Youtube tips & tricks | Hello friends aj hum is post me top 10 best youtube secrets tips & tricks ke bare me janenge. Jaisa ki hum sabhi jante hi hai ki YouTube online video dekhne or share karne ke liye kitna popular platform hai.
Youtube par video ka bhandar hai yaha aapko har kisi topic par video mil jayegi. So aj hum yaha aapke liye kuch youtube ke majedar or useful tips and trick leke aye hai jo every youtube user ke liye useful hai.
YouTube ka use lagbhag sabhi log karte hai, YouTube par hum kai tarike ke video jaise ki funny video, movies, tutorial, tips & tricks etc. dekhte hai, But bahut se log youtube ke kai aese features secrets tips & tricks ke bare me nahi jante jinka use kar youtube ko or bhi achi tarh se use kar sakte hai.
10 Best YouTube Secrets Tips & Tricks In Hindi
- Create Animated GIF file for YouTube Videos.
- Repeat video.
- Watch YouTube video while using other website.
- YouTube short cut key.
- Download YouTube video.
- Share a YouTube video at a specific time.
- YouTube Tv.
- Playback speed.
- On/Off Autoplay.
- Watch video offline on YouTube.
1. YouTube Videos Se Animated GIF File Kaise Banaye
Dosto jab aap YouTube par koi video dekh rahe hote hai or aapko us video me kuch part acha lagta hai to aap uska GIF banana chahte hai to aap bahut hi asani se us video ka GIF bana sakte hai.
Step1: GIF banane ke liye sabse pahle aap youtube par jakar us video ko open kare jisme se aap gif banana chahte hai.
Step2: Ab upper url me youtube.com se pahle gif likh kar enter kar dijiye.
Step3: Ab gif.com ki website open ho jayega or sath hi jo aapne video select kiya tha wo bhi a jayega.
Step4: Ab yaha se us video me se jis bhi part ka gif banana chahte hai usaka start time or end time ko set kar dijiye, Gif ko edit karne ke liye side me aapko kai sare tools mil jayenge jinki madad se aap apane gig ko edit kar sakte hai.
Step5: Uske baad create gif ke button par click kar dijiye.
2. YouTube Par Ek hi Video Ko Automatically Repeat Karke Kaise Dekhe
Agar aap apne kisi favorite video, song, tutorial, etc. ko automatically bar bar replay karke dekhna chahte hai or aap bar bar mouse se click karke repeat nahi karna chahte hai to aap is trick ki madad se ek hi video ko bar bar replay kar dekh sakte hai.
Aap jis bhi video ko bar bar dekhna chahte hai aap us video ko open kar lijiye usake baad mouse se right click kar dijiye yaha aapko ek loop ka option dikhega use select kar dijiye. Uske baad aapki wo video khatam hone ke sath hi automatically hi replay ho jayegi.
3. YouTube Ki Video Ko Dekhte Time Other Website Ko Kaise Chalaye?
Agr aap youtube video ko dekhte dekhte kisi other website ko bhi use karna chahte hai to aap apane chrome browser me ek Floating for youtube extension download karna hoga. Jiski madad se ek hi time me aap youtube ki video or kisi other website ko chala payenge.
4. YouTube Shortcuts Key
Dosto kai bar hum youtube par video dekhte hai to hume video ko pause, play, forward etc. karne ki jarurat pad jati hai to hum mouse ka use karte hai. Yaha mai aapko kuchh sort cuts key ke bare me bata rha hun jisse aap bina mouse ke apne video ko play, pause, forward etc. kar sakte hai.
- K / Space Bar : Isase aap kisi video ko Pause ya Play kar sakte hai.
- J : Isko press kar ke aap video ko 10 second back kar sakte hai. J ko aap jitni bar press krenge utani hi bar 10-10 second back hoti chali jayegi.
- Left Arrow : Isse aap video ko 5 second back kar sakte hai.
- L : Isase aap video ko 10 second age forward kar sakte hai.
- Right Arrow : Isse aap video ko 5 second age forward kar sakte hai.
- Sift+N : Isko press karne se directly next video open ho jayegi.
- Sift+P : Isko press karne se previous video open ho ajeygi.
- 0(zero) : Isako press karne se video bilkul suru se start ho jayega
5. YouTube Se Video Kaise Download Kare
YouTube par video dekhte dekhte agar aapko koi video achi lagti hai or aap us video ko download karna chahte hai, But jaisa ki aapko pata hoga ki YouTube par directly download ka koi option nahi milta hai to aap aese me is trick ka use kar youtube ki video ko badhi hi asani se download kar skate hai.
YouTube video ko download karne ke liye aap simple us video ko open kar lijiye jise aap download karna chahte hai usake baad upper URL me youtube se pahle ss add kerke enter kar dijiye.
