Jio GigaFiber Online Registration Kaise Kare – Jio GigaFiber Broadband

Jio GigaFiber Broadband | Dosto jaisa ki aap sabhi jante honge ki 5 September  2019 se Jio GigaFiber ki sewaye pure desh me suru ho rahi hai, Jiski madad se aap apne ghar or office me broadband connection lagwa sakte hai. Agar aap bhi jio gigafiber ki sewaye lena chahte hai to aap is post ko last tak padhe is post me hum janenge ki jio gigafiber broadband online registration kaise kare? kin kin chijio ki jarurut hogi? Plan kya hai etc. sabhi ke bare step by by janenge.

Jio GigaFiber Online Registration Kaise Kare

Jio GigaFiber Boradband Plans

Jio Gigafiber broadband plans ki suruwati kimat Rs. 700 se Rs. 10,000 mahine tak ki hai, Matlab agar aap ghar par broadband connection lagwana chahte hai to minimum Rs. 700 ka plan lena hoga, jisme aapko 100mbps ki speed milegi, or agar aapko isse jada speed chaiye to aap apne plans ko increase bhi kar sakte hai jo Rs. 10000 mahine tak ka hai jisme aapko 1gbps speed milegi.

Jio gigafiber Broadband connection installation charge zero hai, Ise aap Free me lagwa sakte hai.

Jio Broadband connection installation ke koi charge nahi hai par connection karte samay Rs. 2500, security deposit karna hoga jo pura refundable hai.

Jio gigafiber broadband connection ke liye aapko 2 document ki jarurat hogi, Aadhaar card or ek dusra koi bhi Address verification ke liye jese ki driving licence, voter id card, PAN card, etc.

Jio GigaFiber Online Registration Kaise Kare?

Jio gigafiber ki sewaye lene ke liye sabse pahle aapko jio ki site par jakar online registration karna hoga, uske liye niche di steps ko follow kare –

Step1: Sabse pahle aap jio ki officially website Jio GigaFiber ko open kar lijiye.

Step2: Ab aapse pucha jayega ki aap jio gigafibaer ka connection apne ghar ke liye lena chahte hai ya office ke liye, Aap dono me se ek ko select kar uska location daal dijiye uske baad Conform ke button par click kar dijiye.

jio gigafiber plans 2020

Step3: Ab aapko apni detail dalni hai. jaise ki Full Name, Mobile Number, Email Id. Yaha par aap apni sahi details dale. Ab yaha se Generate OTP par click kar aapke mobile par ek OTP ayega use dal kar verify kar lijiye.

jio gigafiber broadband

Step4:  OTP dal kar verify karne ke baad aapki registration puri ho jayegi or iske baad jio ki aur se aapke paas ek email & message ayega jisme bataya jayega ki jese hi aapke area me connection lagna start honge Jio ki taraf se aapse contact kiya jayega or aage ki jo bhi process hoga wo complete ki jayegi.

Ummid karta hun ki aapko ye Jio GigaFiber online registration kaise kare post achi lagi hogi, Agar aapke man me Jio GigaFiber Broadband se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment