Top 10 Useful Google Chrome Extensions | Hello friends aj hum is post me Top 10 Google chrome extensions ke bare me janenge, Agar aap ek internet user hai or aap google chrome ko use karte hai to aapko in extensions ke bare me jarur pata hona chahiye.
Yah to hum sab jante hai ki aj ke samay me google chrome browser most popular or sabse jyada use kiya jane wala browser me se ek hai, Google chrome ka use jyadatar hum kisi information ko google me search karne ke liye karte hai, Lekin kya aapko pata hai hum google chrome ka use or kai tariko se bhi kar sakte hai, Google chrome browser me kai ese extension available hai jinka use kar hum har wo kaam ko kar sakte hai jisake liye humhe apne PC, Laptop me kisi software ko install karna padta hai.
- Top 15 Most Useful Websites Ki Jankari Hindi Me
- Paise Kamane Ke Best 20 Apps 2018 – Best 20 Money Making Apps
Agar aap google chrome extension ke bare me nhi jante hai, Google chrome extension kya hai, Top google chrome extension kaun se hai jo humare liye useful hai, to aap is post ko last tak padhe is post me aapko sari jankari mil jayegi.
Google Chrome Extension Kya Hota Hai
Google chrome extension software ki tarh hi hote hai, Software or Extension me fark itna hota hai ki software ko hum apne PC, Laptop me install kar ke access karte hai or extension ko browser me install kar access karte hai.
Top 10 Google Chrome Extensions
1. My Smart Price
Dosto ye website un logo ke liye jyada useful hai jo online shopping karna pasand karte hai, Is extension ki madad se aap daily deals ke bare me jan sakte hai, Jaise ki agar aapko janna hai ki kin sites jaise ki Flipkart, Amazon, Paytm etc. me kya offer chal raha hai to aap is extension ki madad se jaan sakte hai.
Example : Agar aapko koi mobile lena ho or aap ye janna chahte hai ki kin sites me us mobile ka kya offer chal raha hai or price kya hai ye sab janna chahte hai to aap is extension ki madad se jan sakte hai, Aisa karne se aapko har sites me jakar check karna nhi padega.
Is extension ki achhi bat ye hai ki agar aap is extension se kisi product ko buy karte hai to aapko cashback bhi milta hai.
2. Awesome Screenshot
Jis tarh se is extension ka naam awesome hai thik usi prakar hi isaka kaam bhi awesome hai, Is extension ki madad se aap kisi bhi webpage ka screen short le sakte hai or use edit kar sakte hai.
Is extension ki madad se aap kisi bhi page ka full screenshot le sakte ya fir us page me selected area ka or is extension ki achi bat ye hai ki aap is capture image ko edit kar sakte hai, Jaise ki apne kisi page ka screenshot liya or aap us screenshot image me kisi jagah koi mark karna chahte ho, kisi word ko highlight karna chahte ho ya text ko blur karna ho etc to aap badi hi asani se kar sakte hai.
3. Hover Zoom+
Yah ek kabhi interesting extension hai, Iski madad se aap kisi bhi image ko full size me dekh sakte hai.
Example agar aapne kisi website ya social sites ko open kiya or waha par aapko koi image achi lagi or aap us image ko full size me dekhna chahte hai to aap us image ke uper apne cursor ko rakh dijiye usake baad wo image full size me show ho jayegi.
4. Search By Image
Yah extension bhi bahut hi badhiya or useful hai, Is extension ki madad se aap kisi bhi image ki details jan sakte hai, Jaise ki agar aapko kisi website ya social site par kisi image ke bare me janna hai to aap is extension ka usa kar us image ki sari details jan sakte hai.
Sabse pahle aap is extension ko apne chrome browser me install kar lijiye, Usake baad aap jis bhi image ke bare me janna chahte hai us image par right click karenge to aapko ek Search Google using this image ka option milega us par click kar dijiye, Ab ek new tab open hoga jaha par us image ki sari details show ho jayegi ye image kaun se website me hai, kya size hai etc. is prakar aap kisi bhi image ke bare me jan sakte hai.
5. Chrome Remote Desktop
Dosto ye extension bahut hi amazing hai isaki madad se aap apne PC, Laptop ko apne mobile me chala sakte hai.
Isake liye aapko apne mobile me Chrome Remote Desktop app ko install karna hoga, or chrome browser me Chrome Remote Desktop extension ko install karna hoga. Usake baad aap apane PC ya Laptop ko apne mobile se control kar sakte hai.
6. Open Multiple URLs
Yah extension bahut hi amazing hai, Is extension ki madad se aap kai sare website ko ek hi click me alag alag tab me open kar sakte hai.
Jaise ki agar aapko kai sari website ko ek sath open karna ho to aap un sabhi website ke url ko is extension me daal dijiye usake baad yaha ek Open URLs ka button hoga us pe click kar dijiye, Ab wo sabhi sites alag alag tab me open ho jayengi.
7. Google Input Tool
Dosto jab hum internet me kuchh search kar rahe hote hai ya kuch likhna hota hai to humhe kai bar English ke alawa kisi other language jaise ki Hindi, Chines, French etc. ki jarurat pad jati hai ese me aap is extension ka use kar aap kisi bhi other language me type kar sakte hai. Yah extension aapko kisi other language me likhne me madad karta hai.
Ya agar aap ek hindi blogger hai ya freelancing business karte hai to kabhi aapko hindi language ya kisi other language me kuchh likhna pad jata hai to ese me aap is extension ka use kar different languages me likh sakte hai.
Is extension ko use karne ke liye sabse pahle aap is extension ko install kar lijiye, Usake baad is extension ke icon par click kar option me click kar dijiye, fir aap jis bhi language me likhna chahte hai us language ko select kar lijiye. Usake baad aap jo bhi type karenge wo usi language me ayegi jo aapne select kiya tha.
8. Keyword Everywhere
Ye sabse best extension hai un logo ke liye jo blog ya website ko chalate hai, Isaki madad se aap keyword research kar sakte hai.
Jaise ki agar aap coogle chrome me kisi keyword ko search karte hai to ye extension direct search page me hi us keyword ke bare me bata deta hai ki wo keyword kitni bar search kiya jata hai, Us keyword ka kitna CPC hai, Kitna competition hai, or sath me side me apko us keyword se relative dusre keyword bhi dikhta hai. Iski madad se aap apne blog website ke liye keyword ko find kar sakte hai.
9. Google Dictionary
Jaisa ki dosto kai bar hum internet par kisi chij ke bare me padh rahe hote hai to waha par kuch ese word hote hai jinka meaning humhe nahi pata hota, ese me agar humhe un word ka meaning janna ho to hum un word ko copy kar google translate me jakar ya google me search karte hai, esa karne se aapka samay adhik lagta hai ese me aap is extension ka use kar kisi bhi word ka meaning jan sakte hai.
Is extension ko install karne ke baad jis bhi word ka meaning janna chahte hai us word par double click kar dijiye usake baad us word ka meaning show ho jayega hai, or yeah extension har tark ki language ko support karta hai.
10. Check My Link
Yah extension un logo ke liye jyada useful hai jo apna blog ya website chalate hai, Is extension ki madad se aap apne blog website ke home page me link ko check kar sakte hai, Jaise ki aapke blog website me kitne link hai, kitne valid hai or kitne invalid link hai in sabhi ke bare me jan sakte hai.
Is extension se aap kisi other website blog ke link ko bhi dekh sakte hai ki us website blog me kitne valid link hai or kitne invalid.
Ummid hai ki aapko ye “Top 10 Popular & Useful Google Chrome Extensions” post pasand ayi hogi. Agar aapko is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai, Or is post ko apne friends ke sath social sites me share kare.