Instagram se paise kaise kamaye | Hello friends aj hum is post me Instagram se paise kaise kamaye ke bare me janenge. Agar aap bhi ek Instagram user hai or Instagram ka use kar online paise kamana chahte hai to ye post aapke liye helpful ho sakti hai.
Basically hum sab instagram ka use photos, videos share karne, new friends banane, chat karne, etc. ke liye jyada karte hai, Ye to hum sabhi jante hai but iske alawa kya aap jante hai ki hum instagram se online paise bhi kama sakte hai, Agar nahi to aap is post ko last tak padhe is post me mai aapko puri jankari dunga ki kaise hum instagram se paise kama sakte hai? Instagram se paise kamane ke liye kin kin chijo ki jarurat hogi? sabhi ke bare me detail me janenge.
Instagram par hum har din kai ghante apne friends ke sath chat kar, photos, video share kar bitate hai, Aese me agar aapko Instagram ka use karte huye earning karne ko mile to kaisa hota? Ji ha dosto ye such hai agar hum Instagram ka sahi tarike se use karte to hum fun ke sath sath Instagram se achi income bhi kar sakte hai. Aj ke samay me bahut se log hai jo Instagram se ache paise kama rahe hai.
To chaliye ab jante hai ki Instagram se paise kaise kamaye jate hai.
Instagram Se Paise Kaise Kamaye
Dosto aesa nhi hai ki aapne aj Instagram par account banaya or aj se hi aapki earning hona start ho jayegi. Instagram se paise kamane ke liye aapke Instagram me ache followers hone jaruri hai, Aapke Instagram me jitney jyada followers honge aapki earning bhi utni hi achi hogi.
Online internet par kisi bhi platform (Youtube, Facebook, Blogging) se paise kamane ke liye jaruri hai ki aapke paas ache follower, visitors hone chahiye tabhi hi aap online achi earning kar sakte hai.
Isi tahah Instagram se paise kamane ke liye bhi aapke Instagram account me ache followers hone chahiye.
Instagram Par Followers Kaise Badhaye?
Instagram par follower badaane ke liye sabse jaruri hai ki aapki profile kaise dikhti hai. So sabse jaruri hai ki aap apni instagram profile ko acha banaye ek achi high quality ki DP lagaye or ek acha sa bio likhe, kyunki koi bhi aapko follow karne se pahle wo aapki profile ko dekhta hai uske baad hi wo aapko follow karta hai.
Iske alawa kuch bate jisse aap apne followers jaldi badha sakte hai.
- Instagram me account create karte samay aap apne bare me sahi sahi details dale.
- Daily new post share kare.
- Achi quality ki photos share kare.
- Post ko share karte time hashtag(#) ka jarur use kare.
Instagram Se Paise Kamane Ke Tarike
Ab jab aapke Instagram account par ache aur real followers ho jate hai to aap Instagram se kai tariko se paise kama sakte hai.
1. Sponsorship Se Paise Kamaye
Instagram se paise kamane ka sabse best or popular tarika hai sponsorship, Aap Instagram pe kisi company, brand ka sponsored kar paise kama sakte hai. Sponsor ke liye aapke Instagram account par ache khase followers hone chahiye.
Aj ke samay me bahut sari aesi companies, brands hai jo apne products ko online promote karwana chahti hai ye company, brands Instagram me aise profile ko search karte hai jinke jyada aur engage followers hote hai, aese me agar aapke Instagram me jyada follower hai to aap bhi products ka promotion kar paise kama sakte hai. Isme bas aapko us brands, product ki photo, videos or uske bare me kuch detail likh kar apne Instagram account par post dalna hota hai or us post ko us brand ko tag karna hota hai jiske liye wo company, brand aapko paise deti hai.
Sponsorship kaise le? Aapke Instagram me km followers hai to sponsorship milna thoda muskil hota hai, Aap starting me Famebit, Tapinfluence, GOsnap jaisi website ki madad se sponsorship le sakte hai or agar aapke Instagram account par lakho me followers hai to company khud aapko contact karti hai.
2. Promote Your Products, Business
Agar aapka koi business hai to aap Instagram ki madad se apne business ka promotion kar sakte hai or apne business ko jyada se jyada logo tak pahucha sakte hai.
3. Sell Instagram Account
Agar aapke pass Instagram account hai jisme kai hajaro followers hai or aap us account ko use nahi karte hai to aese me aap apne us account ko sell kar paise kama sakte hai.
Aapko internet par bahut sari aesi website mil jayegi jo Instagram account ko sell karne me aapki madad karti hai. Aap aesi website ki madad se apne Instagram account ko sell kar paise kama sakte hai ya fir aap fiver ki madad se bhi apne account ko sell kar sakate hai.
4. Affiliate Program Se Paise Kamaye
Instagram se paise kamane ke liye yah bhi ek bahut badhiya tarika hai. Jis prakar hum apne website, blog , youtube channel, etc. se affiliate program ka use kar paise kama sakte hai thik usi prakar hum instagram se bhi affiliate program ko promote kar paise kama sakte hai.
Agar aap affiliate program kya hai isse paise kaise kamate hai ke bare me or adhik janna chahte hai to aap humari affiliate program kya hai or affiliate program se paise kaise kamaye post ko padh sakte hai yaha mene step by step bataya hua hai.
5. Photo Sell Kar Paise Kamaye
Jaisa ki hume pata hai ki Instagram ek photo-sharing social site hai so agar aap photo khichne ke shaukin hai or aapko achi achi high-quality ki photo click karni ati hai to aap Instagram me photo sell kar ke bhi ache paise kama sakte hai.
To dosto ye kuch best tarike hai jinki madad se aap Instagram ka use kar se paise kama sakte hai.
I hope ki aapko yah Instagram se paise kaise kamaye post achi lagi hogi, Agar aapka is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.
Very nice information
Thank you