Top 10 Best Low Investment Business Ideas in Hindi

Business ideas in hindi | Hello friends aj hum is post me top 10 best low investment business ideas ke bare me janenge jinhe aap kam investment me start kar achi income kar sakte hai. Agar aap bhi apna business start karne ki soch rahe hai aur low investment business ideas in hindi ke bare me search kar rahe hai to ye post aapke liye useful and helpful rahegi.

Jyadatr logo ka sapna hota hai ki wo apna khud ka business start kare, lekin jab business ki baat ati hai to sabse pahla sawal yahi hota hai ki kisi bhi business ko start karne ke liye jayda investment ki jarurat hoti hai, or is karan wo apna business start nahi kar pate hai, but aj ke samay me aese kai business hai jise aap low investment ke sath bhi start kar sakte hai, or in business se profit bhi acha generate hota hai.

business ideas in hindi

Ajkal business ka trend bahut badhta ja rah hai, Bhaut se log apna khud ka business karna chahte hai jo unhe financial freedom de sake. Ajkl bahut aesi business ideas hai jinhe aap low investment ke sath start kar ek ache businessman ban sakte hai.

Business ko start karne se pahle aap is baat ko jaan le ki aapko us business ke bare me kitna knowledge hai, Agar aapko us business ke bare me jyada jankari nahi hai to pahle aap us business ke bare jankari le uske baad hi business me investment kare.

To chaliye jante hai un 10 best low investment business ideas in hindi ke bare me jise aap km investment se start kar sakte hai.

10 Best Low Investment Business Ideas In Hindi

Starting low investment business karne se fayda ye hota hai ki aese business me aap km paise laga kar acha profit bana sakte hai, or agar kisi karan ye business safal nahi ho pata hai to aapko loss bhi kam hoga.

1. Mobile Cover and Tempered Glass Business

Jaisa ki dosto hum sab ko pata hai ki aj ke samay me mobile ka use kitna badh gaya hai. Aj ke samay me bache se lekar badha har koi mobile use karta hai. Or har koi apne mobile ko stylish look dene or mobile ko tutne futne se safe rakhne ke liye mobile me back cover or tempered glass jarur lagata hai. So aese me aap mobile cover or tempered glass ka business kar acha profit bana sakte hai.

Agar hum bat kare mobile cover and tempered glass business investment ki to is business ko start karne ke liye jyada investment ki jarurat nahi padati.

Agar aapka budget jyada hai to aap apni khud ki mobile cover banane ki printing machine laga sakte hai, Mobile cover banane ki machine ki cost jyada nahi hoti hai or yah jyada badi size ki bhi nahi hoti ki jiske liye apko bada room lene ki jarurat pade ye normally printer ke size jitna hota hai ise aap kahi bhi rakh sakte hai.

Or agar aapke paas jyada paise nahi hai or aap machine buy nahi kar sakte to koi baat nahi aap bina machine ke bhi is business ko start kar sakate hai. India me aese bahut sari wholesale dukane hai jaha se aap cover, tempered glass ko bahut km kimat me buy kar sakte hai, cover or tempered ka price wholesale me Rs 10-15 se starting hoti hai jinhe aap bahar retail me Rs 50-80 tak sell kar sakate hai.

Yah ek bahut hi badhiya low investment business idea hai jisse aap acha profit bana sakte hai.

2. Mobile Shop Business

Aap sab jante hai ki mobile aj ke samay me kitna important ho gaya har. Badi badi companies aye din new feature ke sath naye naye mobile market me launch karti rahti hai. Jis tarah se mobile market increase ho raha hai usse aap antaja laga sakte hai ki mobiles shop kholna kitna profit ka business ho sakta hai.

Is business ko aap ek choti shop se start kar sakte hai, baad me jab aapka business acha chalega to aap apni shop ka bada kar sakte hai.

Mobile shop business ke liye apko kisi technical knowledge ki jarurat nahi padti bas kuch basic jankari honi chahiye jaise ki mobile ke brands ke name ke bare me, camera, function etc. in basic jankari ko aap internet ki madad se asani se sikh sakte hai.

Mobile shop business me aap sirf mobile bech kar paise kamane ke sath sath mobile recharge, mobile accessories, coupons, etc. se bhi paise kama sakte hai.

3. T-shirt Printing Business

Aj ke samay me ye business sabse jyada chalne wale business me se ek hai. Agar aapko designing ati hai jaise ki aapko Photoshop, Coreldraw ya koi bhi designing software ke bare me achi jankari hai to aap is business ko kar ache paise kama sakte hai.

Is business ko start karne ke liye aapko jyada investment ki bhi jaruart nhi hoti hai, is business ko aap Rs. 50k-60k investment ke sath start kar sakte hai. Or is business ki achi bat ye hai ki iske liye aapko kahi bahar badi dukan lene ki jarurat nahi hai aap is business ko apne ghar se ek room se bhi start kar sakte hai.

Ajkl har koi person new new design ki t-shirt pahanna pasand karat hai, aese me aap apne creativity skill se t-shirt me new new design ko print kar use sell kar ache paise kama sakte hai. Aapke design jitney attractive or ache honge utni hi jyada aapke t-shirt sell hongi. T-shirt ko aap online bhi sell kar sakte hai.

Aap t-shirt printing ke sath sath Mug printing, Bag printing, etc. bhi kar sakte hai.

Dosto aj ke samay me ye business bahut teji se chal raha hai, So aap bhi is business ko kar ke ache paise kama sakate hai.

4. Coaching Center Business

Agar aapko kisi subject me achi knowledge hai or aap student ko padha sakte hai to aap apna khud ka coaching center open kar ache paise kama sakte hai, Is business ko start karne me jyada kharcha nahi ata low investment business karne ke liye ye bahut hi badhiya business hai.

Is business ko aap starting me apne ghar se bhi star kar sakte hai. Jab aapka business grow karega to aap kahi bahar room lekar or kuch teacher ko hire kar apne business ko bada sakte hai.

5. Photocopy & Book Binding Business

Photocopy or Bookbinding ka ek aisa business hai jise aap badi asani se or bahut km investment me start kar sakte hai, Agar apka budget km hai or aap apna business karna chahte hai to aapke liye ye business best hai km budget me aap is business ko start kar is business se acha profit kama sakte hai.

Is business ko agar aap aise jagah ke aspas karte hai jaha College, Offices, Coat ho to aapka business acha chalega.

Is business ki sabse achi bat yah hai ki iska koi khas season nahi hota ye pure 12 months 365 day chalne wala business hai.

Photocopy or book binding ke sath sath aap lamination, print ka kaam bhi kar sakte hai.

6. Event Management Business

Agar aapme management ki achi skill hai to aap event management ka business start kar ache paise kama sakte hai.

Ajkal jyadatar kaam event management ke jariye hi ho rahe hai, Chahe wo koi bada program ho ya chhota mota function ya fir saadi ho ya birthday party sab mauke par ajkal event organised karte hai or logo ke pass itna samay nahi hota ki wo khud se sara kaam kar sake, so aise me wo event management company ko hire karte hai or ye sab kaam karne ke liye paise dete hai. Jiske badle me wo event management company ki team us event ko ache se manage karti hai.

Is business ko karne ke leye aapko jyada kuch investment nahi karna hota, bas aapke pass management skill achi honi chahiye.

7. Beauty Parlor Business

Yah business mahilayo ke liye jyada badhiya sabit ho sakta hai.

Jis prakar aj ke samay me makeup ka prayog badh raha hai isase aap soch sakte hai ki future me yaha business kitna profit de sakta hai. Aap 3-4 mahino ko beautician course kar is business ko start kar skati hai.

Is business ko start karne ke liye aap sabse pahle ek acha sa location search kar lijiye jaha aap beauty parlor ka business start kar sakte hai. Agar aap bahar dukan nahi le sakte to aap is business ki starting apne ghar ke ek room se bhi kar sakte hai.

8. PC, Laptop Repairing

Aj ke samay me PC, Laptop logo ki mukhya jarurat ban gayi hai, Lagbhag aj ke samay me har ghar me ek laptop ya pc to hota hi hai.

Agar aapko PC, Laptop repairing ati hai to aap PC, Laptop repairing ka business kar ache paise kama sakte hai.

Agar aapko PC, Laptop reaping nahi ati hai to aap Pc, laptop repairing ka course kar sakte hai yah course jyada lambe samay ka nhi hote in course ko karne ke liye 3-6 mahine lagte hai usakbe baad aap pc, laptop repairing ka business start kar skate hai, Or is course ki fee bhi jyada nahi hoti.

9. Flex Printing Business

Flex printing ka business aj ke samay me bahut hi jyada chalne wala or profitable business me se ek hai.

Aapne dekha hoga apne aspaas ya market me har dukan ke bahar flex printing ke board lage hote hai ya sadako par, bus station ya kisi anya jagah par dekha hoga ki kisi products ke add ke bade bade banner lage hote hai.

Agar aapko Photoshop, Core draw ya koi bhi photo editing software ke bare me jankari hai to aap is business se ache paise kama sakte hai.

Flex Printing ke sath sath aap card printing ka kaam bhi kar sakte hai.

10. Mineral Water ka Business

Mineral water ke business ko start karne ke liye aapko jyada investment karne ki jarurat nhi padati, ise aap bahut km budget ke sath star kar sakte hai.

Aapne apne aas paas dekha hoga ki auto, rickshaw mineral water ki bottle ko dukano, gharo, office me delivery karne ate hai, or aapne sadi partiyo me bhi dekha hoga ki mineral water ki bottle ka use hota hai. Yah kabhi na band hone wala business me se ek hai.

Is business ko khaskar garmiyo me karne se acha profit mil sakta hai.

To dosto ye hai 10 best low investment business ideas in hindi jinhe aap km budget se start kar acha profit kama sakte hai. 

I hope ki aapke liye ye low investment business ideas in hindi post helpful rahi hogi, Agar aapke man me is post se related koi question ya doubt ho to aap niche comment me puch sakte hai. 

Leave a Comment