyada value rakhti hai, Kisi bhi blog website ki loading speed SEO ranking ka ek bahut important factor hota hai.
W3 total cache plugin ki madad se aap apne blog website ki speed ko boost kar sakte hai. W3 total cache plugin static HTML file ko generate kar aapki blog website ki speed ko acha karti hai.
Is plugin ki madad se aap apne HTML, Java, CSS files ko minify bhi kar sakte hai. Is plugins me aapko bahut sare advanced option mil jayegi yah plugin bahut hi badhiya hai.
WordPress me aapko bahut sare cache plugins mil jayenge but sabhi plugins badhiya nahi hote, W3 total cache plugin bahut hi badhiya or sabse jyada use kiye jana plugins me ek hai.
Is plugin ke alawa aap Wp Super cache bhi use kar sakte hai ye bhi bahut badhiya cache plugin hai.
8. TinyMCE Advanced
Is plugin ki madad se aap apne wordpress ke default editor ke feature ko badha sakte hai. Jab aap aapne wordpress ke editor window me koi post likhte hai to usme aapko kuch basic hi text editing features milte hai, Jo ki post ko edit karne ke liye sufficient nahi hote.
TinyMCE advanced plugin ki madad se aap apne editor window me kai advance features ko add kar sakte hai, Isme aapko Font family, Table insert, Text color etc. jaise kai features mil jate hai. Is plugin ka use kar aap apne post ko ek perfect look de sakte hai.
TinyMCF advanced plugin ko sabse pahle install kar activate kar lijiye, Usake baad dashboard me setting ke option me aapko ek TinyMCD Advanced ka option milega is par click kar lijiye.
Ab yaha se aapko isme kuch setting karni hoti hai.
- Enabale the editor menu ko disable kar diye ye by default enable hota hai.
- Ab niche diye unused buttons me se jo bhi aap apne editor me add karna chahte hai use drag kar add kar lijiye.
- Uske baad Save Changes ke button par click kar dijiye.
9. Wordfence Security – Firewall & Malware Scan
Humhe apne blog website ko secure rakhna bahut jaruri hai, Hum apne blog ko secure rakhne ke liye kai tarike use karte hai jaise ki Strong password rakhna, WordPress login URL hide rakhna aise kai sare tarike use krte hai, Lekin in tariko ke alawa humhe kuch or tariko ka bhi use karna chahiye apne blog website ko secure rakhne ke liye.
WordPress me aisi kai sare security plugins hai jo ki humare blog ko secure rakhne me madad karti hai, Un sabhi plugins me Wordfence Security plugin sabse best or sabse jyada use kiye jane wala plugin me se ek hai, Yah wordpress blog security ke liye bahut hi badhiya plugin hai. Yah Paid and Free dono version me available hai. Aap iska free version use kar sakte hai isme humare jarurat ki sari chiz available hai.
Yah plugin aapke wordpress blog ko bahut sari chizo se secure rakhta hai, Iski madad se aap apne blog website ko Hacking se bacha sakte hai, Apne blog ko scan kar ke dekh sakte hai ki usme koi error to nahi hai, Blog me live traffic ko dekh sakte hai, aise kai sare features is plugin me aapko mil jayenge.
WordPress security ke liye aapko is plugin ko apne blog me jarur se install karna chahiye. Ye plugin best wordpress plugins me se ek hai. Is plugin ko 1+ million logo ne apne blog me install kiya hai.
10. Shortcode
Kai bar hume apne blog post, pages me Buttons, Videos, Audios, Slider etc. lagana pad jata hai, Aise me agar aapko coding ki knowledge nahi hai to aap Shortcode plugin ki madad se apne blog post page me Buttons, Videos, Slider, Audio etc kai sare features ko ad kar sakte hai. Is plugin me aapko kai sare features mil jayenge inhe aap apne blog post me laga kar apne post ko or bhi acha or attractive bana sakte hai.
Shortcode ko install kar activate kar lijiye, Uske baad aapke editor me ek Insert shortcode ka option add ho jayega us par click kar aap apne post, page me un features ko add kar sakte hai.
So ye hai top 10 best wordpress plugins jo har wordpress blogger ko apne blog me install karne chahiye, Agar aapko is wordpress ke liye top 10 best plugins post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko is post me kuch naya sikhne ko mila hoga. Agar aapko ye post achi lagi ho to aap is post ko social sites me apne friends ke sath share jarur kare.