Facebook se paise kamaye | Hello friends aj hum is post me Facebook se paise kaise kamaye ke bare me janenge. Ji ha dosto ye such hai ki hum facebook ke jariye online paise kama sakte hai. Aaj hum is post me isi topic par detail me janenge ki Facebook se paise kaise kamate hai? facebook se kitne paise kama sakte hai? or paise kamane ke liye kin kin chijo ki jarurat padegi.
Agar aap bhi facebook ka use karte hai aur janna chahte hai ki facebook se paise kaise kamaye to aap is post ko last tak padhe is post me aapko step by step puri jankari mil jayegi.
Jaisa ki hum sab jante hai ki Facebook ek sabse jyada use hone wala social networking site hai, Iske kai billion users hai.
Hum me se bahut se log jyadatr apna khali samay facebook par apne friends, family ke sath chat karke, photos, videos share or dekh kar, etc. tarike se bitate hai. Lekin friends kya aapko pata hai ki hum facebook ka use in sabhi chijo ke alawa online paise kamane ke liye bhi kar sakte hai.
Facebook se paise kamane ke kai sare tarike hai, Lekin kai aese tarike bhi hai jinka use karne ke liye pahle aapko kuch investment karna hoga uske baad hi aap facebook se paise kama sakenge. Lekin yaha mai is post me aapko kuch aese popular free tariko ke bare me bataunga jinse aap bina kisi investment ke facebook se paise kama sakte hai, or iske liye aapko jyada knowledge ki bhi jarurt nahi hai bas aapko facebook use karna, post karna aana chahiye.
Facebook Se Paise Kamane Ke Liye Hume Kin Kin Chijo Ki Jarurat Hoti Hai
Facebook se paise kamane ke liye aapke paas Facebook account aur ek Facebook page hona jaruri hai.
Facebook account to aj ke samy me sabhi ke paas hota hai hai, aur agar aapke paas Facebook page nahi hai to aap sabse pehle ek facebook page create kar lijiye.
Dosto Facebook account aur page banane matra facebook se paise nahi kamaye ja sakte hai. facebook se paise kamane ke liye aapke page me ache likes, followers hone chahiye. Aapke page me jitne jyada likes honge aapki earning bhi utni hi achi hoti hai.
Agar aapke Facebook page me jyada likes nahi hai ya aapne new page create kiya hai to sabse pahle aap apne facebook page me likes ko badhaye. Likes padhane ke liye aap apne friend ko invite kar sakte hai, page me daily new post, photos upload kare, others facebook group me apne page ka link share kariye is tarh se aapke page par jaldi like ayenge. Starting me like paana thoda muskil ho sakta hai but agar aap active rahenge or ache ache post karenge to jaldi hi aapke page me likes ane start ho jayenge.
Ab jab aapke facebook page me ache likes(10k+) ho jayenge to aap facebook se earning kar sakte hai.
To chaliye ab jante hai ki hum facebook se kin kin tariko se paise kama sakte hai.
Facebook Se Paise Kaise Kamaye
Dosto mai aapko bata dun ki facebook hume directly khud se koi paise nahi deti hai but kuch aese tarike hai jinki madad se hum facebook ka use kar ache paise kama sakte hai, jaise ki
- Affiliate program Se
- Promotions Se
- URL shorter website
- Referral program
- Facebook groups
1. Affiliate Program Se Paise Kamaye Facebook Par
Affiliate marketing program online paise kamane ke liye sabse best or asan tarika hai. Affiliate marketing program se aap lakho rupay kama sakte hai.
Affiliate marketing se paise kamane ke liye sabse pahle aapko kisi affiliate program company me join hona hoga. Jaise ki Amazon, Flipcart, Clickbank, Snapdeal, Hostgator, etc.
Jab aap successfully kisi affiliate program me join kar lete hai to uske baad aapko kisi products ka affiliate link generate kar us link ko apne facebook page me share kar dijiye. Uske baad jo koi bhi us link par click kar ke us product ko buy karega to aapko us product ke price ka kuch % commission mil jayega.
Note: Kuch companies directly apne affiliate link ko facebook par share karne nahi deti hai so uske liye aap ek blog bana sakte hai aur us blog ke link ko aap apne facebook me share kar us blog post ke jariye aap affiliate products ko promote kar sakte hai.
Affiliate program ke bare me or adhik janne ke liye app humari affiliate program se paise kaise kamaye is post ko read kar sakte hai yaha mene step by step bataya hai ki affiliate program kya hai or affiliate program se paise kaise kamate hai.
2. Promotion Kar Facebook Se Paise Kamaye
Agar aapke paas facebook page hai jisme ache likes hai to aap kisi Website, Blog, App, Products, post ka promotion kar ke bhi ache paise kama sakte hai.
Internet par aesi bahut si website hai jo apne website, blog, products ka promotion karwati hai or agar aapke facebook page me jyada like hai to wo aapke page par apne website, blog, product ka link, post, etc. share karwati hai, or aapko uske badle paise deti hai.
Product promote karke ki kuch popular websites : Famebit, Hypetap, InstaBrand.
Agar aapka khud ka koi business hai ya koi website blog hai to aap facebook page ki madad se uska promotion kar adhik se adhik logo tak apne business ko pahucha sakte hai.
3. URL Shorter Website Se Paise Kamaye Facebook Par
Short url se paisa kamana ek best option hai, isme sirf aapko kisi bhi site ki link ko short karke apne facebook page me share karna hoga, uske baad koi bhi us link par click kar open karega toh aapki earning hogi.
URL Shorter Website Kya Hoti Hai
Is website me sabse pahle aapko kisi website ka url dalana hota hai uske baad ye websites us link ko short kar ek naya link banati hai uske baad aap is short link ko apne facebook page me share karenge or agar koi bhi is link par click karega to pahle kuch second ki advertisement show hogi uske baad wo website open hogi is prakar jitne jyada log us link ko click kar open karenge utni hi achi earning aapki hogi.
Shorter website : adf.ly, linkshrink.net, shorte.st
4. Referral Program Se Paise Kamaye Facebook Par
Dosto jaisa ki humhe pata hai ki ajkal playstore par bahut si aesi apps hai jo referral karne ke paise deti hai. So aap apne facebook page me is targ ke apps ko referral kar ke bhi ache paise kama sakte hai.
Sabse pahle aap kuch best referral program app ko download kar unme sign up kar lijiye uske baad aap us app ke referral link ko apne facebook page me share kar dijiye. Uske baad jo koi bhi us link se us app ko download karega to aapko earning hogi.
5. Facebook Group Se Paise Kamaye
Agar aapke paas facebook group hai or usme ache followers hai to aap us group se bhi achi income kar sakte hai.
Facebook group par aap kisi products ka promotion kar achi earning kar sakte hai.
Facebook group me aap kisi website owner se contact kar unki post ko share kar unki website par traffic increased karne ke liye offer de sakte hai. or aap apne group me affiliate product ka link bhi share kar paise kama sakte hai.
Aap fiverr ki help se aese websites owner ko search kar sakte hai jo aapke facebook group me post, video, product share karwana chahte ho.
Aap apne facebook group ko sell kar ke bhi paise kama sakte hai.
So yah hai kuch best free tarike faecbook se paise kamane ke, Aap bhi in tariko ka use kar facebook se kuch paise kama sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko ye facebook se paise kaise kamaye post achi lagi honge. Agar aapke man me is post se related koi bhi question ho to aap nich comment me puch sakte hai.
Hello Nikhil
Nice article!
kafi useful jaankari share ki hai aapne
keep sharing
Thank you Vivek