YouTube Video Viral Kaise Kare 2023 – Videos Viral Karne Ke Best 5 Tips

Youtube video viral kaise kare 2023 | Hello friends aj hum is post me apne youtube video ko viral kaise kare ke bare me janenge. Youtube video viral karne ke liye kya karna chahiye? kin tips ko follow karna chahiye etc. ke bare me step by step sikhenge. Agar aap ek youtuber hai to aap is post me bataye tips ko ek bar jarur follow kare, Yeh tips apke youtube videos par views increase karne me useful rahenge.

youtube video viral kaise kare

Online internet se paise kamane ke liye youtube sabse best tarika hai yahi karan hai ki ajkl har koi youtube par video bana raha hai, But youtube par videos banakr upload karne matra se youtube se earning nahi hogi, Youtube se paise kamane ke liye jaruri hai ki aapke video par jyada se jyada views aye jitney jyada aapke video me views ayenge earning bhi utni hi achi hogi.

Aj ke samay me youtube par bahut jyada competition hai, aese me youtube video ko viral karna aasan nahi hai lekin agar aap kuch techniques ko follow karte hai to aap easily apne youtube videos ko viral kar sakte ho.

Youtube video me views lane ke bahut sare factor hote hai agar aap un factors ko dhyan me rakhkar video ko youtube me upload karte hai to jarur aapke video me views increased honge.

Agar aap Youtube par channel kaise create karte hai, Youtube par videos kaise upload karte hai or Youtube se paise kaise kamate hai ke bare me nhi jante hai to aap humari Youtube se paise kaise kamaye full guide post ko padh kar sikh sakte hai.

YouTube Video Viral Kaise Kare

Youtube video ko viral karne me sabse important factor video ka content hota hai, Jaise ki aapke video kitni high-quality ki hai, Video kis topic par hai, Log aapki video ko kitna pasand karte hai etc. Inke alawa kuch or bhi factor hote hai jinko follow kar ap apne video ko viral kar sakte hai.

1. Video Ka Tittle

Tittle youtube video ke liye sabse important part hota hai, Kyunki video ke tittle ko padhkar hi log yah jan pate hai ki video kis topic par hai uske baad hi log us video par click kar dekhte hai. Video ka tittle video ke views increase karne ke liye bahut important hai.

Ap apne video ka ek acha sa tittle likhe, Tittle me aap apne topic se related keywords ka use kare. Video me tittle dalne se pahle apne topic se related keyword ko google me search kare ki log kis keyword ko jyada search karte hai or uske baad us keyword ko apne video ke tittle me add kare.

Video ka tittle humesha video ke topic se match hona chahiye, matlb ki aesa na ho ki aapka video kisi or topic par ho or tittle kisi or topic pe aesa karne se aapke video par youtube strike  bhi laga sakta hai.

2. Video Ka Description

Youtube me video upload karte samay hume apne video se related kuch words ka description dalna hota hai. Description video ke views increase karne me kafi madad karti hai, So aap apne video ka description ache se likhe or usme apne main keywords ko add kare.

Video ke description me apne video ke bare me 4-6 line kikhe ki aapki video kis topic par hai or video me aapne kya bataya hai.

Video description me apne keyword ko jarur Add kare, Iska fayda yah ki ki agar koi aapke video se related topic par koi keyword ko search karta hai or apne video ke description me wo keyword add kiya hai to aapka wo video search result me show hogi.

Wese to youtube me description aap kitne hi word ka likh sakte hai but aap apni jarurt ke anusar or acha description hi likhe jo logo ko padhne me acha lage. Ho sake to aap apne video ka description Hindi and English dono me likhe. or sath hi description me aap apne other videos ka link, Social profile or apne channel ka link bhi add kare.

3. Tag Dale

Video ko viral karne ke liye tag ek bahut hi important rule play karta hai, Ap video ko youtube me upload karte samay tag jarur dale, Video me tag dalne se aapki video search me jaldi ati hai, Tag me aap trending keyword ka use kare jo sabse jyada search kiye jate hai, Keyword find karne ke liye aap keyword planar ya google ka use kar apne video se related keyword ko search kar sakte hai, Ek video me aap 8-10 tag hi use kare jyada tag use na kare.

4. Video Ka Thumbnail

Youtube videos ko viral karne ke liye video thumbnail bahut hi jaruri hai, Kyunki aksar aesa dekha gaya hai ki jyadatr log video ke thumbnail ko dekhne matra se hi video par click karte hai. So aap apne video me humesha aesa thumbnail set kare jise dekhne ke baad user aapki video ko click karne par majbur ho jaye.

Video thumbnail humesha video se related hi rakhe kuch log jyada views pane ke lalach me video ka thumbnail video se alag topic par rakhte hai jo ki sahi nahi hai aesa karne se youtube aapki video ko spam mankar delete bhi kar sakta hai. So aap humesha apne video se related hi thumbnail ka use kare.

Jab aap youtube me koi video upload karte hai to youtube usi video me se aapko ek default thumbnail bana ke deta hai jo dekhne me attractive nahi lagta, So aap us default thumbnail ko change kar ek acha or attractive dikhne wala thumbnail ka use kare. Thumbnail ko attractive banane ke liye aap kisi photo editor software ka use kar sakte hai.

5. Share On Social Media

Blog website ho ya youtube videos koi bhi chij viral hone ka mukhya karan social media hoti hai, So aap apne video ko social media jaise ki Facebook, Twitter, Whatsapp groups, Linkdin etc jaise popular platform me share jarur kare.

Youtube video ko viral karne ke liye social media sites me video ka promotion karna bahut hi jaruri hai.

So is prakar aap upar bataye tips ko follow kar apne youtube video viral kar sakte hai. Dosto video ko youtube me upload karne se pahle aap thodi bahut mahnat kar apne video ko fully optimize kare. Video ke liye ek acha tittle chune, Description me keyword ko add kare, Default thumbnail ki jagar ek acha sa thumbnail create kar lagaye uske baad hi aap apne video ko youtube par upload kare.

Ummid karta hun ki aapko ye youtube video viral kaise kare post achi lagi hogi, Agar aapko is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Agar aapko is post se kuch sikhne ko mila ho to aap is post ko apne friends ke sath social sites me share jarur kare.

Leave a Comment