On Page SEO Kya Hai | On Page SEO Kaise Kare Puri Jankari

On-page SEO kaise kare | Hello friends aj hum is post me on page SEO ke bare me janenge. On page SEO kya hai? On page SEO Kaise kare? On page SEO techniques kaun si hai, etc. Agar aapka koi blog, website hai to aap yaha bataye on page SEO techniques ka use kar aap apne blog website post ko optimize kar apni site ko SERPs me achi rank aur traffic increase kar sakte hai.on page seo techniques in hindi 2020Kisi bhi Blog website ko SERPs me rank karane or adhik traffic increase karne ke liye on page SEO bahut hi important factor hai.

Aap chahe kitna acha post likh le lekin jab tak aap us page, post ka SEO thik tarh se nahi karte hai to aap us post, page ko search engine me rank nahi karwa sakte hai, us post par organic traffic ana thoda muskil hai, So kisi bhi blog website me page, post create karne ke baad uska on page SEO karna sabse important hota hai.

On page SEO kya hai? Iske bare me janne se pahle aapko SEO ke bare me pata hona chahiye, agar apko SEO kya hai or SEO kyu karte hai ke bare me nhi pata to aap humari is post ko padh kar sikh sakte hai.

Jab bhi hum apni website, blog me koi new post likhte hai to use search engine me rank karane ke liye hume 2 important kaam karne hote hai On Page SEO and Off Page SEO

Waise to yah dono hi bhaut important hote hai kisi bhi website blog post ko SERPs me rank karane ke liye, Lekin inme sabe important hota hai On Page SEO, agar aap apne post ka on page seo sahi tarike se karte hai to aapki post SERPs me jaldi rank ho sakti hai.

Aapne kabhi dekha hoga ki kisi post ko ache se likhne, SEO ache se karne ke baad bhi wo post SERPs me first page me rank nahi karti hai to kahi na kahi iski bajah On Page SEO na karna ya thik tarh se nahi karne se ho sakta hai, So on page SEO search engine me post ko rank karne ke liye sabse important role play karta hai.

On Page SEO Kya Hai? On Page SEO Kaise Kare

On-page SEO ko hum On site SEO bhi kahte hai, Iski madad se hum apne website, blog ke post, page ko sahi tarh se optimization kar search engine result page me top par la sakte hai.

Website, blog ke pages, post ko search engine jaise ki Google, Yahoo, Bing me top par lane ke liye jo customizing karni hoti hai jaise ki Post tittle, Meta tag, Meta description, Meta keyword, Keyword density, Image optimization, etc. ye sab karne ko On Page SEO kahte hai.

On-Page SEO Techniques In Hindi

Agar aap yah niche bataye on page SEO techniques ka sahi tarh se apne website, blog post, pages me implement karte hai to defiantly aapke website blog SERPs me rank karega aur us par organic traffic bhi increase hoga.

1. Title Optimization

Kisi bhi website, blog ke post ka title on page SEO techniques me sabse important role play karta hai.

Post ka title likhte samay aapko kin kin chijo ka dhyan rakhna chahiye –

  1. Length: Aap apne post ka title maximum 70 characters(including spaces) ka rakhe isse jyada ka tittle SEO ke liye sahi nahi mana jata. (35 -70)
  2. Targeting Keywords: Aap apne post title me only targeting keyword ka hi use kare.
  3. Keyword Separation: Agar aapne ek se jyada keywords use kiye hai to unko (|) se separate kare. Ex. On Page SEO kya hai | On Page SEO kaise kare.
  4. Don’t Duplicate Title Tags: Apne website, blog me ek hi tittle ko kisi dusre page, post me same na likhe, Har page post me different tittle rakhe.
  5. Don’t Use Stop Words: SEO ke point se humhe apne title me stop words ka use nahi karna chahiye. Like- it, by, as etc.
  6. Use Number: Post ke title me number ko use kare jaise ki Top 10 on page seo techniques.

2. URL/Permalink Optimization

URL optimization bhi On-Page SEO me bahut important hai, URL me aap post ke main keyword ko add kar sakte hai.

