YouTube Se Paise Kaise Kamaye | Make Money On YouTube

Youtube se paise kaise kamaye | Hello friends aj hum is post me YouTube channel kaise create kare, YouTube par video kaise upload kare, YouTube se paise kaise kamaye. etc. ke bare me step by step janenge. Agar aap bhi youtube se paise kamane ke bare me janna chahte hai ki to aap is post ko last tak padhe is post me aapko youtube se paise kaise kamane ki puri jankari mil jayegi.

YouTube Se Paise Kaise Kamaye

Yah to hum sabhi jante hai ki YouTube Google ki hi service hai or youtube ko google ne online video dekhne ke liye banaya hai, youtube par videos hum jaise hi log upload karte hai, YouTube se paise kamane ke liye aapko kisi degree ya certificate ki jarurat nahi padti agar apme koi talent hai to aap apne talent ka use kar videos bana youtube par upload kar usse paise kama sakte hai.

YouTube se paise kamana koi kathin kaam nahi hai, Aj ke samay me YouTube se kai sare log achi income generate kar rahe hai, Agar aapme bhi koi skill hai to aap apne us skill ko youtube video ke madhyam se logo tak pahucha sakte hai or usse paise kama sakte hai hai. 

YouTube Se Paise Kaise Kamaye Full Guide 

YouTube se paise kamane ke liye aapko is post me bataye kuch steps follow karne hai, Niche bataye sabhi steps ko follow kar aap bhi youtube se paise kama sakte hai.

YouTube se paise kamane ke liye aapko kuch steps ko full fill karna hota hai jaise ki –

  1. Create a YouTube channel?
  2. Upload Videos to youtube channel?
  3. Monetize Videos?
  4. Connect your YouTube channel to Adsense account?

YouTube se paise kamane ke liye sabse pahle aapke paas ek YouTube channel hona jaruri hai.

1. YouTube Channel Kaise Banaye?

Step1: Sabse pahle aap youtube ki website ko open kar lijiye YouTube.com fir yaha par aap apne gmail id se sign in kar lijiye.

Step2: Ab right top corner me profile icon par click kar My channel ke option par click kar dijiye.

Step3: Ab ek popup open hoga usme aapka gmail account me jo name likha hoga wo show hoga use delete kar apne youtube channel ka name jo bhi aap youtube channel ka name rakhna chahte hai daal dijiye fir Create channel ke button par click kar dijiye. Ab aapka youtube channel ban chuka hai.

how to create youtub channelStep4: Channel banne ke baad aap apne channel me ek acha sa profile pic, channel art laga lijiye or apne channel ke bare me description likh lijiye.

Youtube channel create karne ke baad aapko apne youtube channel par videos upload karni hoti hai.

2. YouTube Channel Par Video Kaise Upload Kare?

Step1: Sabse pahle aap apne youtube channel me login kar lijiye, Jaise hi aap youtube me login honge to youtube ke homepage me upar right side me ek plus ka sign hoga usme click kar upload video ke option me click kar dijiye.

Step2: Ab ek naya page open hoga jisme Select files to upload ka option hoga us par click kar apne pc laptop me se apne dwara banaye video ko select kar dijiye.

youtube par video kiase dale 2018Step3: Ab video upload hone ke baad aap apne video me Tittle, Description, Tags or Thumbnail daal kar publish ke button par click kar video ko publish kar dijiye. Ab aapki video successfully youtube par upload ho gayi hai ab log aapki video dekh sakte hai.

how to rank youtube video 2018Dosto aisa nahi hai ki aapne video upload kar di or aapki earning hona start ho gayi, YouTube se earning karne ke liye bhi apko thodi bahut mehnat karni padegi.

YouTube Videos Se Earning Kaise Hoti Hai?

YouTube advertisement se paise deta hai jab aap apne channel me koi video upload karte hai to aapke video par youtube add show karta hai or uske baad jab apki video ko koi dekhega or un par show hone wali adds par click karega to aapko earning hogi. Or iske alawa aap kisi company, Affiliate products ko promote karke bhi youtube se paise kama sakte hai.

Aapke video par jitne jyada views honge earning bhi utni hi achi hoti hai. Ab yah to aapke upar hai ki aap logo ko kaisa content dete ho or log aapki videos ko kitna pasand karte hai.

Dosto dhyan rakhiye jo bhi aap videos upload karenge wo video aap ke dwara banaye hone chahiye matlab aapka video unique hona chahiye kisi or ke video ko copy kar download kar ke apne channel me upload nahi kar sakte aesa karne par aapka account block bhi ho sakta hai.