Jaise hi ss add karke enter karenge to ek new screen open hoga yaha se aap video ki quality ko select kar ke download ke button par click kar djiye. Uske baad aapka video download hona start ho jayeha.
6. YouTube Video Ko ek Certain Time Ke Baad Kaise Start Kare
Agar dosto aap youtube video ko kisi specific time ke baad start karna chahte hai to aap pahle us video ko play kar lijiye usake baad uper url me last me time likh dijiye ki ki aap kaha se video ko chalana chahte hai .
Example: Agar aap video ko 2 minute 40-second ke baad dekhna chahte hai to aap video ke URL ke last me &t=2m40s type kar enter kar dijiye ab wo video usi time ke baad play hoga.
Or sath hi agar aap kisi video ko kisi specific time ke baad share karna chahte hai to aap us video ko open kar right click kar ke copy video URL at current time pe click kar uska url copy karke share kar sakte hai.
7. YouTube Tv
Agar aap youtube video ko tv mod me karke dekhna chahte hai or kewal keyboard ka use karke youtube ko chalana chhate hai to aap is trick esa se kar sakte hai.
youtube ko tv mode banane ke liye aap youtube ke homepage me jakar upar url me last me youtuve.com ke baad /tv likh kar enter kar dijiye.
Yaha par aap right, left arrow se video ko select kar sakate hai or saath me right corner par aapko 3 short cut key di huyi hai Esc, S, G Esc se aap back aa sakte hai or S press karne se search bar open ho jayega uske baad aap yaha par koi bhi video ko search kar sakte hai or pahli bar G ko press karne par guide open ho jayega or dusri bar press karne par guide close ho jayega.
8. YouTube Ki Video Ki Speed Ko Control Kaise Kare
Dosto kai bar esa hota hai ki hum youtube par koi video ya tutorial dekh rhe hote hai jisame bahut fast se ya bahut slow bola jata hai jisse hum us video ko thik se nahi samjh pate hai aise me hum chahte hai ki us video ki speed ko hum apne hisab se fast and slow kar ke dekhe jisse hume wo video thik se samjh me a jaye.
Ji ha dosto youtube ke is feature ki madad se esa possible hai ki hum youtube par vidoe ki speed ko apne hisab se slow and fast kar ke dekh sakte hai.
Step1. sabse pahle aap us video ko open kar lijiye jisme aap speed ko control karna chahte hai usake baad niche setting ka option hoga us par click kar dijiye.
step2. ab yaha par aapko ek speed ka option dikhega us par click kar ke aap speed ko select kar lijiye ki aap us vidoe ki speed kitni rakhna chahte hai.
9. YouTube Video Autoplay Kaise On/Off Kare
Agar aap youtube video ko autoplay on ya off karna chhate hai to aap badhi hi asani se kar sakte hai.
Youtube video autoplay on ya off karne ke liye sabse pahle aap kisi video ko open kare uske baad right right side me autoplay ka option hoga waha se aap autoplay ko on ya off kar sakte hai.
10. YouTube Video Ko Offline Bina Internet Ke Kaise Dekhe
Dosto jab aap youtube par video dekhte hai or kai video aapko achi lag jati hai or aap un video ko bar bar dekhna chhate hai par aap un video ko har bar dekhne ke liye internet kharch nahi karna chahte hai to ese mai aap youtube ke offline feature ka use kar un video ko offline mood me save kar baad me bina internet ke dekh sakte hai.
Step1. Is feature ka use karne ke liye aap apne mobile me youtube app ko install kar lijiye usake baad aap jin video ko offline mood me save karke rakhna chahte hai use play kar lijiye.
Step2. Usake baad nice aapko ek Download ka button dikhega us par click kar dijiye.
Step3. Ab ek popup open hoga yaha aap us video ki qulity select kar sakte hai ki aap video ko low, medium or Hd kis quality me save karna chahte hai uske baad ok ke button par click kar dijiye.
Step4. Ab aap un video ko library me download ke option me jakar bina internet connection ke bhi dekh sakte hai.
To yah hai kuch majedar aur useful youtube tips and tricks, Jinka use kar aap youtube ko aur bhi ache se use kar payenge.
Ummid karta hun ki aapko ye youtube secrets tips & tricks in hindi post achi lagi hogi, or aapko is post se kuch naya sikhne ko mila hoga. Agar aapke man me is post related koi bhi doubt ho to aap niche comment me puch sakte hai.
YouTube ke kisi Ek channels pr personal massage Kaise Karte hai
Aap us channel ke about tab ko open kar lijiye waha last me aapko ek Send message ka option dikhega usaki madad se aap personal message send kar sakte ho.