Dropshipping Business Kya Hai Aur Isse Paise Kaise Kamaye

Drop shipping se paise kaise kamaye | Hello friends aj hum is post me Dropshipping business kya hai? Isse kaise suru kare? Yah kaam kaise karta hai? etc. ke bare me janenge. Agar aap online business kar paise kaise kamaye ke bare me search kar rahe hai to ye post aapke liye useful and helpful rahegi. Yaha is post me hum aapke sath Dropshipping kya hai aur isse paise kaise kamaye ke bare me puri jankari share kar rahe hai.

dropshipping se paise kaise kamaye full guide

Dropshipping Kya Hai?

Dropshipping ek e-commerce se related business hai. Dropshipping business me aapko apna ek online store create kar products ko promote kar sell karwana hota hai, But wo products aapke pass store nahi hote, aur na hi aapko un products ko customer tak deliver karna padta hai.

Asan bhasha me bolo to dropshipping me aap kisi third party (supplier/vendor) ke products ko apne website(store) me apna margin add kar sell ke liye list kar dete hai, Uske baad us product ka order milne par aap us product ka price aur customer details third party (supplier/vendor) ko send kar dete hai, fir third party (supplier/vendor) us product ko aapke us customer tak deliver kar deta hai.

Dropshipping ek perfect online business model hai, kyunki isme hume un sabhi process (Stocks, Packaging, Shipping) jo ki ek e-commerce business ke liye karna padta hai wo sab karne ki jarurt nahi padti. Dropshipping business me bas hume apne store me product ko list kar promote kar sale karna hota hai, Uske baad wo supplier jisse humne us product ko buy kiya hai wo khud hi us product ko pack kar customer tak deliver kar deta hai.

Jab hum eCommerce business start karte hai to sabse pahle hume product buy karna hota hai, fir un products ko rakhne ke liye warehouse ya koi bhi room jaha apne products ko rakh sake lena hota hai, Uske baad order ane ke baad us product ko pack karke customer tak deliver karna hota hai ease kai or kaam hote hai, Aese me agar aap in sabhi chijo se bachna chahte hai, aur aap e-commerce business karne me interested hai to aap dropshipping business start kar sakte hai.

Dropshipping Se Paise Kaise Kamaye

Isko hum ek example se samjhte hai: Maan lijiye ki Mr. A ko ek eCommerce business start karna hai, But Mr. A ke paas utna investment nahi hai ki wo products ko buy kar apne pass store kar rakh sake to aese me Mr. A kisi aesi website ya supplier se contact karta hai jo ki dropshipping ka option deti hai, fir uske baad Mr. A apni website me un sabhi products ko list karta hai jo ki uske supplier ke paas hai.

Mr. A jo ki ek drop shipper hai usne apni website par koi product Example ke taur par koi mobile accessories jiska price Rs. 1500 hai aur usne usme apna margin add kar Rs. 1600 me sell ke liye list kar diya. Ab Mr. A ne us product ki marketing ki social site me share kiya, etc. karne ke baad usko us product ka order a jata hai. Ab Mr. A ko us product ka payment aur buyer ki details(address, number) mil gayi.

Ab Mr. A us order ko apne supplier jiska product usne apne website me list kiya tha usko apna margin nikal kar pay kar dega aur sath me buyer ki shipping details bhi send kar dega. Uske baad packaging aur delivery ka pura process supplier aapke behalf par kar dega.

Mr.A (dropshipper) ko wo products supplier dwara Rs.1500 ka mila tha to yaha par Mr. A ko Rs. 100 ka profit hua hai, Jiske liye usko bas product ko apne store me list kar promote karna pada uske baad product ko pack karke se lekar customer tak deliver kanre ka sara kaam supplier ne kiya, yahi karn hai ki aj ke samay me dropshipping business bahut jyada popular ho raha hai.

dropshipping se paise kaise kamaye 2019

Iske alawa aap badi badi eCommerce sites jaise ki Amazon, Flipcart, Snapdeal, ebay par Seller account bana kar ke bhi products ko sell karwa sakte hai.

Jaisa ki hum sab jante hai ki Amazon me products km price me mil jate hai to aap Amazon ke products ko kisi other sites eBay, Flipkart jaisi site me apna margin add kar list kar sell kar sakte hai.

Dropshipping Business Ke Fayde

  1. Dropshipping business ko start karne ka sabse bada fayda yah hai ki is business ko karne ke liye aapko lakho lagakar products ko buy karne ki jarurat nahi hai. Is business ko aap bahut hi kam investment me start kar sakte hai. Kyunki is business me aapko kisi bhi tarh ki manufacturing, inventory, etc ki jarurat nhi padti.
  2. Products ko store karke rakhne ke liye kisi warehouse ki jarurat nahi padti.
  3. Products ko pack & costumer tak deliver karne ki jarurt nahi padti.
  4. Dropshipping business ko aap kahi se bhi chala sakte hai. Bas aapke pas ek PC ya Laptop or internet connection hona chahiye.
  5. Jaisa ki aapko upar mene bataya tha ki aapko koi bhi products ko pahle se apne paas store karke rakhne ki jarurat nahi padti so aap alag alag supplier se contact kar kai sare category ke products ko apne store me list kar customer ko available kara sakte hai.

Dropshipping Business Karne Ke Nuksan

Jaisa ki hum sab jante hai ki koi bhi business online ya offline ho wo 100% risk-free nahi hota kisi bhi business me risk to hota hi hai, Kisi me jyada to kisi me km so isi prakar dropshipping business me bhi aapko thoda risk lena hoga.

  1. Dropshipping ke business me km margin milta hai.
  2. Product humre paas store nhi hote jiske karan hume product ki quality ke bare me nhi pata chal pata.
  3. Stock ka na hona, Kai bar esa hota hai ki aapne jo product apne site me list ki huyi hai us product ka order a jaye or wo products aapke supplier ke pass khatm ho. So hamesha apne supplier se bat kare ki product out of stock hone par wo aapko inform kar de.

Suggestion:

  1. Dropshipping business me aap aese products ko sell kare jo ki replace na ho.
  2. Ache supplier ke sath business kare, Aise supplier ke sath business kare jo aapke products ko samay me deliver kare or out of stock hone par aapko inform kare.
  3. Apni website ka ache se marketing kare, Social sites etc. me share kare.

Agar aap zero investment kar ke dropshipping se paise kamana chahte hai, to aap Meesho, Wooplr, jaisi website ka use kar sakte hai, Yaha par aapko na hi koi website banani hai or aa hi kisi other invest ki jarurat hai bas aapko inki site me jakr free sign up karna hota hai.

Uske baad aap is site me apna store open kar sakte hai, fir aap jis bhi product ko sell karna chhate hai usme apna margin add kar use apne social site jaise ki Facebook, Whatsapp, etc. me promote kar sell karwa sakte hai. Order ane ke baad ye website khud se order ko customer tak deliver kar deti hai, Uske baad aapka commission apke account me add kar deti hai.

So is prakar aap dropshipping business se paise kama sakte hai. I hope ki aapko ye dropshipping se paise kaise kamaye post achi lagi hogi, Agar aapka is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment