Facebook security tips | Hello friends aj hum is post me facebook account ko hack hone se kaise bachaye? Facebook security tips ke bare me janenge. Agar aap bhi ek facebook user hai aur aap apne facebook account ko hackers se bachana chahte hai to aap is post me bataye facebook security tips ko jarur follow kare.
Jaisa ki hum sabhi jante hai ki facebook ek bahut hi popular social networking site hai yaha par hum apne friends, family se connected rahte hai or apni information, photo, etc. share karte hai. Lekin kya aap jante hai ki facebook par daily lakho galat password daalkar account hack karne ki kosis karte hai aur kuch log accounts hack bhi kar lete hai. Account hack hone ke kai karan ho sakte hai but unme se main karan hum apne facebook security setting ko ignore kar dete hai jiski wajah se hacker humari account ko hack kar humari personal data ko chura sakte hai.
Aj ke time me bahut sare hackers ya cracker hai jo badi hi asani se facebook account hack kar sakte hai. Wese to facebook already secure hai lekin fir bhi hume apne account ki security settings ko ignore nahi karna chahiye.
Agar hum apni facebook account ki security settings ko thik tarike se karte hai to koi bhi humara facebook account hack nahi kar sakta. Apne facebook account ko secure rakhne ke liye bas aapko kuch simple step ko follow karna hota hai, to aaj hum is post me issi ke bare me baat karege or apne facebook account ko hack hone se kaise bachaye ke bare me janenge.
Kaise Check Kare Ki Humara Facebook Account Hack Hua hai Ya Nahi?
Agar aapko bhi dar hai ki kahi aapka facebook account hack to nhi hua hai, to yah janne ka ek bahut hi asan tarika hai jisse ye pata chal jayega ki aapka facebook account hack hua hai ya nahi.
- Sabse pahle aap apne facebook me log in kar lijiye uske baad upar top right corner me bane down arrow ke button me jakar setting ke options me click kar dijye.
- Ab ek new page open hoga yaha se Security and login ke options par click kar dijiye.
- Ab yaha par aapko ek Where you’re logged in ka tap dikhega yaha par wo sab list show hogi jinse aapne apna faecbook account login kiya hai or sath hi us jagah ka name, kaun se devices me login kiya tha, kab kiya tha sab details dikh jayegi agar is list me aapko koi aesa login details dikhta hai jo aap nahi jante ho ya aapne login nahi kiya hai to chances hai ki aapka account hack kiya gaya ho sakta hai.
To agar aapko koi aesa device dikh jata hai jisse aapne login nahi kiya hai us device ke samne 3 dots par click kar logout ka option hoga us par click kar dijiye, uske baad apna password change kar dijiye.
Facebook Account Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye
Facebook account ko secure rakhne ke liye kai sare options diye huye hai, bas hume kuch simple step ko follow kar apne facebook account ki setting ko is tarh se karni hai jisse ki koi humare account ko hack na kar paye.
Sabse pahle aap apne facebook account me login kar lijiye, uske baad top right corner me bane down arrow me click kar Setting ke option me click kar dijiye, Ab Security and login ke option par click kar dijiye, Ab yaha par aapko apne account ko secure rakhne ke liye kuch settings karni hai.
1. Use two-factor authentication: Is feature ko enable karne ka benefit yah hai ki aap jab bhi apne facebook account me login karenge aapse OTP pucha jayega jo ki aapke registered mobile number me ayega or jab aap us code ko dalenge tabhi hi aapka facebook account login hoga.
2. Get alerts about unrecognized logins: Is feature ko enable karne se jab bhi koi aapke account me login karne ki koshis karega to aapko turant ek notification mil jayega. or aapko pata chal jayega ki aapke account ke sath koi chedchad kar raha hai.
3. Choose 3 to 5 friends to contact: Is feature me aapko apne kuch close friends ya family members ko select karna hota hai iska ye benefit hota hai ki jab bhi aapka account hack ya locked ho jayega to aap un selected friends ki madad se asani se apne account ko recover kar payenge.Bonus Tips :
- Aap apna password ko strong rakhe password strong rakhne ke liye number, capital later, small latter ka use kare. Example- XYab@123#
- Apne password ko har 2-3 month me change karte rahe.
- Password ko kisi ke sath share na kare.
- Jab bhi aap kisi facebook ki website me login karte hai pahle upar url box me check kare ki www se pahle https hai ya nahi agar https hai to aap us website me log in kar lijiye or agar sirf http hai to aap us website me login mat kijiye wo fake website ho sakti hai.
- Unknown logo ki friends request ko accept na kare.
So ye kuch facebook security settings hai jinko aap enable kar apne facebook account ko hack hone se bacha sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko ye facebook ko hack hone se kaise bachaye post achi lagi hogi. Agar aapke man me is post se related koi doubt ya question hai to aap niche comment me puch sakte hai.