URL banate time kin kin bato ko dhyan me rakhen-

  1. Short URL: Hamesha apne post pages me short url hi use kare.
  2. Unique URL: Apne har page post ka url unique rakhiye kisi ka bhi same url na rakhe.
  3. Use a Dash(-): Apne post ke url me word ko separate karne ke liye (-) lagaye jaise ki on-page-seo-kaise-kare
  4. URL me slashes, underscores, ya number ko use na kare.

3. Meta Description

Meta description search engine result page me title ke niche show hota hai, isme aap apne post ka sort summary likh sakte hai, jisse ki user ko ye samjhne me asani ho ki ye post kis topic se related hai.

Agar aap apne post me meta description ko sahi se use karte hai to aapki post search engine result page me jaldi rank karegi.

  1. Use a Maximum of 160 Characters: Meta description me aap maximum 150-160 characters ka hi use kare.
  2. Avoid Duplicate meta description: Aap apne har post page ke meta description ko alag alag rakhiye same meta description na use kare.
  3. Use keywords: Apne post ke meta description me long tail keywords ka use kare.

4. Image Optimization / Alt Text

Image optimization ke bare me bahut kam logo ko hi pata hoga but ye sach hai ki agar aap jo images apne post me use karte hai un images ko sahi tarh se optimization karte hai to aap apne website blog me acha traffic generate kar sakte hai. Ex. Google image.

Agar aap apne post me jyada traffic pana chahte hai to aapko images ko sahi tarh se optimization karna ana chahiye.

  1. Aap jab bhi apne post page me image use kare to uska alt text jarur likhe. Isse aapki post ko search engine me achi ranking milti hai.
  2. Alt text me 5–15 words likhna SEO ke liye sahi mana jata hai, jyada bada alt text na likhe.
  3. Alt text me keyword ka use kare.
  4. Jo bhi aap image me alt text likhe wah meaningful hona chahiye.
  5. Image ka size kam se kam rakhiye, jisse ki aapki post loading hone me jyada time na lagaye, Agar aap photoshop use karte hai to image save for web(ctrl+shift+alt+s) me save kare isse aapki image ki size bahut kam hoti hai.

5. Broken Link Management

Broken link ka matlab aese link se hai jo kaam nahi karte jinpar click karne se 404 not found error page show karte hai.

Broken Link Kaise Bante Hai?

Jab aap apne kisi post me kisi dusre post ya page ka link add karte hai or baad me us page ya post ko kisi karan se remove kar dete ho to aese me wo link ek broken link ho jata hai, jiska koi kaam nahi hai or koi use user link par click karta hai to use 404 not found error page show hota hai, jo ki on page SEO ke liye sahi nahi mana jata hai yah SEO me negative impact dalte hai.

Iske alawa aapke post ke comment se bhi broken link bante hai, Jaise ki aapki post par bahut sare log comment karte hai or un comment me link add karte hai to aese me un comment me broken link hone ke chances hote hai.

Apni website blog me broken link ko check karne ke liye aap free link checker, W3C link checker ki madad le sakte hai.

6. Content Optimization

Kisi bhi website blog ke page me content bahut important hota hai, agar aapke page me content acha nahi hai to user aapke web page ko open karte hi close kar dega or aesa karne se aapke website ki ranking km ho sakti hai. So aap jo bhi content likhe ek dam unique or acha likhe, Aap jis bhi topic par apne blog website me post likhte hai uske bare me pure details ke sath likhe.

  1. Apne post me kam se kam 1000 words likhe, koshis kare ki isse bhi jyada ka post likhne ki, kyunki jitna jyada word ka aur unique post likhenge utni hi jaldi us post ki rank hone ke chances hote hai.
  2. Hamesha new or unique post likhiye.
  3. Apne content me jo bhi aap information likhe use chote chote paragraph me likhe jisse user ko padhne me asani ho.
  4. Apne content me images ka bhi use kare.

7. Internal Linking & External Linking

Jab bhi aap koi new post likhte hai to aap us post me kisi other post ya page ka link add kare.

Internal Link : Internal link ka mtlab hota hai ki jab bhi aap ko new post likhte hai to us post me apne kisi dusre old post ka link add karna. Isse apki us post ki  ranking achi hogi aur traffic bhi increase hoga.

