Bluehost se hosting kaise kharide | Aj hum is post me Blog website ke liye bluehost se hosting ke sath free domain kaise kharide ke bare me details me janenge. Agar aap apne Blog website ke liye best & budget hosting, domain search kar rahe hai to yeh post aapke liye kaphi useful sabit hogi. Yaha mai aapko Bluehost se hosting ke sath free domain kaise kharide ke bare me bataunga. How to Buy Web Hosting with a Free Domain from Bluehost in Hindi.
Bluehost ek most popular web hosting company hai. Bluehost wordpress dwara recommended web hosting company hai. Bluehost ki sabse achi bat yah hai ki agar aap bluehost se hosting buy karte hai to aapko hosting ke sath ek TLD(top-level domain) aur SSL certificate free me milta hai. So agar aap website blog create karne ki soch rahe hai or uske liye best hosting search kar rahe hai to bluehost ka ye hosting ke sath free domain offer best hai.
Bluehost Se Hosting Ke Sath Free Domain Kaise Kharide?
Yaha is post me mai aapko blog website ke liye Bluehost se hosting ke sath free domain aur SSL certificate kaise buy kare ke bare me step by step details share karunga, So aap niche bataye steps ko follow kar easily apne liye bluehost se hosting ke sath free domain buy kar sakte hai.
Step1: Bluehost se hosting lene ke liye sabse pahle aap bluehost ki website ko open kar lijiye, uske baad Get Started ke button par click kar dijiye.
Step2: Ab next page me aapko 4 alag alag plan show honge unme se aap apne budget ke according plan ko choose kar select ke button par click kar lijiye. Mere according iska Choice Plus plan best hai.
Step3: Hosting plan select karne ke baad next page me aapko domain add karna hai, Yaha par aap bluehost se free domain lene ke liye select kar sakte hai ya agar apke paas pahle se domain hai to aap us domain ko enter kar Next ke button par click kar dijiye.
Free domain ko aap baad me bhi le sakte hai. Mltb ki agar aapke paas domain hai or abhi aapko domain lene ki jarurt nahi hai to aap bluehost ke free domain ko baad me bhi le sakte hai abi aap maujooda domain use kar sakte hai.
Step4: Domain add karne ke baad aapko apni bluehost account information jaise ki Name, Country, Address, Phone Number, Email Address, ko fill karna hai. Ap yaha par apni sari detail sahi sahi fill kare.
Step5: Ab package information wale option me aapko apne hosting package ka time select karna hai ki aap hosting kitne samay ke liye lena chahte hai 12, 24, 36 months, aap apne budget ke according package ko select kar lijiye. Aap jitne jyada samay ke liye hosting lenge aapko utna hi acha discount milega.
Step6: Ab Package Extra wale option se Sitelock Security, Bluehost SEO tool start features wale options ko Deselect kar dijiye, kyunki inki utni jarurt nahi hai.
Step7: Upper sabhi details sahi sahi bharne ke baad last me aapko payment karna hai, Payment aap kai tariko se kar sakte hai Paypal, Credit car, Debit card.
Payment details fill karne ke baad inki Term pf Services policy ke option ko tick kar Submit ke button par click kar dijiye.
Purchasing complete hone ke baad aapko apne Bluehost account ka ek password set karna hota hai, password set karne ke baad aapke register email par mail ayega jisme conform link aur aapke cpanel ki login details hogi.
Bluehost aapko 30-day money back guarantee deta hai, Agar aapko kisi karan se bluehost ki hosting pasand nahi ati hai to aap 30 day se pahle pure paise refund le sakte hai.
Is prakar aap bluehost se hosting ke sath free domain le sakte hai. Agar aap wordpress par ek new Blog website create karne ki soch rahe hai to ye offer best hai.
Ummid karta hun aapko ye Bluehost se hosting ke sath free domain kaise kharide post achi lagi hogi, Bluehost se hosting kharidne me aapko kisi bhi tarh ki problem ati hai to aap niche comment me puch sakte hai.