Amazon Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide In Hindi

Amazon affiliate program se paise kaise kamaye | Hello friends aj hum is post me Amazon affiliate program kya hai? Amazon affiliate program kaise join kare? or isse paise kaise kamaye ke bare me janenge. Agar aap bhi amazon india affiliate program se paise kamana ke bare me search kare rahe hai to ye post aapke liye useful sabit hogi.Amazon affiliate program se paise kaise kamayeHum sabhi ne Amazon ka use online shopping karne ke liye to jarur se kiya hoga, Lekin iske alawa kya aap jante hai ki aap Amazon ke jariye ghar baithe online paise bhi kama sakte hai wo bhi bina koi paise lagaye ji ha dosto ye such hai hum Amazon ka use kar bina koi investment ke online paise kama sakte hai. So aj hum is post me isi ke bare me janenge. Agar aapko Amazon affiliate program kya hai? Amazon affiliate program ko kaise join kare? or Amazon affiliate program se paise kaise kamaye? ke bare me nahi pata hai to aap is post ko pura padhe is post me aapko step by step puri jankari mil jayegi.

Affiliate Marketing Kya Hai? What is affiliate marketing?

Affiliate marketing ek aisa platform hai jaha par hum apne kisi source, jaise ki Website/Blog, Mobile app, Youtube channel, etc. ke dwara kisi product company ke product ko online share promote karna hota hai, Aur jiske badle wo product company hume commission deti hai. Commission us product ke price ke hisab se alag alag hota hai. Yah product kuch bhi ho sakte hai jaise ki Cloths, Mobile, Laptop, Books etc.

Affiliate marketing ko simple sabdo me kah sakte hai ki hum kisi online company ke products ka online advertising karke uske badle commission receive karne se hai. Affiliate marketing online paise kamane ke liye sabse badhiya or aasan tarika hai. Aj ke samay me aise kai sare log hai jo affiliate marketing se mahino ke lakho earn kar rahe hai.

Aese hi Amazon site hai jo hume unke product ko online share/promote karne par commission deta hai agar aap Amazon ke product ke affiliate link ko kisi ke sath share karte hai or agar wo us link ke through koi saman buy karta hai to aapko Amazon kuch percent commission dega.

Amazon Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye

Amazon affiliate program se paise kamane ke liye sabse pahle aapko Amazon affiliate program ko join karna hota hai. Amazon affiliate program ko join karne ke liye aapko koi charge pay nahi karna hota hai. Amazon affiliate program join karne ke baad aap koi bhi product choose kar lijiye jise aap promote karna chahte hai, uske baad aapko company us products ki details or link degi jise aap apne Facebook, WhatsApp, YouTube channel, Website/Blogs, Mobile App etc. me share kar sakte hai or agar koi apke us link par click kar us product ko buy karta hai to appko us product ke price ka kuch percent commission milega.

Amazon Affiliate Program join karne ke liye aapke pass Website/Blog, Mobile App, YouTube channel, Facebook page me se ek hona chahiye.

YouTube channel kaise create kare iski jyada jankari ke liye aap humari How to Create YouTube channel post ko padh skate hai, Isme aapko YouTube channel banane ki or YouTube se paise kaise kamaye ki puri jankari mil jayegi.

Amazon Affiliate Program Kaise Join Kare

Step 1: Sabse pahle aap amazon ke Amazon Associate page ko open kar lijiye, Uske baad yaha se Join Now for Free ke option  par click kar lijiye.how to Amazon affiliate program in hindiStep 2: Ab aapke samne ek new page open hoga jisme Login ka option hoga agar aapka pahle se Amazon par account bana hua hai to aap apna email address or password dalkar  login kar lijiye, or agar aapka Amazon par account nahi bana hai to aap yaha Create your Amazon account par click kar apna Name, Email address, Password dalkar apna account create kar lijiye.

Step 3: Jaise hi aap Amazon associate ke website par login ho jayenge to aapke samne ek page open hoga jisme Account Information ka form hoga isme aapko apni sari detail sahi sahi dalni hai.Amazon affiliate program se paise kamaye 2020

  1. Payee Name yaha par aap apna Name type kijiye.
  2. Apna Address fill kare.
  3. Apni City ka name dal dijiye.
  4. Apni State ko select kar lijiye.
  5. Apni city ka postal (pin) code dale.
  6. Country select kare.
  7. Yaha par apna Mobile Number dal dijiye.
  8. Yaha par 2 option diye huye hai isme aap The payee listed above wale option ko select kar lijiye.
  9. Ye option only U.S. person ke liye hai agar aap U.S. me nhi hai to aap isame No ko select kare.
  10. Upar mangi gayi sari details sahi sahi bharne ke baad Next ke button par click kar dijiye.

Step 4: Ab is page me aapko apni Website/Blog, Youtube channel ya fir koi Mobile app hai to uska link(URL) add karna hoga.Amazon affiliate program kya hai

  1. Enter your website : Isme aapko apne Website/Blog, ka link(URL) add karna hai or agar aapke paas website/blog nahi hai to aap yaha par apne YouTube channel ka link bhi daal sakte hai.
  2. Link dalne ke baad Add wale button par click kar dijiye.
  3. Enter Mobile Appp : Agar aapke paas Mobile app hai to uska link yaha daal sakte hai or agar nahi hai to ise aap khali chhod sakte hai.
  4. Ab Next ke button par click kar dijiye.

