Online paise kamane ke tarike | Hello friends aj hum is post me online paise kaise kamaye? Online paise kamane ke best tarike kaun se hai? etc. ke bare me janenge. Agar aap bhi ghar baithte online kaam kar paise kaise kamaye ke bare me janna chahte hai to ye post apke liye useful & helpful ho sakti hai. Is post me mai aapko aese 10 best online paise kamane ke tarike bataunga jinki madad se aap ghar baithe full time & part-time dono tariko se online kaam kar income kar sakte hai.
Jaisa ki aj ke digital samay me hum har kaam ko ghar se hi online internet ki madad se kar sakte hai, Jaise koi saman kharidna ho ya bechna, Online padhna ho ya padhana, Bill pay karna, Recharge karna, Tickets book karna, etc. sabhi kaam online internet ki madad se easily kar sakte hai. Isi tarh aj ke samay me hum online internet ki madad se ghar baithe kaam kar online paise bhi kama sakte hai. Internet par online kaam kar paise kamane ke bahut sare tarike hai. Aur jaise jaise duniya digital ho rahi hai waise waise internet se paise kamane ke tarike bhi badh rahe hai.
Dosto jaruri nhi hai ki kisi office me 8 – 10 hour ki naukri karne ke baad hi paisa kamaya ja sakta hai, Aj ke samay me internet par aese kai sare tarike available hai jinki madad se aap ghar baithe online kaam kar ke bhi ache paise kama sakte hai, or yakin maniye aap online utne paise kama sakte hai jitne ki aap 8 – 10 hour ki naukri kar ke bhi nhi kama sakte hai. Yadi aap internet ke bare me thoda bahut bhi jante ho aur aapke paas computer or internet connection hai to aap ghar se online kaam kar ache paise kama sakte hai.
Online Internet Se Kitne Paise Tak Kama Sakte Hai
Mai aapko bata dun ki internet se paise kamane ki koi limit nahi hai online internet se aap lakho rupay monthly kama sakte hai, But ye aapke talent or kaam pe depend karta hai ki aap kitna mehnat karte ho. Aj ke samay me bahut se log hai jo online kaam kar lakho rupay kama rahe hai.
Agar aap internet par How to earn money online, Internet se paise kaise kamaye, etc. ke bare me search karenge to apko bahut sare result show honge lekin internet par bahut sare aese tarike bhi hai jo scam hoti hai, So apko aesi scam sites se bachna hai or unhi sites par kaam karna hai jo 100% real hai.
To chaliye ab jante hai un 10 best online paise kamane ke tarike kaun se hai jin par hum online kam kar paise kama sakte hai. Yah sabhi tarike bahut hi popular aur trusted hai.
Online Paise Kamane Ke Tarike
1. YouTube Se Paise Kamaye
YouTube online paise kamane ke liye sabse best aur popular tarika hai youtube se paise kamane ki koi limit nahi hai or iski sabse achi bat yah hai ki ise start karne ke liye aapko ek rupay bhi kharch karne ki jarurt nahi padti. Youtube online paise kamane ka ek aesa tarika hai jisse aap zero investment me lakho rupay kama sakte hai, Youtube par thodi bahut mehnat kar aap bahut hi easily online paise kama sakte hai.
YouTube Se Income Kaise Hoti Hai?
Youtube se income karne ke liye aapko kuch step follow karne hote hai.
- Create Youtube channel: Sabse pahle aapko YouTube par ek channel create karna hota hai. Channel create karne ke liye aapke paas gmail ka account hona chahiye uske baad aap youtube par jakr apne gmail account se youtube channel create kar sakte hai.
- Upload Video: Youtube pe channel create karne ke baad aapko youtube par apne dwara banaye gayi videos ko upload karna hota hai.
- Enable Monetization: Videos upload karne ke baad agle step me aapko apne channel ka monetization karna hota hai. Monetization kerne liye apne youtube channel ko AdSense account se link karna hota hai.
Jaise hi aapka channel adsense se link(approved) ho jayega to uske baad aapke videos me add show hone lagegi jisse aapki earning hogi.
YouTube par new channel kaise create karte hai ? YouTube channel par video upload kaise karte hai or YouTube se paise kaise kamaye ke bare me adhik janne ke liye aap humari YouTube se paise kaise kamaye full guide post ko read kar step by step puri jankari le sakte hai.
YouTube Se Generate Hui Income Kaise Receive Hogi?
Jitna bhi aapke youtube se earning hogi wo sab aapke AdSense account me store hoti hai, or jaise hi aapke AdSense me 100$ pure ho jate hai to aap un paiso ko directly apne bank account me le sakte hai.
2. Blogging Se Paise Kamaye
Agar aapko likhne ka shauk hai to aap apne thought, ideas ko likhkar unhe online share kar paise kama sakte hai. Blog ek aesa platform hai jaha par aap apne gyan ko dusro ke sath share karke income kar sakte hai, Aj ke samay me bahut se log hai jo blogging se lakho rupay kama rahe hai.
Blogging Kaise Suru Kare?
Dosto blog banana bahut hi asan hai, Blog banane ke liye aapko kisi technical knowledge ki jarurat nhi padhti hai or ise banane ke liye bhi aapko ek rupay kharch nhi karna padhta, Blog aap free or paid dono tariko se bana sakte hai.
Free blog banane ke liye aapko blogger.com website me akar apne gmail account se signin karna hoga uske baad aap yaha apne blog create kar post likh kar publish kar sakte hai.
Blog Se Earning Kaise Hoti Hai?
Blog se bhi earning same YouTube ki tarh hi hoti hai isme bhi aapko advertisement ke paise milte hai, Jab aap apne blog me kuch post likhkar publish karenge or jab aapke blog me visitor ane lage to aapko apne blog ko AdSense se link karna hoga, uske baad aapke post par AdSense add show karega or fir jab bhi koi visitor aapke blog post ko read karega or un par show hone wali add par click karega to aapko earning hogi.
Blog Se Kamaye Gaye Paise Kaise Milenge?
Blog me bhi same youtube ki tarah adsense account me apki earning store hoti hai or jb aapke adsense me 100$ ho jate hai to waha se aap apne bank account me transfer kar sakte hai.
3. Affiliate Marketing Se Paise Kamaye
Online internet se paise kamane ke liye Affiliate marketing ek bahut hi best tarika hai.
Affiliate marketing ka matlab hota hai ki aap kisi company ke products ka online advertising karke uske badle commission receive karna.
Affiliate marketing se paise kamane ke liye sabse pahle aapko kisi product company ke affiliate program se judna hota hai, Uske baad ye products company aapko apne products ke affiliate links or details deti hai, fir aap in link ko apne blog, website, YouTube channel, Social sites jaise ki WhatsApp, Facebook, Twitter, Instagram, etc. par share kar advertisement karna hota hai uske baad jab bhi koi aapke us link par click kar koi products buy karta hai to aapko us products ke price ka kuch % commission milta hai.
Affiliate marketing se earning tabhi milti hai jab koi aapke dwara share ki gayi link pe click kar us product ko buy karta hai.
Affiliate Marketing Se Kamaye Paise Kaise Milenge?
Affiliate marketing program se kamaye gaye paiso ko aap apne Bank account, Paypal, etc. me magwa sakte hai.
Affiliate marketing ke bare me adhik janne ke liye aap Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye is post ko padh sakte hai yaha aapko puri jankari mil jayegi.
4. Online Photo Sell Kar Paise Kamye
Internet par aesi bahut sari sites hai jaha aap apne dwara khichi gayi photo ko online sell kar paise kama sakte hai.
Agar aapko photo khichne ka shauk hai ya aapko photography me interest hai to aap photos click kar unhe online internet par sell karke ache paise kama sakte hai.
Photo Ko Kaha or Kaise Sell Kare?
Internet par aesi bahut si websites hai jaha par aap apne dwara khichi photos ko sell kar sakte hai, jaise istockphoto.com, shutterstcok.com, photoshelter.com, etc.
Photos Ko Online Sell Karke Kitna Kama Sakte Hai?
Ye to aapke photos par depend karta hai ki aapki photos kaisi hai aap kitni achi photos capture kar sakte ho or kitni high-quality ki hai. Jyadatar log high-quality ki hi photos pasand karte hai so aap bhi apni photos ki quality high rakhiye aapki photos jitni jyada achi hogi aapki earning bhi utni hi jayda hogi.
5. Fiverr Se Paise Kamaye
Fiverr ek aesi website hai jaha par aap ghar baithe hi bahut se tarah ke kaam kar paise kama sakte hai, Is website par aapko kai tarah ke kaam mil jate hai, jaise ki Data entry, SEO, Web designing, Graphic designing, Photo Editing, Article Writing or bhi bahut tarh ke. Online paise kamane ke tariko me fiverr ek bahut hi most popular tarika hai.
Fiverr Se Paise Kaise Kama Sakte Hain?
fiverr se paise kamane ke liye sabse pahle aapko fiverr.com par joining karna hota hai, Fiverr par aap free sign up kar sakte hai. Uske baad aap apne talent ke anusar aap jis bhi chij me expert hai jaise ki Photo Editing, Graphic designing, Data entry, Web designing, Videos editing, SEO etc. us kaam ko select kar us par ek GIG create karna hota hai. GIG me aap apne kam ki sari detail denge jaise ki aap kya kam karenge, us kaam ko kitne samay me pura kar ke denge etc.
Jaise ki agar aapko logo design karna ata hai to aap uspar ek GIG create kar publish karenge. Uske baad koi apni company ke liye logo design karwana chahta hai to wo fiverr me akar search karega ki kaun uska kaam kar sakta hai to aise me agar use aapka GIG dikha or use acha laga to wo aapko hire karega.
fiverr me aap jo bhi work karnge wo 5$ ke liye lekin baad me aap apne experience ke hisab se ise badha bhi skate hai.
Fiver Se Paise Kaise Milenge?
Jab aap kisi work ko complete kar ke de dete hai to aapko aapki payment aapke bank account ya Paypal account ke through milti hai.
6. Online Tutorial Se Paise Kamaye
Dosto aap online tuition padha kar ke bhi ache paise kama sakte hai, Ji ha dosto agar aap student ko ache se padha sakte hai to aap online tuition dekar bhi ghar baithe online paise kama sakte hai.
Agar app kisi subject ke bare me achi knowledge rakhte hai to aap ghar se hi online tuition padha kar earning kar sakte hai.
Online Tuition Padhane Ke Liye Kin Chijo Ki Jarurat Hoti Hai?
Online teaching ke liye aapke pass computer hona chahiye jisme webcam or internet connection ho.
Online teaching ke liye aap tutorvista.com, tutornext.com, Skype, Webex.com jaisi websites ka use kar sakte hai, Aap in websites me register kar online tuition padha sakte hai.
7. Freelancer Work Se Paise Kamaye
Freelancing ghar se online kaam kar paise kamane ka ek bahut acha or fayedemand tarika hai.
Freelancing ki achi baat yah hai ki is me aap apni marji se kaam kar skate hai, or apne kaam karne ka samay bhi aap khud tay kar sakte hai, or yaha tak ki aap apne dwara kiye gaye kaam ki kimat bhi khud se tay kar sakte ho.
Freelancing me aap kai sare kaam kar sakte hai, Jaise ki Graphic design,Video editing, Data entry, Website banana etc. freelancing me aapko bahut tarh ke job milenge, Usme se app apne skill ke anusar kam ko select kar kaam kar sakte hai, bahut se log aese hai jo sirf freelancing kar ghar se hi lakho rupay kama rahe hai.
