Image Submission Kya Hai? Free Image Submission Sites List 2023

Free image submission sites list 2023 | Aj hum is post me Image submission kya hai? Ye SEO ke liye kyu important hai? Image submission karne ke kya benefits hai? Best free images submission sites kaun si hai? etc. ke bare me janenge. Website blog me high-quality backlink banane aur search ranking improve karne ke liye yah ek bahut hi badhiya aur free tarika hai. Agar aap bhi apne website blog ke liye free high-quality backlink aur search engine ranking increased karna chahte hai to ye post aapke liye useful sabit ho sakti hai.

image-submission-sites-list-hindi

Kisi bhi website blog par traffic increase karne ke liye sabse important uska SEO hota hai. SEO ki madad se hi hum apne website blog ki pages post ko search engine me top position me la sakte hai. SEO karne ke kai technique hote hai aur uni techniques me ek images submission bhi hai. Image submission off-page SEO ka ek bahut acha technique hai. Iski madad se aap apne website blog ke liye high-quality backlink or traffic increase kar sakte hai.

A2 Hosting Black Friday Deals 2023: Up to 85% OFF

Blog website ki search ranking improve karne or backlinks banane ke liye images submission ek bahut hi simple or free tarika hai. To chaliye jante hai ki image submission kya hai or free image submission sites kaun si hai.

Image Submission Kya Hai?

Image submission ek off-page SEO ka ek technique hai. Isme aapko apne website blog se related images ko other images submission sites me share karna hota hai. Jab aap apni images ko in high domain authority wali image submission sites me share karenge to aapko aapke blog website ke liye high-quality backlink ke sath acha traffic bhi milega.

Ex. jaise ki jab hum Google me kuch search karte hai to image wale tab me us topic se related bhut sari images show hoti hai, wo sabhi images kisi na kisi website me use ki hui hoti hai agar aap unme se kisi image par click karte hai to aap us website me chale jayenge jisne us image ko apni site me use kiya hoga ya kisi site me image sharing ki hogi, Aur jyadatr top par high domain authority site ki images show hoti hai. So aap bhi ese hi high ranking wali sites me free image submission kar site me traffic la sakte hai.

Internet me aesi kai sari high domain authority wali free image submission sites hai jaha aap apne images ko share kar sakte hai.

Image Submission Karne Ke Benefits Kya Hai?

Image submission ke bahut sare benefits hai jaise ki

  • Image submission se aapki website blog ki search ranking increase hoti hai.
  • Search engines ko aapki website blog ke bare me asani se pata chal jata hai.
  • Isse aapke website blog ko quality backlink milte hai.
  • Aapki website blog par traffic increase hota hai.

Image Submission Kaise Kare?

Images submission karna bahut hi asan hota hai, Image submission ke liye sabse pahle aapko image submission sites me apne gmail account se free signup karna hota hai, Signup karne ke baad aap images share kar sakte hai. Image submission me aapko unique or high-quality ki Image, Tittle, Discretion or Tags dalna hota hai.

Sabhi images submission sites me aapko in sabhi chijo ki jarurat padegi so aap in sabhi ko kisi notepad ya word me likh lijiye uske baad aap bari bari sabhi image submission sites me share kare.

Images submission karte samay aapko kuch bato ko dhyan me rakhna hoga.

  • Aap jo bhi image share kare usi image se related tittle, tags ka hi use kare.
  • Description acha likhe or description me apne post page ka url bhi include kare.
  • Title, description me apne main keyword ko add kare.
  • Jyada traffic lane ke lalach me aakar kisi galat images ko share na kare.
  • Unique images ko share kare. Unique khud se banayi image jaldi rank hoti hai. Agar aap koi free image net se download karke share karte hai to wo image duplicate me ata hai or wo jaldi rank nahi karega.
  • Achi high DA website me hi images ko share kare. Yaha niche  mai kuch top high DA image submission sites ke bare me bata raha hun aap in sites me apni images ko share kar sakte hai.

Best Free Image Submission Sites List 2023

Internet me aesi bahut sari images submission sites hai jaha par aap apni images ko share kar sakte hai but sari sites effective nahi hoti. So aap unhi sites par apni images ko share kare jinki high DA (Domain Authority) ho. So yaha mai top 20 free images submission sites ke bare me bata raha hun jo sabse jyada popular hai, In sites me aap free me apne gmail account se signup kar images submission kar sakte hai.

20 Free Image Submission Sites List 2020

  1. imgur.com
  2. visual.ly
  3. tumblr.com
  4. 4shared.com
  5. weheartit.com
  6. plus.google.com
  7. postimages.org
  8. twitter.com
  9. 500px.com
  10. facebook.com
  11. in.pinterest.com
  12. instagram.com
  13. myspace.com
  14. flickr.com
  15. tinypic.com
  16. slickpic.com
  17. scoop.it
  18. mediafire.com
  19. photo.net
  20. fineartamerica.com

So ye hai top free image submission sites jinpe aap apni images ko share kar apne website blog ke liye high-quality backlink aur traffic increase kar sakte hai.

I hope ki aapko ye Images submission kya hai? Free image submission sites list post achi lagi hogi. Agar aapka is post se related koi bhi doubt ho to aap niche comment me puch sakte hai.

1 thought on “Image Submission Kya Hai? Free Image Submission Sites List 2023”

Leave a Comment