Suggestion: Dosto aap unique topic par video banayiye jo youtube par kisi or ne nahi banaya ya fir bahut kam logo ne banaya ho isse aapke videos ke views jyada or jaldi increase honge. Aap jis bhi chij me expert ho yani ki aap Internet ke bare me jyada jante ho ya Smartphones ya Computer ke bare me jis bhi chij me apko achi knowledge hai us par quality videos banayiye.

Itna karne ke baad jab aapke videos ko log dekhna start karenge or aapke videos me ache views ane lage to agla kaam aapko apne videos ko monetize karna hota hai, Jisse aapki earning hogi.

3. YouTube Videos Monetize Kaise Kare?

Step1: Sabse pahle aap apne Youtube channel par log in kar, creator studio ke button  par click kar Channel ke option par click kar dijiye. Uske baad yaha Monetization ke option me jakr Enable ke button par click kar dijiye.

how to monetization videoStep3: Ab yah fist number me youtube partner program terms ke samne Start ke button par click kar dijiye. Uske baad aapke samne ek popup open hoga jisme YouTube partner program policy ke bare me bataya hoga, Aap is policy ko padh kar sabhi terms par tick kar ke I accept ke button par click kar lijiye.

how to youtube monetization enableAb itna karne ke baad aapko apne youtube channel to AdSense account se connect karna hoga.

Note : Dosto jab tak aapke youtube channel par 10k views, 1k subscriber or 4k hour watch time(previous 12 months) nahi honge aapka channel monetize nahi kiya jayega. Jab aapke channel par 10k views, 1k subscriber, 4k hour ka watch time ho jayenge uske baad hi aap adsense ko apne channel se link kar sakenge.

4. YouTube Channel Ko Adsense Account Se Kaise Link Kare?

Step1: Jab aapke youtube channel par 1k subscriber, 4k hour watch time, 10k views ho jate hai to uske baad hi apne channel ko adsense se connect kare, Uske liye sabse pahle aap apne account me Channel option par jakr Monetization par click kar dijiye. fir Sign up for AdSense ke samne Start ke button par click kar dijiye.

link adsense to your youtube channel

Step2: Ab next page me niche Next ka button hoga us par click kar dijiye.

Step3: Ab next page me aapko apni country ko select karna hai or inki terms and conditions ko accept kar Create account ke button par click kar dijiye.

how to enable monetization on youtube 2019Step4: Ab aapko payment address details fill karni hai. Yaha aap apni sari details sahi sahi fill kare agar aap yaha galat information dalte hai to aapko baad me payment milne me problem ho sakti hai.

  1. Account type me : Agar aap adsense account sirf apne liye banana chahte hai to aap yaha se Individual select kare or business karna chahte hai to Business select kare.
  2. Name : Yaha apna pura name type kare.
  3. Address : Yaha apna full address enter kare.
  4. City :  Yaha apna sahi city name type kare.
  5. Postal code : Yaha pin code enter kare.
  6. State : Yaha se apne state ko select kare.
  7. Phone number : Yaha par aap apna phone number enter kare, Ise aap khali bhi chhod sakte hai yah optional hai.
  8. Upar apni sari details sahi sahi fill karne ke baad Submit ke button par click kar dijiye.

youtube channel ko adsense se kaise jodeNote : Agar aap 18 year se kam ke ho to aap apne parents ya apne brother ya sister jo 18-year se bade hai unke naam se Adsense account khol lijiye kyunki Adsense account 18 year se kam walo ke liye nahi hota.

Ab aapko ek message show hoga jisme likha hoga ki aapka AdSense account application submit ho gaya hai or aapke account ko google review karega or review complete hone ke baad aapka AdSense account approved huya hai ya nahi iski jankari aapko aapke email address par mail ke dwara bata diya jayega.

Jab aapka YouTube account AdSense account se successfully jud jayega, uske aap apke videos me ads show honge fir jab bhi koi aapke videos ke ads me click karega to aapko earning hogi.

YouTube Se Kamaye Gaye Paise Hume Kaise Receive Honge

Aapke jitni bhi youtube videos se earning hogi wo sab aapke adsense account me store hogi or adsense account se direct aapke bank account me transfer honge. But jab tak aapke adsense account me $100 nahi hote aapko paise nahi diye jate hai. Jaise hi aapke adsense account me $100 hote hai to aapko wo paise aapke bank account me transfer kar diye jate hai.

So is prakar aap upar bataye steps ko follow kar apna youtube channel create kar youtube se paise kama sakte hai.

Ummid karata hun ki aapko ye youtube se paise kaise kamaye post achi lagi hogi, Agar aapka is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

4 thoughts on “YouTube Se Paise Kaise Kamaye | Make Money On YouTube”

Leave a Comment