Google Keyword Ranking Kaise Check Kare – Free Keyword Ranking Checker

Free keyword ranking checker in hindi | Hello friends aj hum is post me Google keyword ranking kaise check kare ke bare me janenge. Agar aap apne website blog me use kiye keywords ki ranking check karna chahte hai ki wo keywords Google, bing, yahoo me kis page aur kitne number me aata hai to ye post aapke liye helpful rahegi.

Google keyword ranking kaise check kare

Keywords kya hote hai? ye to hum sabhi jante hai, but jin logo ko nahi pata unhe bata dun ki jab hum apne blog website me koi post likhte hai to us post se related kuch phrase/keywords dalte hai, Keyword ye batata hai ki ye post kis topic se related hai or unhi keywords ki madad se humara post search engine jaise ki Google, Yahoo, Bing me rank karta hai.

Example: Jab hum Google me kisi chij ke bar me jaise ki Website kaise banaye? etc. search karte hai to google humare samne wo sabhi result show karega jin site blog me website kaise banaye se related keyword ka use kiya hoga.

Kisi bhi website blog ko search engine me achi ranking par lane ke liye keywords bahut hi important hote hai. Aksar kai sare blogger bina keywords use kiye apne post ko publish kar dete hai jinke karan unka wo post search engine me ache rank par nahi a pata hai. Post ko SEO friendly banane ke liye keywords ka use karna bahut jaruri hai. So aap jab bhi koi post likhe to apne post me post se related keywords ka use jarur kare.

Jab hum apne blog post me kisi keyword ko target kar post publish karte hai to kuch samay baad hum apne us post ki ranking ko bhi check kar sakte hai ki wo keyword enter karne se humari post Google, Bing, Yahoo search engines me kis page aur kis number me show ho raha hai.

To yaha is post me mai aapko 2 aese tariko ke bare me bataunga jinki madad se aap free keyword ranking check kar sakte hai.

Keyword Ranking Kaise Check Kare

Internet par waise to bahut sare tools hai jiski madad se aap apne keywords ranking ko jan sakte hai but unme se bahut se tools paid hai, so yaha mai aapko best free keyword ranking checker tools ke bare me bataunga jo sabse jyada use kiye jate hai, Yaha mai aapko ek website or ek google chrome extension ke bare me bataunga jinki madad se aap apne keyword ranking check kar sakte hai.

1. SEOquake

SEOquake ek google chrome extension hai, or yah bahut hi badhiya free keywords ranking checker extension hai. Iski madad se aap Google, Yahoo, Bing jaise search engine me apne keywords ki ranking check kar sakte hai.

Sabse pahle aap is SEOquake extension ko apne google chrome browser me install kar active kar dijiye.

  1. Ab aap jis keyword ki ranking check karna chahte hai us keyword ko aap google search engine me type kar enter press kar dijiye.
  2. Ab Ctrl+f press kar apne blog website ka URL(elearninhindi.com) type kar enter kar dijiye.
  3. Jaise hi aap enter press karenge to aapki site ka url highlight ho jayega. Uske baad aap apne us keyword wale post ko dekh sakte hai ki aapka wo keyword wala post kis number me show ho raha hai.

keyword ranking checker tools in hindi 2019

Agar aapka post search engine result page ke first page me show nahi ho raha hai to aap next page kar isi tarh se check kare.

Isi prakar aap Yahoo, Bing search engine me bhi apna keyword dalkar check kar sakte hai ki yahoo, bing me aapka keyword kis number me ata hai.

2. SmallSEOTolls.com

Small SEO tolls ek bahut hi badhiya website hai. Iski madad se aap apne keywords ki google search engine me ranking ko easily check kar sakte hai. Is website ki sabse achi bat ye hai ki is site me aap ek sath 10 keywords ki ranking check kar sakte hai.

Sabse pahle aap is site ko open kar Keyword rank checker wale option par click kar dijiye.

  1. Ab yaha par apne website blog ka url type kare.
  2. Yaha se aap Desktop ya Mobile jis me bhi ranking check karna chhate hai use select kar lijiye.
  3. Ab aap jin keyords ki ranking chek karna chahte hai un keywords ko yaha type kare. Yaha aap ek sath 10 keywords tak daal sakte hai.
  4. Ab Check Position ke button par click kar dijiye.
  5. Uske baad yaha niche aapko aapke keyword ki ranking position ranked url show ho jayegi.

free keyword rank checker tool 2020

Goole keyword ranking kaise check kare 2020

So is prakar aap in dono tariko ka use kar apne keyword ki ranking check kar sakte hai. Or jan sakte hai ki aapki website blog post search engine me kis position me rank hai.

I hope aapko ye google keyword ranking kaise check kare post achi lagi hogi. Agar aapka is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment