WhatsApp Delete Message Kaise Dekhe | Recover Deleted Messages

WhatsApp deleted message recover | Hello friends aaj hum is post me WhatsApp delete message kaise dekhe? ke bare me janenge. Yah to hum sabhi jante hai ki Whatsapp pure world ka popular aur sabse jyada use kiya jane wala messaging app me se ek hai. Whatsapp me kai sare aese features aur tricks hai jinke bare me bahut hi km logo ko pata hota hai. So aj hum is post me aapke sath ek aese hi WhatsApp tricks share karenge jiske bare me sayad hi aapko pata hoga. Is trick ka use kar aap apne WhatsApp ke deleted messages ko dekh aur padh payenge.

whatsapp-delete-message-kaise-dekheWhatsapp ke delete for everyone feature ke bare me to aap sabhi jante hi honge, Iska use karke agar humne galti se kisi ko whatsapp me galat message ya wrong person ko message send kar diya hai to hum us message ko delete for everyone feature ki madad se us person ke padhne se pahle 7-minute ke under us message ko delete kar sakte hai. Jiske baad wah message puri tarh se aapke aur aapne jise send kiya tha uske phone se delete ho jata hai.

But ab yah feature utna khas nahi raha kyunki aaj ke samay me aese kai tricks hai jinki madad se aap WhatsApp deleted messages ko bhi dekh aur padh sakte hai.

Aj hum aapko is post me ek aesi trick ke bare me batayenge jiski madad se agar kisi ne aapko send kiya hua message aapke read karne se pahle hi delete kar diya hai to aap is trick ki madad se us message ko dekh sakte hai or jan sakenge ki us message me kya likha hua tha.

WhatsApp Delete Message Kaise Dekhe

Whatsapp delete messages ko dekhne ke kai tarike hai, yaha is post me hum aapko ek app ka use kar WhatsApp deleted messages kaise dekhe ke bare me batane wale hai.

Step1:  Whatsapp delete message dekhne ke liye aapko sabse pahle apne phon me WAMR app ko install karna hoga.

Step2:  Ab is app ko open kar inki Terms and Conditions ko padh kar Accept ke button par click kar dijiye.

Step3: Ab next page me WhatsApp ke samne bane box ko tick kar next kar dijiye.

whatsapp trick

Step4: Ab next page me aapko Notification reader option ko enable karna hai, uske liye aap iske samne bane Enable button par click kr dijiye.

 whatsapp delete message recover

Step5: Ab enable button par click karne ke baad ek new page open hoga yaha se aapko WAMR ke option ko enable karna hai.

whatsapp backup

Ab itna sab karne ke baad ab agar koi aapko whatsapp par message kar use aapke dekhne se pahle hi delete kar deta hai to aap is aap ko open kar waha se us deleted message ko dekh sakte hai aur jan sakte hai ki us deleted message me kya likha tha.

Is tarah se aap kisi ke dwara send kiye huye deleted messages ko dekh aur padh sakte hai.

I hope ki aapko ye choti si WhatsApp trick achi lagi hogi or ab aap sikh gaye honge ki WhatsApp deleted message ko kaise dekhte hai. Agar aapke man me is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment