Social Bookmarking sites | Hello friends aj hum is post me social bookmarking kya hai? Kyu karte hai? Isko karne ke benefits kya hai? Best social bookmarking sites kaun si hai, etc. sabhi ke bare me janenge. Agar aap Blog website chalate hai to aapko iski jankari hona bahut jaruri hai. Social booking off-page SEO ka ek best technique hai jiski madad se aap apni site blog ke liye quality backlink aur traffic increase kar sakte hai.
Social bookmarking website blog ke liye high-quality backlink generate karne aur traffic increased karne ka ek best tarika mana jata hai.
Bahut se blogger apne blog website me high-quality content likhte hai but uske baad bhi unke blog website post me acha traffic nahi a pata. Iske kai karn hote hai jaise ki on-page SEO sahi tarh se na karna, etc. iske alawa ek karan yah bhi hai ki wo apne post ka promotion thik tarh se nahi karte. Website blog me tariff gain karne ke liye website blog ka promotion karna bahut hi important factor hota hai. So yaha is post me mai aapko social bookmarking sites me apne website blog ka free promotion karne ke bare me bataunga. Aap apni site ke post, images, etc. ko social bookmarking site me promotion kar traffic aur ling building kar sakte hai.
Social Bookmarking Sites Kya Hai?
Social bookmarking site link building or website blog ko promote karne ka sabse acha aur free tarika hai. Social bookmarking ek aesa process hai jaha par hum apne website blog ke content pages, images, etc. ko social bookmarking sites me share karte hai jisse humare website blog ki link building or search engine ranking increase hoti hai.
Social bookmarking Off-page SEO ka ek important factor hai. Social bookmarking se hum website blog me high-quality backlink bana sakte hai or SEO ke liye high-quality backlink kitna important hota hai ye to aap sabhi jante hi hai. Website blog me high-quality link or traffic pane ke liye aapko social bookmarking sites me apne blog website link ko share jarur karna chahiye.
Social bookmarking sites free hoti hai jaha aap apne gmail account se sign up kar website blog post link ki bookmarking kar sakte hai.
Social Bookmarking Ke Fayde
- Social bookmarking sites ka sabse acha fayda yah hai ki yaha aap free me apne website blog ka promotion kar sakte hai.
- Social bookmarking karne se aapki site jaldi search engine me index hone lagti hai.
- Isse aapki website blog me traffic increase hota hai.
- Aap apne website blog ke liye quality backlink build kar sakte hai.
- Social bookmarking se aapke keyword ki ranking achi hoti hai.
- Isse aapke domain ki DA or PA bhi increase hoti hai.
- Social bookmarking off-page SEO ka sabse acha technique hai.
To ab aap jan gaye honge ki Social Bookmarking sites website blog ke liye kitna important hota hai. So ab jante hai ki Social bookmarking kaise kare or best social booking sites kaun si hai.
Best Social Bookmarking Site In Hindi
Internet me aapko bahut sari social bookmarking sites mil jayegi, But sari sites effective nahi hoti hai. So yaha mai aapko kuch best social bookmarking sites ke bare me bataunga jo sabse jyada use ki jati hai or jinki DA, PA or Alexa ranking high hai. In sites me aap apni blog website ki bookmarking kar apne website blog ke liye high-quality backlink build or traffic increase kar sakte hai.
Best 30 Social Bookmarking Sites
google.co.in/bookmarks |
books.google.co.in |
scoop.it |
reddit.com |
plurk.com |
diigo.com |
slashdot.org |
mix.com |
tumblr.com |
digg.com |
metafilter.com |
folkd.com |
fark.com |
bizsugar.com |
pinterest.com |
myspace.com |
linkarena.com |
bookmark4you.com |
plus.google.com |
delicious.com |
newsvine.com |
share.bizsugar.com |
dzone.com |
weheartit.com |
sociopost.com |
linkedin.com |
disqus.com |
socialbookmarknow.info |
bookmarkfeeds.com |
bibsonomy.org |
dzone.com |
Suggestion:
- Social bookmarking sites me apne website blog ka link share karne se pahle apne us post se related ek acha sa description banaye. Description aesa banaye ki log us description ko padhne ke baad aapki website blog ko jarur open karke dekhe.
- Ek social bookmarking site me same url par ek se adhik bookmaking na kare.
- Ek hi bookmarking site me ek se jyada account create na kare.
So is tarh aap in top high DA, PA wali social bookmarking sites me apne website blog link ko share kar waha se acha traffic or link build kar sakte hai.
I hope ki aapko ye social bookmarking kya hai? Best social bookmarking sites for SEO post achi lagi hogi. Agar aapko is post se related koi bhi doubt ho to niche comment me puch sakte hai.