Facebook pixel | Hello friend aj hum is post me Facebook pixel kya hai aur Facebook pixel ko website me kaise insall kare? Iske kya benefits hai, in sabhi ke bare me detail me janenge. What is facebook pixcel in hindi?
Aapne dekha hoga ki jab bhi aap Amazon ki site ya kisi other site me koi bhi products ko dekhte hai or uske baad aap apne facebook account me ate hai to wohi products jo aapne dekha tha us products ke ads aapke facebook account me dikhne lagta hai. Is process ko retargeting kaha jata hai aur retargeting karne ke liye website me facebook pixel ko install karna hota hai. To aj hum is post me isi ke bare me janenge ki facebook pixel kya hai, Isko kaise apni site me install kare.
Facebook Pixel Kya Hai? What is Facebook Pixel
Facebook pixel ko hum ek example se samjhte hai, Hum sabhi ke gharo me electricity ati hai aur us electricity ka har month bill bhi ata hai, to aese me us electricity company ko kaise pata hota hai ki humne kitna electricity use kiya hai jiske aadhaar par wo hume bill bhejti hai, To ye janne ke liye us electricity company me humare gharo me ek meter lagaya hua hai jisse wah ye track karte hai ki humne ek month me kitna electricity use ki aur uske aadhaar par hi hume bill bhejti hai, Same wese hi facebook pixel bhi humare website ke liye meter ki tarh kaam karta hai, jisse ki hum yeh track kar pate hai ki kitne log hamare website me aa rahe hai wo log kaun hai, kya kya activity kar rahe hai, etc. in sabhi activity ko track karne ke liye hum apne site me facebook pixel ko install karte hai.
Simple sabdo me kahe to facebook pixel ek tracking code hota hai, jise hum apni website me laga kar apni site ki information jaise ki site me kitne log aye, kitne logo ne products, services ko buy kiya, etc. ko track karte hai.
Facebook Pixel Kaam Kaise Karta Hai?
Jab bhi koi new visitor aapke website me ata hai aur agar aapne apni site me facebook pixel install ki hui hai to facebook pixel us new visitor ko facebook ke custom audience me add kar deta hai, uske baad jab bhi aap koi custom audience ko target karke facebook add run karte hai to aapka wo advertisement facebook par un new visitors jo ki aapki site me aye the unhe dikhayega.
Facebook Pixel Kaise Install Kare? How to install facebook pixel
Step1: Facebook pixel install karne ke liye sabse pahle aap apne facebook me login kar add manage account ko open kar lijiye, Ab yaha se Add Manager par click kar Manage Business ke under Event Manager ka option milega is par click kar dijiye.
Step2: Ab yaha se Facebook pixel: track website activities wale option ke samne bane Get started ke button par click kar dijite.
Step3: Ab ek popup open hoga jaha par aapko apne pixel ka naam dena hai or 2nd option ko aap khali chhod sakte hai ye optional hai uske baad Continue ke button par click kar dijite.
Step4: Uske baad ek aur popup open hoga jaha par aapko 3 option milenge jisme se aap Manually add pixel code to website wale option par click kar lijiye.
Step5: Ab aapko ek code milega, is code ko copy kar apne site ke header section me </head> tag ke upper paste kar dena hai.
Code ko paste karne ke baad facebook pixel successfully aapki website me install ho jayega. Facebook pixel aapki site me install hua hai ya nahi yeh check karne ke liye aap apne chrome browser me facebook pixel helper ko install kar lijiye, Is extension ki madad se aap check kar sakte hai ki kis site me facebook pixel install kiya hua hai.
Ummid karta hun ki aapko ye facebook pixel kya hai? Facebook pixel ko website me kaise install kare? post achi lagi hogi, Agar aapka is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.