Private Job Kaise Dhunde | Nearby Job Search Karne Ke Tarike

Private job kaise dhunde | Hello friends aj hum is post me apne nearby job kaise search kare ke bare me janege. Agar aap bhi job search kar rahe hai par aapko yeh nahi pata ki job kaise search kare aur kaha search kare toh yeh post aapke liye bahut hi helpful sabit hogi, Is post me mene job search karne ke popular tariko ke bare me bataya hai jinki madad se aap apne liye badiya job search kar sakoge.

Private job kaise dhunde

Kisi bhi job ko search karne se pahle aapke paas ek acha resume hona jaruri hai. Ek acha resume hi aapko achi job milne me madad karta hai, Agar aapko resume banana nahi ata hai to aap humari online resume kaise banye is post ko padhkar sikh sakte hai, yaha mene best online resume builder sites ke bare me details me bataya hua hai.

Private Job Kaise Dhunde?

Yah to hum sabhi jante hai ki aj ke samay me har field me competition bahut jyada badh gaya hai, Is competition ke daur me apni pasand ki job ko pana bahut bathin hai, Lekin agar aapko job search karne ka sahi tarika pata hai to aap easily ghar baithe online internet ki madad se apne nearby job find kar sakte hai. Aj ke samay me internet par aese bahut sare tarike available hai, agar aap un tariko se job search karte hai to aapko aapki pasand ki aur apne nearby job mil sakti hai.

Nearby Job Search Karne Ke Best Tarike

1. Online Job Portals Sites Me Job Kaise Search Kare

Online job portals site ke bare me to aap sabhi jante hi honge, