Facebook MarketPlace Hindi | Hello friends aj hum is post me facebook marketplace kya hai? Facebook marketplace par online shop kaise open kare? or isse paise kaise kamaye? ke bare me details me janenge. Agar aap e-Commerce ya internet marketing me interest rakhte hai to ye post aapke liye helpful rahegi.
Yah to hum sabhi jante hi hai ki Facebook ek most popular social networking site hai, Isme hum apna Account, Page, Group bana kar apne friends, family ke sath connected rahte hai.
But aj hum is post me facebook par online shop open kar products sell kar paise kaise kamaye ke bare me janenge. Facebook hume Facebook marketplace ka ek feature deta hai jiski madad se hum facebook par free online shop open karke saman ko sell kar paise kama sakte hai.
Facebook MarketPlace Kya Hai?
FB marketplace ek online bazaar hai jiski madad se aap new and old saman ko buy and sell kar sakte hai. Agar aap koi business chalate hai ya fir aap koi old saman ko sell karna chahte hai to aap facebook marketplace me apne saman ko list kar use sell kar sakte hai.
FB marketplace ek similar concept hai olx, quikr ka, olx ya quiker me koi seller jo apne new ya old saman ko sell karna chahta hai to wo us saman ki photo, price, description, etc. daal kar olx ya quikr me sell ke liye list kar deta hai, uske baad agar koi buyer us saman ko lena chahta hai to wo us product ke seller se baat kar (bargaining kar) us product ko buy kar leta hai. Thik usi prakar Fb marketplace bhi kaam karta hai isme bhi aap apne old and new saman ki photo, price, location, description, etc. daal kar marketplace me list kar saman ko sell kar sakte hai. Facebook marketplace ki sabse achi baat yah hai ki yah bilkul free hai, Isme aap free me apne products, services ko sell kar sakte hai.
Facebook MarketPlace Par Products Sell Karne Ke Fayde
- Agar aap apne products ko online e-commerce site jaise ki amazon, flipcart, etc. me sell karte hai to aapko GST number, Current account, etc. kai formalities ko fulfill karna hota hai. But yaha par aap bina GST, CA, etc. ke bhi apne products ko sell kar sakte hai.
- Jaisa ki hum sabhi jante hai ki Facebook ek bahut hi popular social networking site hai jiske kai Billions user hai, So aap yaha FB marketplace par free me apne products and services ko list kar adhik se adhik logo tak pahuch sakte hai.
- Isme aapko shop open kar apne products and services ko list karne ke koi fee nahi pay karna hai yah bilkul free hai.
Facebook Marketplace Par Online Store Kaise Khole
Marketplace par online shop open karne ke liye jaruri nahi hai ki aapke pass PC ya laptop ho ise aap apane mobile se bhi start kar sakte hai.
Yaha mai aapko mobile ki madad se facebook marketplace par online shop kaise khole ke bare me bataunga or pc se bhi same process hota hai.
1. Sabse pahle aap apne facebook me login kar lijiye. (Aapka Facebook app update hua hona chahiye.)
2. Ab yaha se right corner me 3 line me click kar Marketplace ke option par click kar dijiye.
3. Jaise hi aap marketplace par click karenge to next page me aapko bahut sare product dikhenge ye wo product hai jo aapke location ke aas paas ke seller ne sell karne ke liye list ki hui hai, yaha par aapko har category ke saman mil jayenge jaise ki electronic, furniture, home & garden, etc. or agar aap yaha se kuch saman lena chahte hai to aap direct us saman ke seller se contact kar saman ko buy kar sakte hai.
MarketPlace Par Products Kaise List Kare?
Step1: Product ko sell karne ke liye sabse pahle aap yaha top me Sale ke option par click kar dijiye.
Step2: Jaise hi aap is option par click karenge to niche aapko 3 options show honge, yaha aap agar koi item jaise ki electronic saman, clothes, health products, etc. sell kana chahte hai to aap yaha se Item for sell ko select kar lijiye or agar aap vehicle ya housing rent sell karna chahte hai to aap 2nd or 3rd option ko select kar lijiye. Yaha me sale for item ko select kar leta hun.
Step3: Ab ek next page open hoga jis par aapko apne product ki details dalni hai jaise ki products Photo, Price, Product name, Categories, Location, etc.
- Sabse pahle aap yaha apne product ki photos upload kar lijiye.
- Yaha par us product ka Title likh dijiye.
- Ab us product ko kitne me sell karna chahate hai us product ka price enter kar dijiye.
- Category ko select kar lijiye.
- Yaha par apna location enter kar dijiye. (facebook by default aapki location le leta hai.)
- Ab appne product ke bare me kuch word ka description likh dijiye.
- Apne product se related tags ko daal dijiye.
- Ab yaha par offer delivery ka option diya hai agar aap apne product ko customer tak delivery ka offer dena chahte hai to is option ko enable kar dijiye.
- Sari detail bharne ke baad upar right corner me Next ke button par click kar dijiye.
Step4: Ab next page me agar aap is item ko apane profile, groups me bhi share karna chahte hai to us par tick kar dijiye. Uske baad niche Post ke button par click kar dijiye.
Ab aapka product successfully facebook marketplace me sell ke liye list ho gaya hai ab koi bhi aapke us product ko dekhta hai or use wo product acha lagta hai to wo aapse contact kar us product ko buy kar lega. Is prakar aap apne new ya old saman ko facebook marketplace me sell kar paise kama sakte hai
I hope ki aapko ye facebook marketplace kya hai? Fb marketplace par products kaise sell kar paise kaise kamaye post achi lagi hogi. Agar aapka is post se related koi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.
Ab to mei bhi apne online shop kholunga
Nice information sir
Thanks Nitish Sharma