Top 5 Useful Mobile Tips and Tricks In Hindi – Phone Tips & Tricks

Mobile Tips and Tricks | Hello friend aj hum is post me Top 5 Useful Mobile Tips and Trick ke bare me janenge, In Tips and Tricks ka use kar aap apne mobile ko or ache tarike se use kar sakte hai.

Top 5 Useful Mobile Tips & Tricks in hindi 2018

Humare mobile me kai sare features hote hai ye to hum sab ko pata hai, Lekin kuch aise secret features bhi hote hai jinke bare me sayad aapko nhi pata hoga, Yaha mai unhi top secret features ke bare bataunga jinka use kar aap apne mobile ko adhik useful or smart tarike se chala sakte hai.

Top 5 Useful Mobile Tips and Tricks

1. Mobile Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye

Aj ke samay me mobile ka use har koi kart hai, or mobile ka use kai sare kamo me kiya jata hai, Jaise ki online shopping karni ho ya, Online bill, Recharge karna ho ya mobile ki madad se jaruri documents ko ek dusre ko bhejna ho, lagbhag sare jaruri kaam ajkal hum apne mobile ki madad se hi karte hai, Aise me agar hum apne phone ki security par dhyan nahi dete hai to humara phone hack ho sakta hai, or humara kimti data chori ho sakta hai, Aise me aapko apne phone ko secure rakhna bahut hi jaruri hai.

Mobile Ko Hack Hone Se Bachane Ke Tips and Tricks

  1. Apne phone ka password strong rakhe, Password aisa rakhe ki koi bhi ya aapka karibi friend bhi us password ko easily guess ya open na kar paye.
  2. Jab aap kisi app ko apne phone me install karte hai to kai apps aise hote hai jo aapse unwanted features jaise ki contact, images, videos, ko access karne ki permission magte hai, Aise me agar aapko lagta hai ki in features ki permission dena sahi nahi hai ya in features ki bina matlab ke permission mag rahe hai to aap un apps ko apne phone me install na kare.
  3. APK ya Third party app install na kare, APK ya Third party app aise apps hote hai jo play store me available nahi hote, Aise apps ko direct link ke dwara ya kisi other store se download kiya jata hai, In apps ke karan aapke mobile me virus, hack or personal details chori ho sakti hai, Isliye aap jo bhi app ko apane mobile me install kare un apps ko aap play store se hi download kare.
  4. Public WiFi ya free WiFi ka use na kare, Kai bar hum kahi bahar jate hai or waha koi free WiFi mil jata hai to hum us free WiFi ko turant se connect kar lete hai, lekin aisa karna aapke mobile ke liye sahi nahi hai, Isase aapke mobile ki data ko asani se churaya ja sakta hai, Kya aapko pata hai jab bhi aap apne phone ko WiFi se connect karte hai to us WiFi ka owner apke dwara search ki jane wali chijo ko asani se dekh sakta hai, So aap public WiFi ka use karnse se bache.
  5. Apne mobile or apps ko update rakhe.

2. Mobile Me Folder, File Ko Kaise Hide Kare Without Using Apps

Humare phon me kai aise folder, file hote hai jinhe hum kisi ko nahi dikhana chahte hai, Aise me hum chahte hai ki agar koi hamara phone use kare to bhi wo un file, folder ko na dekh paye, Isake liye aap un file, folder ko hide karke rakh sakte hai.

Bahut se log apne mobile se file, folder, images, videos ko hide karne ke liye apps ka use karte hai but yaha mai aapko without app kaise file, folder ko hide kare usake bare me bataunga.

Sabse pahle aap jis bhi file, folder ko hide karna chahte hai us file, folder ko select kar lijiye, Usake baad us file, folder ke rename option me jakar us file, folder ke name ke age dot(.) laga dijiye.

Example agar aapko photo name ke folder ko hide karna ho to aap us photo name ke folder ka rename kar .photo kar ke save kar dijiye ab wo folder hide ho gaya hai.

