Online Transaction Karte Samay Dhyan Me Rakhne Wale 10 Jaruri Safety Tips

Hello friends aj hum is post me online transaction karte sayam dhyan me rakhne wale 10 jaruri safety tips ke bare me janenge. Humhe Online Transaction, Online Payment, Online Shopping karte samay kin kin bato ko dhyan rakhna chahiye, Jisse ki koi bhi humare account, data ki chori ya hack na kar sake.

Online Transaction Karte Samay Dhyan Me Rakhne Wale 10 Jaruri Safety Tips

Jab se government ne cashless transaction ki bat kahi hai tab se bahut se log online transaction, online payment, online shopping, online bill pay etc. kar rahe hai, Kyunki ye sab ko karne me kam samay or asani se kiya ja sakta hai, Lekin kya aap jante hai ye jitna asan hai utna hi risky bhi ho sakta hai, Ye puri tarh se secure nahi hai, So aapko online transaction karte samay kuchh bato kao dhyan rakhna chahiye, Jisse ki aapke sath koi bhi online transaction ke samay fraud na kar sake.

Agar aap bhi online transaction, online shopping ya koi bhi online payment karte hai to isme aapko thodi sawdhani rakhni hogi nahi ho aapki details, account hack ho sakta hai, Aj kal online payment karte samay fraud hone ke mamle badte ja rahe hai or bahut se logo ke account hack ho rahe hai, Lekin agar aap online transaction karte samay kuch bato ka dhyan rakhte hai to aap is tarh ke fraud or hack se bach sakte hai.

Online transaction me aapko choti se choti bato ka dhyan rakhna chahiye, kyunki aapki ek choti si gati aapko bahut bada nuksan de sakti hai, Yaha is post me mai kuch online transaction karte samay dhayn me rakhne ke kuch jaruri bato ke bare me bata raha hun jinhe aapko online transaction, payment ke samay jrur dhyan rakhna chahiye.

Online Transaction Karte Samay Rakhe In 10 Jaruri Bato Ka Dhyan

Waise to ajkal online transaction par badi badi sites security deti hai, But fir bhi kuch kaha nhi ja sakta internet par kabhi bhi kisi ke sath kuch bhi ho sakta hai, So aap apne tarf se apni details ko puri tarh secure rakhe.

1. Secure Browsers & Website Me hi Kare Online Payment

Online payment ke liye humesha secure browsers jaise ki Google Chrome, Mozilla, Opera jaise browsers ka use karna chahiye, Kisi or third party browser ka use na kare.

Jab bhi aap kisi website me online payment ke liye apni details dale to ye check kar li ki us website ke url bar me ‘https’ laga hai ya nahi kyunki ‘S’ ka mtlab yaha secure hota hai, Kai website ke url bar me only ‘http’ hota hai so aap un website me apni online transaction karne se bache.

Online transaction ke liye aap private browser ka use kare isme apka koi bhi data save nahi hota hai, Private browser ko open karne ke liye aap Google chrome, Opera, Mozilla me ‘Ctrl+Shift N’ press kare uske baad private browser on ho jayega.

2. Discount Coupons Code Se Sabdhan Rahe

Kai bar hum thode se lalach me akar kisi third party link par click karte hai or apni details dal dete hai but esa karne se humara data chori hone ka khatra rahta hai. Jaise ki aapne dekha hoga ki kai bar aapke mail me koi lottery ya kisi or offer ka lalach dekr mail me link send karte hai or usme apni details dalkr register karne ko bola jata hai, So koi bhi aise link par click na kare or usme registered na kare is tarh ke mail se hackers humari  personal detail ko hack karne ki koshish karte hai, So ap  is tarh ke mail ka reply na kare unhe ignore kar de.

Kewal unhi discount coupons code ka use kare jo usi site ki tarh se aya ho, Kisi dusre third party ke coupon code link par click na kare or unme apni details na dale.

3. Online Transaction Ke Samay Free WiFi Ka Use Na Kare

Waise to humhe free WiFi ka use kisi bhi kaam ke liye nhi karna chahiye lekin agar aapko bahut hi jaruri kaam hai or aapke phone me data nahi hai to aap bade hi sabdhani se free WiFi ka use kare, Lekin is baat ka jarur dhyan rakhe ki jab bhi aap free WiFi ke use kare to us samay online transaction ya koi bhi bank sambandhit kaam na kare isase aapke details chori ho sakti hai.