Freelancing website me job pane ke liye aapko sabse pahke apna portfolio banana hota hai, Isme aapko apne dwara kiye gaye kaam ka sample portfolio ke rup me banana hota hai, or client aapki isi portfolio ko dekhkar hi aapko kaam dete hai.
Freelancing ke liye internet par bahut sari websites hai jaha par aap kaam kar achi income kar sakte hai.
8. Online Surveys Se Paise Kamaye
Online paise kamane ke liye online survey bhi ek bahut hi badhiya or asan tarika hai.
Online survey me badi badi companies apne products ka reviews karati hai or unke badle me paise deti hai. Surveys sites me join hone ka koi charge nahi lagta yaha par aap free signup kar sakte hai.
Survey karke paise kamane ke liye sabse pahle aapko surveys companies ki website par jakr signup karna hoga uske baad aapko surveys milenge, Surveys me aapse kuch basic questions puche jate hai, Surveys complete karne ke liye aapko time milega or aapko usi time me us survey ko complete karna hota hai. Jab aap survey complete kar dete hai to us survey ke paise aapke account me add kar diye jata hai.
Dosto waise to internet par bahut sari websites hai jo surveys karati hai but usme se adhik fake bhi hoti hai jo sirf humse kaam karati hai or payment ke samay kuch na kuch karan bata kar humara account band kar deti hai, Lekin kuch aesi bhi websites hai jo 100% real or aapko aapke dwara kiye gaye kaam ke paise deti hai.
9. Buy & Sell Domain Names
Domain name kharidna thik usi prakar hai jis prakar aap jamin ko km daam me kharid kar use kuch samay baad adhik daam me bech kar fayda kamate ho, Thik usi prakar online market me aap domain ko bhi km paiso me kharid kar kuch samay baad us ko adhik paiso me bech kar labh kama sakte hai. Domain name ko online sell or buy kar ke ache paise kama sakte hai.
Domain name ko kharidne ke liye kuch kharcha to karna padhta hai but jyada nahi.
Domain Name Kaha Se Register Kare?
Internet par bahut aisi website hai jaha se aap domain name register kar sakte hai. Jaise ki Godadday.com, Bigrock.in, Hostgator.in, Namecheap.com.
Domain Names Ko Kaha Par Sell Kare?
Aap domain name ko sedo.com, flippa.com, ebay.com jaisi website par sell kar sakte hai.
10. Amazon Mechanical Turk – MTurk
MTurk se paise kamana bahut hi asan hai, Isme aapko kuch chhote work karne ko milte hai jinhe aap easily kar ke paise kama sakte hai.
MTurk me bahut hi asan work hote hai jinhe koi bhi kar sakta hai, Jaise capcha feel karna, surveys karna, transcription etc.
MTurk se earning karne ke liye sabse pahle aapko mturk ki website mturk.com par jakr as a worker ke taur par sing in karna hota hai, jaise hi aap MTurk ki website me sign in kar lenge to aapko kuchh HITs milenge jinhe aap apne hisab se select kar ke kam kar sakte hai, yaha par aapko bahut tarh ke kam milenge aap apne anusar kaam ko select kar ke kam kar sakte hai, Aur aapko har kaam ka time milega aapko us kam ko diye huye time me khatm karna hota hai.
Is prakar aap kuch chote or asan work kar ke Mtrurk se ache paise kaam sakte hai.
So yah the 10 best online paise kamane ke tarike, Jinki madad se aap ghar baithe online kaam kar ache paise kama sakte hai. In sabhi tariko ko aap part time me bhi start kar sakte hai, or jab aapko lage ki inse achi income ho rahi hai to aap inhe full time bhi kar sakte hai.
I hope ki aapko ye online paise kamane ke tarike post achi lagi hogi, Agar apke man me is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.