Ab agar aapko us folder ko dekhna ho to aap file manager me jakr right corner me 3 dots ke button par click kar settings me chale jaye, Usake baad Show hidden files ke option me tick kar dijiye.

3. Mobile Ki Battery Life Ko Badhane Ke Tips & Tricks

Dosto mobile ki battery jaldi khatam hone ki problem to hum sabhi ke sath hoti hi hai, Isake kai karan ho sakte hai jaise ki –

  1. Mobile ke background data ko band na karna : Aap me se bahut kam logo ko pata hoga ki humare phon me background me kuch apps aise hote hai jo bina humare use karne par bhi run hoti hai, Jiske karan aapke mobile ki battery to khatm hoti hi hai sath me aapke mobile ka data bhi kharch hota hai, Aise me aap un sabhi apps ke background data ko band kar apne mobile ki battery or data ko bacha sakte hai.
  2. Auto update apps ko band kar dijiye : Aapne dekha hoga ki kai sare apps ese hote hai jo har 1-2 din baad updates dete rahte hai, or ye apps bina permission ke automatically hi update hona start hote hai, Aise me aapka data or battery dono hi bahut jaldi khatm ho jati hai, Is problem se bachne ke liye aap play store me jakar auto updates apps ko band kar sakte hai.
  3. Jab bhi aap apne mobile ko charge pe lagaye tab aap apne phone ka use na kare, esa karne se aapke mobile ki battery jaldi kharab ho sakti hai.
  4. Mobile ko jyada der tak charge na kare, Kai log apne mobile ko raat ko sote samay charge pe laga kar chhod dete hai, esa karne se bhi aapke phone ki battery jaldi khrab ho sakti hai.
  5. Kahi aap bahar travel kar rahe hai jaha aap apne phone ko charge nhi kar sakte ese me aap apne phone ki power saving mode ko open kar dijiye. Esa karne se aap apne mobile ki battery life ko badha sakte hai.

4. Developer Options

Ya ek android mobile ka hidden feature hai, Isaka use kar aap apne mobile ke performance ko acha kar sakte hai, Background me chalne wale apps ko band kar sakte hai, Phone ki recently activity ko delete kar sakte hai etc ese bahut se features ko use kar sakte hai.

Developer option ko on karne ke liye sabse pahle aap apne phon ke Settings me chale jaye usake baad About device ke option par click kar dijiye, Ab yaha aapko ek Build number ka option dikhega is par 7 bar tab kar dijiye, Ab aapke phon ka developer option enable ho gya hai. Ise aap apne phone ki settings me jakar dekh sakte hai setting me Developer options ka tab ban kar aya hoga.

5. Mobile Data Usage or Data Limit Ko Kaise Set Kare

Jaisa ki mene uper bataya tha ki kuchh apps ese hote hai jo humare use na karne par bhi background me run hote jiske karan humara data kharch hota hai, Isase humhe ye pata nhi chal pata ki humare phon me kitna data use ho gya hai or kitna rah gya ese me aap apne phon me data usage ko set kar check kar sakte hai ki aapne kitna data ko use kar liya.

Sabse pahle aap apne phon ki Settings me jaye waha se Data usage ke option ko select kar lijiye, Ab yaha se aap ye dekh sakte hai ki kaun sa app kitna data use kar raha hai.

Ab sabse top par aapko Mobile data ka option milega ise on kar dijiye jaise hi aap ise on karenge to aapko ek or option milega Set mobile data limit is option par tick kare, Usake baad orange color ki line show hogi is line ko drag kar data limit set kar dijiye. Ab jaise hi aapke dwara set data khatm hoga to aapko alert kar diya jayega.

Ummid karta hun ki aapko ye Top 5 useful mobile tips & tricks post achi lagi hogi, Agar aapke man me is post se related koi bhi doubt ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment