YouTubers apps 2023 | Hello friends aaj hum is post me top 10 best apps for YouTubers ke bare me janenge, Agar aap ek YouTuber hai ya fir aap ek youtuber banne ki soch rahe hai to yah post aapke liye useful aur helpful rahegi, Yaha is post me humne youtubers ke liye best useful apps ke bare me bataya hai jinka use kar aap apne youtube channel ko jaldi grow kar sakte hai.
Aj ke samay me ek acha youtuber banne ke liye ye jaruri nahi hai ki aapke pass PC, Laptop, DSLR camera, etc. chije ka hona chahiye agar aapke pass unique idea or hunar hai to aap apne smartphone ki madad se bhi ek ache youtuber ban sakte hai. Aap apne smartphone se youtube channel start kar smartphone se hi video ko record, edit, upload kar sakte hai.
Internet par bahut sari aesi apps hai jinki madad se aap apne video ko professional tarike se shoot kar sakte hai, unhe edit kar sakte hai, video ke liye thumbnail bana sakte hai etc. to aaj hum is post me aese hi top 10 best apps for youtubers ke bare me janenge.
To chaliye ab jante hai ub top 10 best apps for youtubers ke bare me, Yaha mai aapko jin apps ke bare me bata raha hun ye sabhi bahut hi popular or free apps hai aap in apps ko free me apne mobile me download kar use kar sakte hai.
Top 10 Best Apps For Youtubers in Hindi 2023
1. Open Camera
Dosto agar aap ek youtuber hai ya aap ek new youtuber banne ki scoh rahe hai or aapke paas video recording ke liye DSLR ya koi dusra camera nahi hai to aap apane smart phon me is app ko download kar isse apni video recording kar sakte hai yah ek bahut hi badhiya video recording app hai.
Isame aapko kai sare features milte hai jaise ki aap video resolution kam jyada kar sakte hai, ISO set kar sakte hai, recording speed ko set kar sakte hai or bhi bahut sare option aapko is app me milte hai jisase aap ek professional level ki video bana sakte hai. Is app ko aap free use kar sakte hai.
Is app ke alawa aap video recording ke liye Cinema fv-5 app ka bhi use kar sakte hai ye bhi ek bahut badhiya app hai.
2. KineMaster (Android Apps for YouTubers)
Yaha ek bahut hi badhiya video editing aap hai. Is aap ki madad se aap badhi hi asani se professional tarke se video ko edit kar sakte hai, iski madad se aap apne vedeos ko jaise chahe vaise edit kar sakte hai or sath hi aap apne video ko full HD me edit kar sakte hai.
Isme aapko chroma key ka bhi option milata hai, jo aapko kisi aur app ke andar nahi milta hai. Isse aap video mein effect dena, transaction, zoom etc. features ko add kar apne vedios ko professional bana sakte hai.
3. Legend
Legend app ke bare me lagbhag sabhi jante honge is app ko lagbhag sabhi youtuber use karte honge agra nahi jante to mai aapko bata dun ki is aap ki madad se aap apne video ke liye badhiya badhiya intro or outro bana sakte hai. Jaisa ki aapne dekha hoga ki kai youtube video me start me ek kuchh second ka intro ata hai jisame wo apne channel ka name ya welcome to my channel etc. likhate hai.
So app bhi is aap ki madad se apne video ke liye intro and outro bana kar apne video me laga sakte hai isame aapko intro and outro bnane ke liye bahut sare design mil jayenge bas aapko apni pasand ka design select kar text likhna hota hai jo aap likhna chahte hai usake baad aapka intro and outro ban jayega fir aap us intro and outro ko save kar apne video me laga sakte hai.
4. Canva
Canva app bahut hi badhiya app hai isaki madad se aap apne youtube videos ke liye thumbnail create kar sakte hai, youtube ke liye channel art bana sakte hai. Isame aapko kai tarh ke design mil jayenge jaise ki agar aapka koi tech channel hai, cooking channel hai etc. to aap isame se apne channel ke according design ko select kar asani se apne video ke liye thumbnail bana sakte hai.
