Gmail 2 step verification | Hello friends aj hum is post me Google Gmail 2 step verification kya hai? Gmail two-step verification kaise enable/disable kare? Ke bare me janenge. Aj ke samay me gmail account ka use har koi karta hai, Internet me sabhi kamo ke liye email account ki jarurt padti hai, But kya aap jante hai ki internet par kuch bhi safe nhi hai. Internet me kab kiski ID, Account hack ho jaye koi nhi janta to aese me jaruri hai ki hume apne account ko secure rakhna chahiye, to aaj hum aapko is post me Gmail 2 step verification ke bare me batayenge jiski madad se aap apne gmail account ko double secure bana sakte hai.
Jaisa ki hum sabhi jante hai ki internet par jyadatr work ke liye gmail id ki jarurt padti hai, Chahe wo social site facebook, twitter par account banana ho ya Blog, website create karna ho, other sabhi online kamo ke liye bhi Gmail id ki jarurt padti hai. Iske alawa humare Gmail account me bahut sare aese email hote hai jisme important file, details hoti hai. To aese me agar koi humara Gmail account ko hack kar le to kya hoga? So Gmail account bahut hi important hota hai, Isliye jaruri hai ki hum apne gmail account ko secure rakhe.
So hume apne Gmail account ko secure rakhne ke liye hume google 2 step verification ko enable karke rakhna chahiye, Is feature ko enable karne se humara google account puri tarh safe ho jata hai.
2 Step Verification Kya Hai? What is 2 step verification
Google ne gmail security ko badhane ke liye gmail two step verification system ko banaya hai, Is feature ko enable karne ke baad gmail account ko hack karna bahut muskil ho jata hai. Iski madad se aapka account aur jyada secure rahta hai. Jab aap is feature ko apne gmail account me enable kar dete hai to uske baad agar kisi ko aapke gmail ka password bhi pata hoga to bhi wo aapke permission ke bina gmail me login nahi kar payega.
2 step verification enable karne ke baad account me login karne ke liye Id, password ke sath OTP code ko bhi enter karna hoga jo ki wo OTP aapke mobile number me ayega, jab tak wo OTP enter nhi hoga aapka gmail account log in nahi hoga, Matlab aapko gmail account me login karne ke liye email id, password, aur mobile number me aye OTP code ki jarurt padegi. So is tarh se aap apne google account ko hack hone se bacha sakte hai aur use double secure rakh sakte hai.
Gmail 2 Step Verification Kaise Enable kare?
Gmail two step verification ko enable karna bahut hi asan hai, Aap niche bataye steps ko follow kar Two-step verification enable kar sakte hai.
Step1: Sabse pahle aap apne Gmail me Id, Password enter kar log in kar lijiye.
Step2: Ab top right corner me bane dots ke par click kar Account par click kar dijiye.
Step3: Ab yaha se left side me Security wale tab par click kar, 2-Step Verification wale option par click kar dijiye.
Step4: Next page me Get started ke button par click kr dijiye. Uske baad aapko fir se apne Gmail account ke password ko enter karna hoga.
Step5: Ab ek new page open hoga jaha par aapko kuch details dalni hai jaise ki –
- Mobile Number: Yaha aap us number ko enter kare jisme aap 2 step verification on karna chahte hai. Is number par OTP ayega jab aap gmail me login karenge.
- Ab aap OTP code text message ya call kis tarh se received karna chahte hai use select kar lijiye.
- Final me Next ke button par click kar dijiye.
Step6: Ab aapke us mobile number par ek 6 digit ka OTP code aya hoga use enter kar Next ke button par click kar dijiye.
Step7: Final me aap TURN ON ke button par click kar dijiye.
Ab aapke gmail me 2 step verification enable ho gaya hai, Ab aap jab bhi apne gmail me log in karenge to aapko Id, password ke sath OTP ko bhi enter karna hoga uske baad hi account login hoga.
2 Step Verification Disable Kaise Kare?
Agar aap kisi region se 2 step verification ko apne account se disable karna chahte hai to aap easily use disable kar sakte hai, Uske liye aapko in step ko follow karna hoga.
- Aap apne gmail account me login kar lijiye, Uske baad right side top par bane dots par click kar account ke option par click kar dijiye.
- Ab yaha se Security wale option par click kar dijiye, Ab yaha aapko 2 step verification ka option milega is par click kar dijiye.
- Ab password re-enter karna hoga.
- Final me aapko ek TURN OFF ka button show hoga us par click kar dijiye.
Ab aapke gmail account se 2 step verification disable ho gaya hai, Ab aap normal id aur password ki madad se gmail login kar sakte hai.
To is tarh upar bataye steps ko follow kar aap apne gmail account me 2 step verification enable/disable kar sakte hai.
Ummid hai ki aapke liye ye Gmail 2 step verification post helpful rahi hogi, Agar aapka is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.