Web hosting kya hai | Aj hum is post me web hosting kya hai, Hosting kaise aur kaha se kharide ke bare me step by step janenge. Agar aap Hosting kya hai, Hosting ki jarurat kyu padti hai, Hosting kaha se or kaise karide etc ke bare me janna chahte hai to is post ko carefully padhe isme aapko puri jankari mil jayegi.Agar aap website, blog banane ki soch rahe hai to aapko web hosting ki jankari honi chahiye. Website banane ke liye apke paas 2 chijo ka hona jaruri hai pahla Domain name or dusra Web hosting in dono ke bina website banana muskil hai. Agar aapko Domain name ke bare me nahi pata hai to aap is post Domain name kya hai ko padh kar jan sakte hai. Aj hum is post me web hosting kya hai ke bare me janenge.
Web Hosting Kya Hai?
Kisi bhi website, blog ko internet par rakhne ke liye ek space lena padta hai ise hi hum web hosting kahte hai.
Hosting ek pen drive ki tarh hoti hai jis prakar hum apne pen drive me jaruri files, photos, videos rakhte hai thik usi prakar hosting me hum apni website, blog ka sara data jaise ki Files, Pages, Photos, Videos, Audio etc. rakhte hai.
Ache se samjhne ke liye ek example dekhte hai: Jis prakar hume rahne ke liye ghar ki jarurat hoti hai thik usi prakar humare website blog ke data ko store karne ke liye hosting ki jarurat padti hai jaha par hum apne website blog ka data jaise ki photos, file, post etc. ko 24*7 active rakhte hai jisse agar koi aapke website blog ko search karega to hamesha hi active dikhe.
Web Hosting Kitne Types Ke Hote Hai
Web hosting kai tarh ke hote hai, Jaise ki Share hosting, Virtual private hosting (VPN) hosting, Dedicated hosting. To chaliye inke bare me ek ek karke jante hai.
1. Share Hosting
Iske name se hi pata chal raha hai hosting ko share karna, Isme ek server par kai sari websites chalti hai. jis tarh ek room me kai sare friends mil kar rahte hai or us room ka rent sab friends share karte hai thik usi prakar share hosting kaam karta hai. Is tarh ki hosting sasti milti hai. Starting me new website, blog ke liye share hosting best hai.
2. Virtual Private Hosting (VPH)
Yah ek private server hota hai jo kisi or ke sath share nahi hota. Is tarh ke hosting costly hoti hai. jis prakar aap kisi hotel me jate hai or waha room lete hai to us room ki sabhi chijo par aapka hak rahta hai or aapko us room ko kisi ke sath share nahi karna padta thik usi prakar VPH me bhi aapko hosting share karne ki jarurat nahi hoti hai isme pura aapka control rahta hai. yah hosting bahut secure hote hai.
3. Dedicated Web Hosting
Yah hosting kewal ek hi website ke liye hota hai isme ek hi website ka data store kiya jata hai, Is hosting par pura aapka hi control hota hai or yah hosting kaphi costly bhi hoti hai, Is tarh ke hosting ko wohi log use karte hai jinki website par bahut jyada traffic ata hai. Yah hosting jitni bhi high traffic ko handle kar sakte hai.
4. Cloud Web Hosting
Cloud hosting me aapki website ka data alag alag server me store hota hai, Is tarh ke hosting me alag alag jagah ke server par virtual server banaye jate hai or un sabhi ko mila kar ek cloud hosting banaya jata hai. yah hosting high traffic ko bhi asani se handle kar sakte hai or yah hosting kaphi bharoshemand mani jati hai.
Hosting Kaha Se Aur Kaise Kharide
Internet par aj ke samaye me bahut sari web hosting service dene wali company hai, jo apne aap ko best web hosting service provider batati hai lekin unme se kuch hi company hai jo achi service deti hai. Web hosting buy karne se pahle aapko unki service or support ke bare me janna jaruri hai.