4. Virtual Card Ka Use Kare

Agar aap online shopping karte hai to online shopping me aap credit ya debit card ki jagah virtual card ka use kare, Waise to bade bade brand ki sites jaise ki Amazon, Flipcart, Paytm etc. security ka pura dhyan rakhti hai fir bhi kuch logo ko ye dar hota hai ki online apne cards ki details dalne se kahi humara card hack na ho jaye to aise me aap virtual card ka use kare. Virtual ek temporary or one time use card hota hai jise aap apne online banking me login kar badi hi asani se bana sakte hai, ise free bana sakte hai, or kitne bhi virtual card bana sakte hai.

Example – Man lijiye ki aapko Rs.500 ki online shopping karni hai to aap apne online banking me jakar Rs.500 ka virtual card create kar sakte hai, jisme aap sari details jo ki ek debit ya credit card me hoti hai jaise ki card number, cvv number, expiry date etc. Is create kiye virtual card ko aap us shopping site me saman lene ke liye use kar sakte hai.

5. PIN / OTP / Card Details Ko Kisi Ke Sath Share Na Kare

Aap apne card ki details jaise ki Card Number, CVV Number(Jo ki ATM card ke piche 3 digit ka hota hai), OTP, PIN ko kisi bhi persona ke sath share na kare, Agar aapke card ki details kisi ko pata lag jati hai to wo aapke account se paise nikal sakta hai.

Ajkl kai hackers logo ko call karke bolte hai ki hum aapke bank se bol rahe hai apka ATM expire ho gya hai ya koi or bahana bana kar aapke ATM ki details mangte hai so aap is tarh ke logo se sabdhan rahe or kisi ko apani details na de, Chahe aapko koi bole ki mai aapke bank se bol rha hun, koi bhi kahi se bhi bol raha ho aap aise logo ke sath apni card ki details, OTP, PIN share na kare.

6. Antivirus Ka Use Kare

Aapko apne PC, Laptop, Mobile me ek acha licence wala antivirus ka use karna chahiye, bina antivirus ke agar aap koi online payment, transaction karte hai to wo aapke liye danger ho sakta hai.

Hum me se bahut se log paisa bachane ke liye free antivirus ko apne PC, Laptop me install kar lete hai, or usi free antivirus ka use kar hum apne online transactions, payment etc kaam karte hai jo ki humare liye danger ho sakta hai. So is tarh ke kaam ke liye aap kisi free antivirus ka use na kare, Online transaction ke alawa bhi apne PC, Laptop ki security ke liye ek acha licence wala antivirus use kare.

7. Public PC Me Online Payment Karne Se Bache

Kai bar humhe kisi public computer jaise ki cyber cafe ya kisi friends etc. ka use karna padta hai, Aise me aap agar kisi public computer ka use kar rahe hai to aap apni bank se sambandhit details ka use un computers me na kare, Isase aapki jankari hack ho sakti hai.

8. Password Ko Bahut Hi Strong Rakhe

Online transaction me humari details hack hone ka sabse bada karan yahi hai ki hum apne online banking, ya kisi or ka password itna simple rakh dete hai ki use koi bhi use asani se hack kar sakta hai, Isliye aap apne online banking ka password bahut hi strong rakhe, Jisse ki koi aapke account ko hack na kar paye. Example ABC123@$xyz%45.

9. Official Website, App Ka Use Kare

Koi bhi online transaction, payment, online shopping ke liye kewal official website, app ka hi use kare, kisi third party app ya website ka use na kare, Jaise ki agar aap online shopping kar rahe hai to aap badi badhi brand jaise ki Amazon, Flipcart, Paytm etc jaise website, app ka hi use kare. Or online transaction ke liye aap apne bank ki official website ya app ka hi use kare.

Online transaction ke liye aap Phonepe, Google Tez jaisi aap ka bhi use kare sakte hai.

10. Change PIN/Password

Hum se bahut se log apne password ko bahut samay tak change nhi karte or esa karna danger ho sakta hai, So aap apne ATM PIN and Password ko samay samay me change karte rahe.

Kai bar hum apne online banking ko kisi or pc ya laptop se log in kar lete hai aise me koi bhi humare password ka pata laga sakta hai to aapko apne password ko samay samay par badlte rahna chahiye or ho sake to aap apane online banking ko apne personal PC, Laptop ya Mobile me hi login kare har PC, Mobile me login na kare.

So is tarh se aap apne online transaction ko secure rakh sakte hai, Ummeed karta hun ki aapko ye post online translocation karte samay dhyan me rakhne wali ye tips achi lagi hogi.

Leave a Comment