Apne post me usi post se related link ko hi add kare, Jaise ki agar SEO ke bare me post likh rahe hai to aap SEO se  relative dusri post ka hi link add kare.

External link : External link wo link hote hai jo kisi or authority website ke link ko apne post me add karna. Jaise ki aap agar kisi site ke bare me bata rahe hai to aapko us site ka link apne us post me add karna chahiye, jaruri ho to hi link ko add kare kisi bhi faltu link ko add na kare.

8. Sitemap

Sitemap ek .xml file hoti hai  jisame aapki website ke sabhi pages ke url hote hai, Iski madad se hi search engine aapki website me maujood sabhi web pages tak pahuch pata hai. Sitemap ka on page SEO techniques me bahut hi important role hota hai.

Asan sabdo me bolun to sitemap humari website ka map hai jo search engine me hamari website ko rank karane me madad karta hai. Sitemap humari websites ke sabhi web pages ki information search engine ko deta hai.

SEO ke point of views se kisi bhi website blog ke liye sitemap banana or use search engine me submit karna bahut hi jaruri hai.

Apne website bog ke liye sitemap banane ke liye aap XML-Sitemap.com website ki madad le sakte hai, or agar aapka blog wordpress par hai to aap Yoast plugin ki madad se sitemap generate kar sakte hai.

9. 301 & 302 Redirects

Redirect ka matlab hota hai ki ek url se dusre url me move hona.

301 Redirect– Ise permanent redirect bhi kaha jata hai.

Is ko hum ek example se samjhte hai – Maan lijiye ki aapne apne blog me ek post likha or us post ka seo karne ke baad wo post achi rank par hai, but kuch samay baad kisi karan aap us post ka URL(url1) change karna chahte hai to aese me aapko dar hai ki agar us post post ka URL change kiya to puri mehnat jo ki us post ko rank karne me kiya tha sab bekar ho jayega to aese me aap chahte hai ki post ka URL change karne par bhi us post ke traffic me koi fark na aye to aap apne us post ko 301 redirect kar sakte hai. Isme aapki us post ke URL(url1) ki traffic ko us change kiye URL(url2) me permanently redirect kar diya jayega, agar koi user URL(url1) par click karega to use URL(url2) me redirect kar diya jayega.

302 Redirect – Isko temporary redirect bhi kaha jata hai, Iska use hum jab karte hai jab kisi page post ke url ko kuch samay ke liye redirect karna chahte hai.

10. Favicon

Aapne dekha hoga ki jab bhi aap kisi ki website blog ko open karte hai to uper browser tab ke sath left me ek chota sa icon dekhne ko milta hai ise hi favicon kahte hai, Favicon ko lagane se aapke blog website ko ek professional look milta hai, or website blog me favicon lagana SEO ke liye bhi sahi mana jata hai.

Favicon aap favicon.cc ki website se bana sakte hai. Ya aap kisi photo editor software se bhi favicon bana sakte hai.

on page seo kya hai

Suggestion:

  1. Aap jo bhi keyword apne post me rank karana chahte hai use aap apne post ke starting ke 100–150 words ke bich me use jarur kare.
  2. Subheading jaise ki h2, h3 me apne targeting keywords ko use kare.
  3. Apni website ki speed badhaye, Apni website ki speed ko check karne ke liye aap Google  page speed tool, GTmetrix jaise tools ka use kar sakte hai.
  4. Apne web page me social sharing button ka use kare.
  5. Tittle me modifiers use kare jaise ki Top, Best, Latest, current year, etc.
  6. Apne post se related tag ka use kare.
  7. Post me multimedia use kare.
  8. Post me total words ke 1-3% keywords ka use kare.
  9. Post ko attractive banaye.
  10. User ke comment ka reply jarur kare.

Ummid karta hun ki aapko ye on page SEO kya hai? On page SEO kaise kare post achi lagi hogi, Agar aapko is post me kuch samjh nahi aya ho ya koi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Dosto agar aapko is post me kuch sikhne ko mila ho to aap is post ko apne friends ke sath social site me share jarur kare.

Leave a Comment