Kuch popular web hosting provider company Hostgator, Godaddy, Bluehost, Resellerclub ye sabhi company bahut hi popular or 24*7 active rahti hai, inka support bhi kaphi acha hai.
Agar aap ek new website blog ke liye hosting buy karne ki soch rahe hai to mere experience ke hisab se aapko Hostgator ya Resellerclub ki hosting leni chahiye. Yah bahut hi popular web hosting company hai yaha par aapko km price me achi hosting mil jayegi or yah aapko hindi language me bhi support dete hai.
Yaha mai aapko hostgator se hosting kaise kharide ke bare me bataunga or baki sab website se bhi hosting buy karna lagbhag same process hota hai.
Hostgator Se Hosting Kaise Kharide (Upto 55% Off)
Hostgator se hosting kharidna bahut hi asan hai, niche bataye steps ko follow kar aap hostgator se easily hosting kharid sakte hai.
Step 1: Sabse pahle aap hostgator.in ki website ko open kar lijiye, Uske baad niche Get Started ke button par click kar dijiye.
Step 2 : Ab yaha par server location me india ko select kar lijiye, uske baad yaha aapko 4 plan milenge jisme se aap apne acording plan ko select kar Buy Now ke button par click kar dijiye. Agar aap new blog create kar rahe hai to aap BABY plan ko select kare yah best hai.
Step 3 : Buy now par click karne ke baad ek pop up open hoga jisme apse pucha jayega ki aapke paas domain hai ya nahi agar hai to yaha yes pe click kar us domain name ko enter kar dijiye. Uske baad in 3 option ko untick kar dijiye inki jarurat nahi hai fir continue ke button par click kar dijiye.
Or agar aapke paas domain name nahi hai to aap yaha no pe click kar domain ko buy kar sakte hai ya fir kisi or site jaise ki godaddy, Bigrock jaisi website se bhi domain ko buy kar sakte hai.
Step 4: Ab ek new page open hoga jaha par aapko apne hosting ka plan select karna hai aap kitne samay ke liye hosting lena chahte hai 1,3,6 mahine ya 1,2,3,5 saal apne budget ke hisab se duration select kar lijiye. Uske baad continue ke button par click kar dijiye.
Step 5 : Jaise hi aap continue ke button par click karte hai to aapko log in karne ko bola jayega agar aapka account hostgator par pahle se bana hai to yaha emai id or password dal kar sing in kar lijiye or acount nahi hai to yaha create an account par click kar new account bana lijiye.
To chaliye hum yaha ek new account bana lete hai
Account banana ke liye sabse pahle yaha create an account par click kar lijiye uske baad ek page open hoga jaha par aapko apni kch details dalni hai jaise ki –
- Yaha par aap apana full name likhiye.
- Apana address type kare.
- Country or state ko select kar lijiye
- Ab apne city pr postal code ko daal dijiye.
- Yaha par apna mobile number daal dijiye.
- Ise aap khali chod dijiye (GST ID Only applies to businesses based.)
Ab yaha user information me apna 1. email address 2. password or 3. conform Password dal dijiye password ko strong rakhe. fir inki terms and policy ko ache se padh kar is par tick kar Create an account ke button par click kar dijiye.
Step 6 : Ab aapko hostgator par account ban gaya hai ab aapko payment karni hai, aap jis bhi method se payment karna chahte hai use select kar niche I agree ke option me tick kar pay now ke button par click kar dijiye.
Step 7 : Ab aapne jis bhi method ko select kiya hai uski details jaise ki Card number, Expiry date etc. daal kar payment kar dijiye.
Ab pura process hone par aapko hostgator hosting ki tarf se ek email ayega jisme bola jayega ki aapne hosting successfully kharid li hai. or aapko ek or email ayega jisme aapke cpanle ki details hongi.
Ummid karta hun ki aapko ye web hosting kya hai, hosting kaise aur kaha se kharide post achi lagi hogi. Agar aapke man me web hosting kya hai se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.