Resume Kaise Banaye: Job Ke Liye Biodata Kaise Banate Hai

Resume kaise banaye | Hello friends aaj hum is post me online resume kaise banaye, or best free resume builder sites ke bare me janenge. Agar aap kisi job ko apply karne ke liye resume create karna chahte hai to ye post aapke liye helpful ho sakti hai, Yaha humne online resume banane ke 5 best free resume builder sites ke bare me bataya hai, Aap in sites ki madad se kuch simple steps ko follow kar easily free me ek acha resume create kar sakte hai.online resume kaise banayeYe to hum sabhi jante hai ki kisi bhi job ko apply karne ke liye hume resume ki jarurat padti hai. Aap kahi bhi job ke liye apply karte hai to sabse pahle aapse aapka resume manga jata hai or job ka milne or na milne me resume ka ek main role hota hai, agar aapka resume thik se nhi bana hai ya padhne wale ko samjh nhi a rha hai to aese me wo person aapke resume ko nhi padhega or is karan aapne jis job ke liye apply kiya tha us job ko milne me aapko paresani ho sakti hai. Ek acha resume aapko badhiya present karta hai or aapko job dila sakta hai.

Achi job pane ke liye aapka resume acha or badhiya hona chahiye jisse ki jo koi bhi aapka resume padhe to use asani se samjh me a jaye. Resume me hum apni detail (Name, mobile number, email id, etc.), skills,  work experience, education detail etc. likhte hai to aapko job dene wala person sabse pahle aapka resume dekhkar hi aapke bare me janta hai ki aapki kya qualification hai, aapko kitna work experience hai etc. or uske baad hi wo aapse contact karta hai.

Online Resume Kaise Banaye

Agar aap bhi ek badhiya resume create karna chahte hai but aapko resume create karne ki jyada knowledge nhi hai to don’t worry is post me mai aapko 5 best free resume builder sites ke bare me bataunga jinki madad se aap badi hi asani se free me ek acha resume create kar sakenge, in website me aapko pahle se ache ache format bane milenge bus aapko us format ko select kar apni details fill karni hogi uske baad aapka resume create ho jayega fir aap use download kar job ke liye de sakte hai.

Important  Point Jo Resume Create Karte Time Dhyan Me Rakhne Chahiye

  • Contact detail
  •  Job objects
  • Educational details
  • Work experience
  • Skills
  • References
  • Declaration

5 Best free Resume Builder Sites

1. CV Maker

CV maker yah ek bahut hi badhiya or popular resume builder site hai online resume banane ke liye. Iske jariye aap kuch hi minutes me ek acha resume create kar sakte hai.

Isme resume banane ke liye aapko kai sare format(design) milte hai bas aapko apni pasadn ke format ko select kar apni details jaise ki Name, Education, Job experience etc. bharna hota hai, uske baad aapka resume taiyar ho jayega fir aap use pdf, html, txn format me download kar sakte hai.cv maker se resume kaise banaye 2018

2. Resume bucket

Resume bucket bhi ek badhiya website hai online resume banana ke liye. Isme aapko bahut sare format mil jayenge jis bhi format me aap apna resume banana chahte hai use select kar apni detail dal kar badi hi asani se apna resume bana sakte hai. Resume complete banne ke baad aap ise download kar sakte hai.how to create resume from resume bucket

3. Visual CV

Visual CV agar aap online interviews ke liye resume bana rahe hai to ye website bahut badhiya hai. Isme aap apne resume me photo ko bhi add kar sakte hai.

Is website me sabse pahle aapko account banana hota hai isme aap free me account bana sakte hai, account banane ke baad aap is website se ek acha resume bana sakte hai.Visual CV se resume kaise banaye 2018

4. Resume.com

Resume.com site se resume banana bahut hi asan hai. Is website ko apne browser me open kar lijiye uske bad create a resume par click kar ek template select kar lijiye. Uske baad simple apni details daal dijiye, Sari details dalne ke baad aap ise download kar save kar sakte hai.resume.com se resume kaise banaye 2018

5. Resumeonk

Resumeonk website bhi online resume banana ke liye best free resume builder sites me se ek hai. Is site ki madad se aap ek professional or unique resume create kar sakte hai. Is site se resume banane ke baad aap use edit karna chahte hai to use edit bhi kar sakte hai.resume kaise banaye 2018Upar bataye sabhi site ke alawa aap The Ladders, ResumeUp, SlashCV, Uptowork se bhi aap online resume bana sakte hai. Yah sites bhi best free resume builder sites me se hai.

To dosto ab aap sikh gaye honge ki online resume kaise banate hai. Ummid karta hun ki aapko ye online resume kaise banaye post achi lagi hogi. Agar aapke man me is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment