Best earning apps in India | Hello friends aj hum is post me top 20 best paise kamane ke apps ke bare me janenge. Agar aap mobile apps se online paise kaise kamaye ya paise kamane wale apps ke bare me search kar rahe hai to ye post aapke liye useful rahegi, Yaha is post me bataye apps ko aap apne mobile me install kar aur unme kuch chhote mote tastk kar online paise kama sakte hai.
Aapne facebook, youtube par logo ke post videos jarur dekhe honge ki mobile apps se ghar baithe online paise kamaye, Ji ha yah bat sach hai aj ke samay me kai sari aesi apps hai jinka use kar aap online paise kama sakte hai, but internet me 100 me se 20-30 apps hi aesi hoti hai jo aapko payment dete hai. baki apps fake hote hai, jo aapse kam karwate hai or payment ke waqt koi na koi issue bata kar aapka account band kar dete hai ya payment nahi deti hai. So jaruri hai ki aap kisi bhi paise kamane wale apps ko use karne se pahle uske bare me achi tarah jan le uske baad hi us app par kaam kare.
Agar aapko paise kamane wale apps ke bare me nahi pata hai to dont worry, Yaha is post me mai aapko aese 20 best earning apps in india ke bare me bata raha hun jo real or trusted apps hai, In apps me aap kaam kar mobile se paise kama sakte hai, Yah sabhi apps aapko aapke kaam ke badle payment deti hai.
Yah sabhi apps bahut hi popular hai or bahut se log in apps ka use kar earning kar rahe hai.
To chaliye jante hai un 20 best paise kamane wale apps ke bare me, In apps ko aap apne mobile me install kar or kuch chote mote task kar ghar baithe easily online paise kama sakte hai.
20 Best Paise Kamane wale Apps
1. Foap – sell your photos
Yah ek photo selling app hai, Is app me aapko apne dwara khichi gayi photo ko upload karna hota hai or uske baad koi un photos ko buy karta hai to aapko earning hogi.
Agar aapko photo khichne ka shauk hai or aap ek ache photographer hai to aap is app se ache paise kama sakte hai.
Bahut si companies apne project ke liye images buy karti hai, so aese me aap alag alag chijo ki achi or high quality ki photo khich kar is app ki madad se sell kar sakte hai.
Jab aapki koi photo sell ho jati hai to aap un paiso ko foap app se apne PayPal account me le sakte hai.
Download Foap – sell your photos
2. Meesho
Paise kamane wale apps me se meesho ek bahut hi badhiya or popular app hai, Meesho ek products reselling app hai. Isme aap products ko promote kar sale karke paise kama sakte hai.
Meesho me aapko bahut sare products mil jayenge unme se aap apni pasand ke product ko facebook, whatsapp me share kar sale kar sakte hai, Is app ki sabse achi bat yah hai ki aap isme product ka price khud tay karte hai, isme aapko company product ka ek price deti hai uske baad aap us product me apna margin ad kar us product ko promote kar sale kar sakte hai.
Example : Man lijiye ki aapko company ne kisi product ka price Rs 200 diya to aap us Rs 200 me apna margin(100,200 etc) add kar age sale kar sakte hai, Uske baad product sale hone ke baad company Rs 200 kat kar aapko aapne jo margin add kiya tha wo aapke bank account me transfer kar degi. Is prakar aap is app se ache paise kama sakte hai. Is app ko aap free me use kar sakte hai.
3. Google Pay – A simple and secure payment app
Yah ek UPI base app hai, Yah google ki app hai, Is app ko agar aap kisi ke referral link se joining karte hai to aapko Rs. 51 ka bonus milta hai.
Or bhi kai tarike hai is app se paise kamane ke jaise ki agar aap apne Google pay app se apne friends ya other kisi ko Rs. 150 ya isase jyada send karte hai to aapko ek scratch card milta hai jisame aap Rs. 1000 tak jit sakte hai. Isi tarh or bhi offer hai jisase aap acha paisa kama sakte hai.
Is app se earn kiye paise direct aapke bank account me ate hai, Is app me joining ke samay apko apna bank link karna hota hai.
Download Google Pay – A simple and secure payment app
4. RozDhan
Rozdhan ek video sharing app hai. Isme aap videos dekh dekh kar, videos ko share kar etc. tariko se paise kama sakte hai.
Agar aapko video banane ka shauk hai to aap is app me video banakar upload karke bhi paise kama sakte hai.
5. SwagBucks – Surveys that Pay
Yah website or app dono me available hai, Isme aapko kuch task, surveys milte hai jinhe aap complete kar paise kama sakte hai, or iske alawa aap is app ko apne friends, family ko refer karke bhi earn kar sakte hai.
Isase earn kiye paise ko aap apne paypal, gift card me redeem kar sakte hai.
6. Vigo Video – Formerly Hypstar
Is app me aapko kuch second ki videos banakar share karni hoti hai, or uske badle aapko paise milte hai. vigo video online paise kamane ke liye sabse badhiya app me se ek hai, Is app ki madad se log daily ache paise kama rahe hai.
Is app me aap $1 hote hi unhe apne Paypal me redeem kar sakte hai.
7. Pocket Money
Pocket money se aap app download kar, Video dekhkar, friends, family ko refer kar etc tariko se paisa kama sakte hai, Ye app mobile app se paise kamane ke liye best app me se ek hai.
Is app se earn kiye paise ko aap Paytm wallet me redeem kar sakte hai.
8. CashBoss – Free Recharge
CashBoss bhi paise kamane wale apps list me bahut badhiya apps me se ek hai, Is app se paise kamane ke liye aapko kuch chote mote task jaise ki Apps ko install karna, Apne friends, family ko refer karna etc. karne hote hai jinke badle aap is app se kuchh paisa kama sakte hai.
CashBoss app se kamaye paise ko aap apne Paytm wallet ya Recharge kar sakte hai.
Download CashBoss – Free Recharge
9. Kwai – Video Social Network
Kwai meri earning app me sabse favorite app hai, Is app se paise kamane ke liye aapko kuch second ki funny video banakar share karni hoti ha, Jiske badle me aapko paise milte hai.
Is app se earn kiye paiso ko aap apne Paypal account me redeem kar sakte hai.
Download Kwai – Video Social Network
10. MiniJoy
Minijoy bhi mobile app se paise kamane ke best apps me se ek hai, Isme aap kai sare tariko se paise kama sakte hai, jaise ki aap isme game khelkar, spin, apne friends ko refer kar ect. tariko se paise kama sakte hai.
Is aap se earn kiye paise ko aap Paytm wallet me le sakte hai.
11. NewsDog – Latest News, Breaking News
Yah ek news app hai, Isme aapko news ko padhane, New ko share karne, quiz show me participate karke, App ko apne friends ko refer karne ke paise milte hai.
Is app ko apne phone me download karne ke baad facebook se login karne par aapko Rs. 50 mil jayenge.
NewsDog app me jab aapke Rs. 250 ho jayenge to aap unhe apne Paytm account me le sakte hai.
Download NewsDog – Latest News
12. AppLike – Apps & Earn Rewards
Agar aapko game khelna achha lagta hai to ye app aapke liye best hai, Is app me aapko game khelne, game ko install karne ke paise milte hai, Iske alawa aap is app ko apne friends ke sath refer kar ke bhi paise kama sakte hai.
Is app se paise kamane ke liye sabse pahle aap is app ko apne phon me download kar lijiye or apne facebook ya gmail ke jariye isame log in karna hota hai.
Is aap se earn paise ko aap apne Paypal me redeem kar sakte hai or minimum payout $0.50 hai.
Download AppLike – App & Earn Rewards
13. Yumchek – Make Each Meal Count
Is aap se paise kamane ke liye aapko jyada kuchh nahi karna hota hai bas aapko is app me meal receipts ko upload karna hota hai, Jisake aapko paise milte hai, Is prakar aap is app se earn kar sakte hai.
Yumchek app se earn kiye paise ko aap apne Paytm wallet me magwa sakte hai.
Download Yumchek – Make Each Meal Count
14. PayBox
Yah ek website hai but ye puri tarh app ki tarh hai, Isase aap Game khel kar, Daily poll se, Apne friends ko refer kar etc. tariko se paise kama sakte hai.
Is app se earn kiye paise ko aap apne Paytm account me redeem kar sakte hai.
15. TaskBucks – Get Wallet Cash & Recharge
Is app me aapko kuchh task karne hote hai jaise ki App download karna, Quiz me participate karke paise kama sakte hai.
Isake alawa aap is app ko apne friends, family ko share kar ke bhi paise kama sakte hai.
TaskBucks app se earn kiye paiso ko aap apne Paytm wallet me redeem kar sakte hai. Isame minimum payout Rs. 20 hai.
Download TaskBucks – Get Waller Cash
16. True Balance – Mobile Balance Check & Recharge
True Balance ek free recharge app hai, Isame aapko kuchh task milte hai jaise ki App ko install karna, Friends ko refer karna etc. jinhe aap complete kar paise kama sakte hai. Isake alawa is app se aapko recharge karte samay cash back bhi milta hai.
Is app se paise kamane ke liye sabse pahle aapko is app ko download kar apna mobile number dalkar register karna hota hai.
Download True Balance – Mobile Balance
17. WHAFF Rewards
WHAFF app me aap kai tariko se paise kama sakte hai jaise ki Apps download kar, Game khel kar, Video dekh kar or isake alawa aap is app ko apne friends ko refer karke bhi achhe paise kama sakte hai.
Is app se earn kiye paise ko aap apne Paypal me le sakte hai. Isame minimum payout $11.50 hai.
18. Slide
Yah ek lock screen app hai, Yah app aapke mobile screen me apne add show karti hai jisake badle aapko paise deti hai, Or aap ise apne friends, family ko refer kar ke bhi paise kama sakte hai.
Is app se earn kiye paise ko aap apne Paytm, Mobikwik me redeem kar sakte hai.
19. 4Fun App – Funny Video
Is app se aap video ko share kar or app ko friends ko refer karke paise kama sakte hai.
Is aap se paise kamane ke liye sabse pahle is app ko download kar isme apne facebook account se login karna hota hai.
Isake baad aapko isame bahut sare funny videos dekhne ko milte hai in video ko agar aap apne friends ke sath share karte hai or wo us video ko dekhta hai to aapko paise milte hai.
Download 4Fun App – Funny video
20. mCent Browser – Recharge Browser
Yah ek internet browser app hai, Agar aap is app ke through kisi website ko surf karte hai to ye app paise deti hai jinka use hum apne mobile ko recharge karne ke liye kar sakte hai.
Isake alawa aap is app ko apne friends, family ko refer karke bhi earn kar sakte hai.
Download mCent browser – Recharge Browser
To dosto ye hai 20 best paise kamane wale apps jinka use kar aap paise kama sakte hai, Agar aap in apps par rojana kaam karte hai, Apne friends ko refer karte hai to aap in apps ki madad se achi income kar sakte hai, Jyada logo tak refer karne ke liye aap social site jaise ki facebook, whatsapp, twitter me apne referral link ko share kar sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko yah 20 best paise kamane wale apps post achi lagi hogi or agar aapke man me is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.