Facebook video monetization in hindi | Hello friends aj hum is post me Facebook video monetization kya hai? Facebook video monetization se paise kaise kamaye? ke bare me janenge. Agar aap ek video creator hai aur aap apne videos se paise kamana chahte hai to ye post aapke liye useful & helpful ho sakti hai.
Facebook ne Facebook video monetization ki service ko India ke liye launch kar diya hai. Yah service pahle kuch hi country ke liye available tha but ab yaha India me bhi launch ho chuka hai. Isme aap youtube ki tarh facebook par bhi apni videos ko upload kar un videos ko monetize kar paise kama sakte hai. Is service ko Facebook for creators, Facebook ad breaks ke naam se jana jata hai.
Agar aap ek YouTube video creator hai to aapke liye yah facebook for creators service bahut hi fayde mand ho sakta hai. Jis tarh aap youtube par apni videos ko upload kar paise earn kar sarte hai thik usi prakar ab aap facebook par bhi apni videos ko upload kar paise kama sakte hai.
Facebook Video Monetization In Hindi
To chaliye jante hai ki facebook video monetization kya hai? Facebook monetization se paise kamane ke liye kin kin chijo ki jarurt padegi, Monetization eligibility criteria kya hai, etc.
Facebook Video Monetization Kya Hai?(Facebook For Creators)
Facebook for creators same youtube ki tarh video sharing platform hai jis tarh aap youtube par apni videos monetization kar paise kamate hai thik usi tarh yaha bhi aap apni videos ko monetization kar paise kama sakte hai.
Youtube par aapke dwara uploaded videos par youtube advertisements serve karta hai or usse aapki earning hoti hai thik usi prakar yaha par bhi facebook aapki videos me advertisements serve karega jisse aapki earning hogi. Facebook creator studio me bhi aapko lagbhag wo sabhi chije mil jayegi jo ki youtube me hai. Yah same youtube ki tarh hai bas name change hai.
Facebook Video Monetization Se Paise Kaise Kamaye?
Jaisa ki mene upar bataya tha ki yah bhi same youtube ki tarh hai, So jis prakar youtube par videos ko monetize karne ke liye unke kuch conditions ko follow karna hota hai thik usi prakar facebook par bhi videos ko monetize karne ke liye kuch conditions ko follow karna hoga uske baad hi aap Facebook videos monetization se earning kar payenge.
Facebook Videos Monetization Eligibility Criteria Kya Hai?
Facebook video monetization ke liye aapko kuch conditions ko fulfill karna hota hai, Uske baad hi facebook aapki videos me ad serve karta hai jisse aap earning kar sakenge.
- Aap video ko facebook profile se upload nahi kar sakte, Video ko aap kewal apne facebook page se hi upload kar payenge. So aapke paas ek facebook page hona jaruri hai.
- Facebook page me minimum 1k followers hone chahiye.
- Aapke Facebook page me jitney bhi videos hai un videos par last 2 months me 30k views hone chahiye aur un videos me 180,000 minutes viewed hone chahiye. Aapke videos ka views tabhi count hoga jab koi aapki video ko 1-minute tak dekhega. Yani ki agar koi ek minute se kam video ko dekhta hai to wo view count nahi hoga.
- Last 60 days me 15000 post engagements honi chahiye.
- Aap jo bhi videos upload karenge unki length minimum 3 minutes ki honi chahiye.
Yah kuch criteria hai jinhe aapko video facebook monetization ke liye fulfill karna hoga, Yah thodi muskil hai but agar aap ek ache creator hai to aap inhe badi hi asani se in pura kar sakte hai.
Check Facebook Video Monetization Eligibility
Agar aapka facebook page pehle se hai to aap yaha se check kar sakte hai ki aapka page video monetization ke liye eligible hai ya nahi.. Yaha se aap jan sakte hai ki abhi aapke page me kis chij ki kami hai.
Yaha ane ke baad aapko apne Facebook me login karna hoga uske baad aapke jitne bhi us Facebook account me page hai wo sabhi show ho jayenge.
Ab yaha se aap eligibility check kar sakte hai aur jitni bhi kami hai unhe pura kar facebook par ads laga kar paise kama sakte hai.
Jab aapka facebook page video monetization ke eligible ho jata hai to uske baad aap facebook creator studio me Sign in kar videos ko upload kar paise kama sakte hai.
Facebook par daily bahut sare visitors ate hai or log apna khali samay facebook me spend karna pasand karte hai. Agar aap ek video creator hai to aap apne video ko facebook me jarur upload kare jisse ki log aapki video ko dekhenge aur aapki earning hogi. So is prakar aap facebook me videos upload kar paise kama sakte hai.
I hope ki aapko yah Facebook video monetization kya hai? aur isse paise kaise kamaye? post achi lagi hogi. Agar aapke man me facebook video monetization in hindi se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.