Isake alawa aap Thumbnail Maker app ka bhi use kar sakte hai ye bhi ek bahut badhiya app hai youtube thumbnail banana ke liye.
YT creator studio app ki madad se aap apne youtube channel ka analytics dekh sakte hai. Jaise ki aap dekh sakte hai ki last 24 hour me aapke youtube channel par kitne views aye, watch time kitna tha, aapki video kis county se dekha gya, traffic source kaha se aya, kitne male ne dekha or kitni femail ne etc. sab aap is app ki madad se jan sakte hai, is app ki madad se aap apane channel ko manage kar sakte hai.
Or is app ki madad se aap apne video ko upload karne ke baad bhi edit kar sakte hai, description change kar sakte hai, tittle change kar sakte hai, tag laga sakte hai, video me viewers dwara kiye gaye comment ka reply kar sakte hai etc. Yah app youtuber ke liye bahut hi badhiya aap hai.
6. Realtime Subscriber Count
Realtime subscriber count app ki madad se aap ye check kar sakte ho ki aapke channel me kitne subscribe badhe hai ya ghate hai. Agar humhe ye dekhna hota hai ki aj humare channel me kitne subscribe badhe hai ya ghate hai to humhe bar bar humhe apne channel ko open kar ke dekhana padhata hai to aise me aap is app ka use kar apane screen me ek widget laga sakte hai jisase aap ye jan payenge ki aapke subscribe kitne der me kitne badh rhe ya kitne ghat rahe hai.
Yaha app aapke real time subscriber ko dikhati hai or sath me ye bhi batati hai ki jab aapne last time is app open kiya tha or ab jab aapne is app ko open kiya hai to is dauran aapke kitne subscribe badhe hai ya ghate hai.
7: Buffer
Social media platform aaj popular hone ke lie sabase best platform maana jaata hai. So agar aap apne YouTube channel ko kam samay me grow aur popular karna chahte hai aapko apne youtube videos ko social media promotion par jarur se share karna hoga. So aap apne videos upload karne ke baad use sabhi social media platform pe jarur share kare.
Agar aap one by one sabhi social media platform pe jakar apne videos ko share karoge to usme aapko bahut Time lag sakta hai so aise me aap is Buffer app ki use kar apne videos ko sabhi social media account par ek saath share kar sakte hai.
8. Lexis Audio Editor :
Jab bhi aap koi audio record karte hai to bahar ki noise ati hai jiske karan aap ke dwara bola gya voice thik tarh se samjh me nhi ati hai aise me aap is app ki madad se apne us extra noise ko remove kar sakte hai or apne voice recorder ko clear bana sakte hai.
Agar aap koi esa video banana chahte hai jisame aapko apne mobile screen ko record karna padhe to aap AZ Screen Recorder app ki madad se apne mobile screen ko record kar sakte hai. Is app me se recording karne ke liye koi time limit nahi hai aap jitna chahe utna long video edit kar sakte hai.
Is app ko use karna bahut hi asan hai sath hi aap is app se screen recording ke samay audio ko bhi record kar sakte hai. Or is app ko aap free use kar sakte hai or isase record ki gayi video me koi watermark bhi nahi ata hai. Mobile screen record karne ke liye ye app bahut hi badhiya hai.
10. Tag You
Tag You aapke youTube video ke SEO performance score ko best karne me madad karti hai. Aap is app ka use kar apne youtube channel ko grow kar sakte hai.
Is app ki madad se aap kisi viral video ke tag ko dekh sakte hai ki us viral video me kaun kaun se tag dale hai isase aapko pata chal jayega ki kaun se tag lagane par jyada views ate hai. Jaise ki maan lo aapka koi cooking ka channel hai or aapko nahi pata ki kaun se tag lagaya jaye ki video me jyada views aye to aise me aap is aap ki madad se kisi popular video ke tag ko dekh kar apne video me tag laga sakte hai. Jisse aapki video par jyada views ayenge.
Ummid karta hun ki aapko ye top 10 best apps for youtubers post achi lagi hogi agar aapke man me is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.
Agar aapko is post se kuch naya sikhne ko mila ho to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.