Off Page SEO Kya Hai | Off Page SEO Kaise Kare Puri Jankari

Off page SEO techniques in hindi | Hello friends aj hum is post me off page SEO kya hai ? off page seo kaise kare? Best off page SEO techniques ke bare me janenge. Agar aap blog, website chalate hai to aapko pata hi hoga ki kisi bhi website blog ki traffic increase karne or SERP me top par lane ka sabse acha or free tarika SEO hai. SEO ki madad se hi aap free me apne website blog  ko google or others search engines me top par la sakte hai or apni site par jyada se jyada traffic increased kar sakte hai.

Agar aapke website blog me jyada visitors nahi a rahe hai or aap off page SEO ke bare me nahi jate hai to aap is post ko last tak padhe is post me mene off page SEO ke bare me puri jankari share ki hai, Aap is post me bataye sabhi off page SEO techniques ko follow kar apne website blog ki ranking increase kar sakte hai.

off-page-seo-kaise-kareJaisa ki aapko pata hoga ki SEO ke main 2 part hote hai On Page SEO or Off page SEO

Kisi bhi website blog ko search engine me rank karane ke liye on page SEO or off page SEO dono hi bahut important hote hai.

On page SEO kaise kare? ke bare me mene ek post already publish kiya hua hai aap us post ko padh kar on page SEO ke bare me jan sakte hai. Aj is post me hum off page SEO kya hai? Off page SEO kaise kare? or off page SEO technique ke bare me janenege.

Off Page SEO Kya Hai? What is Off page SEO

On page seo me wo sare tarike ate hai jinki madad se hum apne content ko SEO friendly banate hai, Ye bat puri tarh se such hai ki content is king, content hi sabse important hota hai aapki post ko search engines me rank karne me, But uske alawa website blog ke liye backlinks create karna bhi bahut jaruri hai, or off page SEO me hum backlinks create karne ke techniques ko karte hai.

off page SEO ke under hum un sabhi techniques ko karte hai jinse hum apne website blog ko jyada se jyada promote kar sake or backlinks bana sake jisse humari website blog ki ranking improve hoti hai.

Simple sabdo me kahe to jab hum post ko publish karte hai or uske baad us post ko search engines me top par lane ke liye jitni bhi activities jaise social site me sharing, commenting, etc. karte hai usko hi Off-Page SEO kahte hai.

Off page SEO ka sabse important factor hai ki aapki site kitne other sites se link hai or aapki sites me kitne quality backlinks hai.

Of Page SEO Kaise Kare | Best Off Page SEO Techniques in Hindi

To chaliye jante hai ki off page SEO kaise karte hai or best off page seo techniques kaun si hai, jinse hum apne blog website ke liye quality backlinks or traffic generate kar sakte hai.

1. Social Bookmarking Sites

Yah technique website, blog ko promote karne or backlink create karne ke liye sabse best technique hai. Aap high PR bookmarking sites me apne website, blog ke kisi post, page ki bookmarking  kar apni site par traffic or backlink dono hi bana sakte hai.

2. Article Submission

Aap apne website blog se related article likh kar article submission sites me submit kare. Isse aap apne blog website ke liye dofollow backlink or traffic create kar sakte hai. Internet me aesi bahut sari websites hai jo article publish karne ki facility provide karti hai.

Bas aap is bat ka dhyan rakhe ki article submission karte samay aap jo hi article submit kare wo unique or high quality ka hona chahiye agar aapka article copy ya low quality ka hoga to article reject ho sakta hai.

Article submission karte samay aap apne article ka ek acha sa unique tittle dale, sahi categories ko select kare or article me aap apne website blog ka link bhi add kare, uske baad submit kare.

Top free Article submission sites

  1. hubpages.com
  2. selfgrowth.com
  3. articles.org
  4. insertarticles.info
  5. thefreelibrary.com
  6. buzzle.com
  7. seekingalpha.com
  8. articlecube.com

3. Image Submission

Apne website blog post ki images ko popular images sharing sites me share kar apni website blog ke liye backlink or traffic pa sakte hai. Image submission me aap Hd high quality ki image share kare or image ka sahi title, description or url add kare.

4. Question and Answer Sites

Apni website blog me traffic or backlinks create karne ke liye yah bhi ek bahut hi badhiya off page seo technique hai. Aap popular question answer wali sites ko join kar apne website blog se related topic ke questions ka answer de sakte hai answer me aap apni us question se related post  ka link bhi de sakte hai isse aapki website blog me traffic or backlink dono milega.

Top Question & Answer Sites

  1. quora.com
  2. ehow.com
  3. answers.yahoo.com
  4. superuser.com
  5. askmehelpdesk.com
  6. answers.com

5. Infographic Submission

Apne website, blog se related content ka ek acha creative infographic banakar use infographics site me share kar apne website blog ke liye backlink le sakte hai. Aj ke samay me infographic bahut popular hai.

Top Infographic sharing sites

  1. visual.ly
  2. submitinfographics.com
  3. infographicsarchive.com
  4. infographicsshowcase.com
  5. graphs.net

6. Blog commenting

Aap apne website blog ke niche se related other blogs me comment kare. Comment meaning full kare tabhi hi aapka comment approve hoga isse apki site ke liye backlink generate hota hai.

Jab bhi aap kisi post me comment karte hai to waha se aapko backlink to milta hai but jydadar nofollow backlink hi milta hai or seo ke liye dofollow backlink best mani jati hai, So koshish kare ki aap aese blog me comment kare, otherwise aap nofollow link dene wali high DA website me bhi comment kar sakte hai.

7. Video Sharing

Apne Blog, website se relate content ke upar video banakar video sharing site me share kare. Video upload karte samay video ko sahi tarh se optimize kare jaise ki uska tittle, description, tags, apni site ka link, etc.

Video sharing ka benefit yah hai ki video sharing site ki page rank bahut high hoti hai jisse aapko high-quality ka backlink milega or in site ke visitors bhi bahut adhik hote hai jisse aapki site me traffic increase hoga.

Agar aap video create nahi kar sakte hai to aap ppt slide me kuch video banakar upload kar de.

Top Videos submission sites

  1. youtube.com
  2. dailymotion.com
  3. vimeo.com
  4. myspace.com
  5. metacafe.com

8. Forum Submission

Internet me aese kai forums hai jaha aap free register kar apne website blog se related niche ke topics par discussion kar sakte hai or waha puche question ka reply bhi kijiye, Isse aapki website ko acha traffic or backlink milega.

Top Forum Submission Sites

  1. bbpress.org/forums
  2. forum.joomla.org
  3. digitalpoint.com
  4. addthis.com/forum
  5. forum.siteground.com
  6. forum.wordreference.com

Forum submission sites me aapko apne website blog ke liye article likhne ke liye idea mil jayega ki log kis topic ko jyada search karte hai, uske anusar aap article likh sakte hai.

9. Profile Creation

Profile creation se aap apne website, blog ke liye high quality backlink bana sakte hai. Isme aapko profile creation sites me jakar apna profile create karna hota hai jisme aap apne website, blog ka link add kar sakte hai, description add kar sakte hai or aap inme apne social media pages ko bhi add kar sakte hai.

Top Profile Creation Sites

  1. disqus.com
  2. about.me
  3. moz.com
  4. openstreetmap.org
  5. visual.ly
  6. ted.com
  7. deviantart.com
  8. quora.com
  9. wayn.com
  10. myspace.com

10. Guest Post Likhe

Aap apne website, blog se related niche wali other site par guest post likhe. Guest post backlink pane ka ek best tarika hai. Guest post ke liye aap apne website blog se related aese sites ko search kare jo guest post likhne ke liye allow karti ho.

11. Document Sharing

Apne website, blog se related alag alag tarh ke document create kar unhe document sharing sites me share kar apne website blog ke liye backlink pa sakte hai. Document me unique content rakhiye or document ka format ppt, pdf etc. hona chahiye.

  1. slideshare.net
  2. issuu.com
  3. jumpshare.com
  4. 4shared.com
  5. scribd.com

12. Website, Blog ko sabhi search engines site me submit kare

Aapne apni website blog ko google, bing, yandex search engines me submit to kiya hi hoga but inke alawa bhi baki sabhi search engines me apne website blog ko submit kare.

Apne website blog ko sabhi search engine me submit karne ke liye aap entireweb.com site ki help le sakte hai.

13. Social Media Engagement

Website blog ko popular banane ke liye social media me logo ke sath engage hohiye. Sabhi social networking site me apne website blog ke liye account, pages banaye.  Isse aapke website blog ko traffic or backlink dono milega.

Top Social Networking sites

  1. Facebook
  2. Twitter
  3. Linkedin
  4. Instagram
  5. Pinterest
  6. Tumblr
  7. Telegram
  8. Youtube

14. Classified Submission

Aap apne website blog ke post ko classified submission site me add post kar high quality backlink bana sakte hai. Add post karte samay aapko Tittle, Description, Categories, Url etc ko fill karna hota hai, Aap apne blog website se related sahi categories, description, url etc daal kar in sites me add post kar sakte hai.

Internet me aesi bahut sari classified submission site hai jaha aap apne website blog ko free me promote kar backlinks or traffic pa sakte hai.

Top Classified Submission sites

  1. locanto.net
  2. classifiedads.com
  3. craigslist.org
  4. salespider.com
  5. adpost.com
  6. hotfrog.in
  7. adlandpro.com
  8. oodle.com

So ye hai best off page SEO techniques jinki madad se aap apne website blog me quality backlinks or traffic la sakte hai.

Ummid karta hun ki aapko ye off page SEO kya hai? off page SEO kaise kare? post achi lagi hogi, or agar aapke man me is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Agar aapko is post me kuch naya sikhne ko mila ho to is post ko aap apne friends ke sath social networks sites me share jarur kare.

Leave a Comment