Step 5: Ab ek or new page open hoga jisme Profile form hoga, Isme aapko apni kuch details fill karni hai.amazon se paise kaise kamaye

  1. Yaha par aapko apana user name dalna hai, yaha par aap apne pasand ka ek user name daal dijiye.
  2. Yaha par aapne jo apni Website/Blog, Mobile app ya YouTube channel jiska bhi link(URL) dala hai wo kis bare me hai uske bare me kuch word ka description likh dijiye.
  3. Yaha par aapko apne site ya app ka topic select karna hai ki aapki Website, Mobile app ya YouTube channel kis topic par hai yaha bahut sare option diye huye hai aap apne topic ke hisab se use select kar lijiye. Uske baad agar aap chahe to secondary topic ko khali chhod sakte hai.
  4. Yaha par aapko un sabhi items ko tick karna hai jinka aap promotion karna chahte hai.
  5. Ispe aapko apni Website/Blog ya Mobile app ka niche(subject) ko select karana hai. Secondary wale ko aise hi chhod dijiye.
  6. Isme aapki Website/Blog, Mobile app par traffic kis kis source se aate hai use select karna hai, Jaise ki email, SEO, blog etc.
  7. Yaha par aap apni Website/Blog, Mobile app par jis add network ka use karke earning karte hai use select kar lijiye.
  8. Isme aap other select kar lijiye.
  9. Isme aapko apni site ya app par monthly kitne visitors aate hai use select karna hai.
  10. Isme aap other ko select kar lijiye.
  11. Isme aap blog post select kar sakte hai.
  12. Ab is Captcha ko yaha type kar lijiye.
  13. Yaha inki term and conditions ko tick kar lijiye.
  14. Finally upar diye gaye sabhi details sahi sahi fill karne ke baad Finish ke button par click kar dijiye.

create affiliate account

Congrats Ab aapka Amazon affiliate account ban chuka hai, Lekin abhi ye puri tarah approve nahi hua hai, Ab Amazon associate aapke account ka verify karegi or sab kuch sahi hone par 24 hour me aapke email address par ek email bhej degi ki aapka account approve huya hai ya nhi.

or sath hi yaha is page me niche Enter your Payment and Tax Information  ka option bhi diya hua hai isme aapko apna PAN Number or Bank ki details jaise Bank Name, Bank Account Holder Name,Bank Account Number, IFSC Code ye sabhi details dalni hoti hai, agar aap ise abhi bharna chahte hai to Now ke button par click kar ke ye sabhi detail daal dijiye ya fir Latter ke button par click kar ke aap ise baad me bbi bhar sakte hai. 

Jab aapke Affiliate associate account me Rs. 1000 ho jayenge to aap unhe apne bank me transfer kar sakte hai usake liye aapko ye payment and tax information bharna jaruri hai.

Jaise hi aapka account approve ho jayega to aap Amazon me log-in hokar aap jis bhi product ko sell karne ke liye promote karna chahte hai uska affiliate link create kar ke apne website/Blog, Mobile App, YouTube channel, Facebook, Twitter, Whatsapp etc. par share kar paise kama sakte hai.

Amazon Product Ke Affiliate Link Kaise Create Kare

  1. Ab sabse pahle aap amazon.in ki website ko open kar lijiye.
  2. Ab upar search box me us product ko search kare jise aap promote karna chahte hai. uske baad use open kar diliye.
  3. Ab upar toolbar me Get Link ka option hai jisme Text, Image or Text+Image ke option hai un par click kar ke aap apni affiliate link generate kar sakte hai.

how to earn Amazon affiliate program in hindiAb aapke dwara generate links ko Website/Blog, YouTube channel, Whatsapp, Facebook jaha chahe vaha share kar de or uske baad jab bhi koi aapki us link par click karke koi bhi product buy karega aapko usme se kuch percent commission milega.

Amazon affiliate ki sabse achi bat yah hai ki agar koi aapke dwara share ki gayi affiliate link par click karta hai aur wo us product ko buy nhi karta hai jiska link aapne diya tha but wo uske alawa koi or product buy kar leta hai(within 24 hour) to bhi aapko us buy kiye huye product ka commission milega.

Example: Man lijiye ki aapne iphone10 ka link share kiya hai or koi aapke us link ko click karke amazon ki site par jata hai or wo iphon10 na lekar wo koi or phon ya kuch or product buy karta hai to bhi aapko us product jo usne buy kiya hai uska commission milega.

Amazon Affiliate Program Se Ki Gayi Earning Kaise Dekhe

1. Amazon affiliate se generate income dekhne ke liye aap Amazon affiliate account me login kar lijiye, ab yaha par aapko sari detail mil jayegi ki aapki kitni earning huyi hai, kitne click huye hai, total orders items etc. yaha se aap dekh sakte hai.

2. Yaha se bhi aap product ko search kar ke uska affiliate link create kar skate hai.amazon earningUmmid hai ki ab aap Amazon affiliate program se paise kaise kamaye ke bare me sikh gaye honge, Iske alawa agar aapka amazon affiliate program se related koi bhi question ho to aap niche comment box me puch sakte hai.

2 thoughts on “Amazon Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide In Hindi”

Leave a Comment