Photo bechkar paise kaise kamaye | Hello friends aj hum is post me photo bechkar online paise kaise kamaye ke bare me janenge. Bahut sare log photography ka shauk rakhte hai aur wah achi achi photo khich kat social sites me share karte rahte hai jisse unhe waha like, comments ke alawa kuch nahi milta. But kya aap jante hai ki aap apne dwara khichi photos ko online sell kar paise bhi kama sakte hai.
Ji haan agar aapko photo capture karne ka shauk hai aur aap bahut achi photography karte hai to aap apne is shauk ki madad se online paise kama sakte hai. Agar aap bhi online photo bechkar paise kaise kamaye? ke bare me janna chhate hai to ye post aapke liye useful & helpful sabit ho sakti hai. Yaha is post me humne Photo ko online kaise sell kare? Kaha sell kare? aur isse paise kaise kamaye ke bare me details me jankari share ki hai.Internet ek bahut bada marketplace hai jaha par bahut se log ate hai or internet se hi photos ko buy karte hai, Bahut se log apne project me use karne ke liye images ko online buy karte hai, Agar aapko photography ati hai or aapko photo capture, create karne me interest hai to aap photos ko online sell kar easily ache paise kama sakte hai.
Aj ke samay me internet me aesi bahut sari websites hai jaha par aap apni photos ko online sell kar sakte hai, Aap in websites par wohi photos ko sell kar sakte hai jo aapke dwara khichi gayi ho matlb aap kisi aur ke photos ko google ya kahi or se download kar sell nahi kar sakte hai.
Online Photo Bechkar Paise Kaise Kamaye
Waise to internet par bahut sari websites hai jaha par aap online photo bechkar paise kama sakte hai, Lekin jaisa ki hum sabhi jante hai ki internet par bahut sari fake sites bhi hoti hai, So yaha is post me mai aapke sath kuch popular top photo selling sites ke bare me bataunga jaha par aap apni photos ko online sell kar sakte hai.
Yaha mai aapko ek website ke bare me full detail me bataunga ki online photo kaise sell kare? photos sell karne ke liye new account kaise create kare? Photos kaise upload karte hai? or baki sabhi website me bhi photo sell karne ka process lagbhag same hai.
Shutterstock Par Photo Kaise Sell Kare?
Yaha mai aapko shutterstock ke bare me bataunga yah website online photo sell karne ke liye best website hai. Online photo bechkar paise kamane ke liye shutterstock ek bahut hi most popular website me se ek hai.
1. Shutterstock
Step1: Sabse pahle aap shutterstock ki website ko open kar Sell content wale option par click kar dijiye.
Step2: Aab ek new page open hoga, yaha se aapko Get Started ke button par click karna hai, uske baad aapke samne ek form open hoga, ab yaha par aapko apni details dalni hai, Jaise ki Full Name, Display Name, Email address or password uske baad inki Terms of Service and Privacy Policy ko accept kar Next ke button par click kar dijiye.Note: Aap yaha par apni sahi sahi detail fill kare agar aap yaha par galat details dalte hai to baad me payment receive karne me problem ho sakti hai.
Step3: Jaise hi aap is form ko fill up karke next ke button par click karte hai to aapke email par Shutterstock ki tarf se ek email verification ka mail ayega, aap apne email ko open kar use verify kar lijiye, Jaise hi aap apne email address ko verify karte hai to aapke samne ek new page open hoga jaisa ki niche image me dikhaya gaya hai.Step4: Ab yaha se aapko Next ke button par click karna hai.
Step5: Ab ek aur new page open hoga jisme ek form hoga yaha par aapko apna address dalna hai uske baad Next ke button par click kar lena hai.
Step6: Ab next page par ye hume bol rha hai ki hume apna ek id proof upload krna hai choose file ke button par click kar ke apna ek id proof upload kar dijiye (file format jpeg, tiff or pdf) uske baad Continue par click kar dijiye.step7: Ab aapko next page par apna account approve karane ke liye 10 best photos upload karni hogi uske liye upload images ke button par click kar lijiye fir aapke samne kuch information open hogi aap use padh kar photos ko upload kar dijiye.
Photos ko upload karne ke baad Shutterstock ki team apke account ka review karegi or sab sahi hone par aapke account ko approve kar degi uske baad aap Shutterstock par photos upload kar apni photo ko online sell kar paise kama sakte hai.
2. iStock Photoistock photo world’s largest marketplace hai, stock photos ka istock photo internet par pramukh micro-stock agencies me se ek hai.
istock photo par aapko apne photos ko sell karne ke liye sabse pahle is website par akar registration karna hota hai, Is website me aap free register kar sakte hai aur registration process bhi bahut asan hai. Aapko is website par registration process ke through 3 photos upload karni hoti hai photos upload karne ke baad istockphoto ki team aapke photos ki quality ka review karegi aur sab kuch sahi hoga to wo apne jo registration ke liye request di hai wo approved kar denge or approve hone ke baad me apko istockphoto aapke photos ke har sell par 15% se lekar 45% tak commission degi.
3. AlamyAlamy ek online photo sell karne ka most popular website hai, alamy me bhi registration free hai, yaha par 60 million images aur videos sell ke liye hai. Aur Alamy ke customer pure world me hai, Is website par har mahine lakho log ate hai image buy karne ke liye aur bahut se companies bhi apne project ke liye isi website se photos ko buy karti hai, Dosto photos ko online sell karne ke liye ye ek best website hai. Alamy me aap apni photos ko easily sell kar sakte hai or ache paise kama sakate hai.
4. FoapAgar aap apne mobile se photo sell kar ke paise kamana chahte hai to aap apne mobile me Foap aap download kar photo upload kar ke photos ko sell kar paise kama sakte hai, Aur jitni baar aapki photo sell hogi utni baar aapki earning hogi.
In websites ke alawa kuch or websites bhi hai jaha aap apni photos ko online sell karke paise kama sakte hai.
Other Websites :
Yah hai top online photo selling sites jaha par aap photo sell kar paise kama sakte hai. Aj ke time me bahut se log hai jo in websites ki madad se apni photos ko online sell kar achi income kar rahe hai, So agar aap bhi photos sell kar paise kamana chahte hai to aap in websites ki madad se photo sell kar ache paise kama sakte hai.
Suggestion: Dosto aap jo bhi photo sell karne ke liye khichte hai unhe directly upload na kare pahle aap un photos ko edit kare aur unhe ek acha professional look de uske baad hi aap un photos ko online sell karne ke liye upload kare. Aap apni photo ko Photoshop ya fir kisi photo editor software ki madad se edit kar sakte hai. Photo ko HD high-quality me banaye, high-quality ki photo hi logo ko jyada pasand ati hai or isse aapke photo bhi jaldi sell ho jayegi.
Photos Ko Online Sell Karke Kitne Paise Kama Sakte Hai?
Dosto ye to aapke photos par depend hai ki aapki photos kitni high-quality ki hai, aur aapki photos logo ko kitni pasand ati hai. Jyadatar log high-quality ki hi photos ko pasand karte hai, So aap bhi apni photos ki quality best rakhiye aur jaise ki maine upar bataya tha ki photos ko online sell karne se pahle photo ko ache se edit kare editing bahut important step hai, Isliye photos ko site me upload karne se pahle use ache se edit kare uske baad hi sell karne ke liye upload kare.
Ummid karta hun ki aapko ye online photo bechkar paise kaise kamaye post achi lagi hogi, Agar aapke man me is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.
Kya hum Photoshop se photo banakar use online sell Kar sakte hai Kya?