Voter list me naam kaise check kare 2019 | Hello friends aj hum is post me janenge ki kaise online ghar baithe apne mobile, computer ki madad se voter list me naam kaise check karte hai. Agar aap apna ya apne family members ka naam voter list me hai ya nahi check karna chahte ki hai to aap is post ko last tak padhe is post me voter list me name kaise check kare ke bare me step by step puri jankari mil jayegi.
Dosto jaise ki hum sabhi jante hai ki 2019 me loksabha election hone wale hai, or election me vote dalne ke liye jaruri hota hai ki humare paas voter id card hona chahiye, Or utna hi jaruri hota hai ki voter list me humara naam ho, Agar aapke paas voter ic card hai but voter lite me aapka name nahi hai to aap vote nahi dal sakte hai. So aese me aapko kaise pata chalega ki aapka naam voter list me hai ya nahi, Yaha is post me mai aapka ek aese tarike ke bare me bataunga jiski madad se aap ghar baithe online check kar sakte hai aapka naam voter list me hai ya nahi.
- Aadhaar Card Security Tips – Aadhaar Card Ko Secure Rakhne Ke Tarike
- Online Transaction Karte Samay Dhyan Me Rakhne Wale 10 Jaruri Safety Tips
To chaliye ab jante hai ki kaise aap online voter list me apna naam check kar sakte hai.
Voter List Me Naam Kaise Check Kare 2019
Step 1: Sabse pahle aap apne mobile ya computer ke browser me www.nvsp.in ko open kar lijiye.
Step 2: Ab aapke samne Nation voter services portal open ho jayega, Ab yaha par aapko left side me ek Search your name in electoral roll ka option milega is par click kar dijiye.
Step 3: Ab yaha se aap 2 tariko se check kar sakte hai ki aapka naam voter list me hai ya nahi.
- Search By Details
- Search By EPIC No.
Search By Details :
Isme aapko apni information fill karni hoti hai.
- Name : Yaha aap apna pura name type kare.
- Father’s/Husband’s Name : Yaha apne Father ya Husband ka name type kare.
- DoB : Apna pura date of birth dale.
- Gender : Apna gender select kare.
- State : Yaha se apne state ko select kare.
- District or Assembly Constituency ko select kare.
- Code : Diye gaye captcha text ko type kare
- Sabhi details dalne ke baad Search ke button par click kar dijiye. Jaise hi aap search ke button par click karenge agar aapka name voter list me hoga to aapke samne aapki sari details Name, Age, Polling station ect. show ho jayegi.
Search By EPIC No.
Is tarike se name search karna bahut easy hai isme aapko bas apne voter id card me diye gaye EPIC No. ko daal kar apna naam check kar sakte hai.
- EPIC No. : Yaha par aapko apne voter id card me diye gaye epic no ko enter karna hai.
- State : Apna state select kare.
- Code : Yaha diye gaye captcha text ko daal dijiye.
- Last me Search ke button par click kar dijiye.
Ab yaha aapki details show hogi, yaha views details ke button par click kar aap apni details ko pdf format me download kar print bhi kar sakte hai.
So is prakar aap online ghar baithe apne naam ko voter list me check kar sakte hai, Ummid karta hun ki aapko ye post voter list me naam kaise check kare achi lagi hogi. Agar aapko ye post achi lagi ho to is post ko apne friends ke sath social site me share jarur kare.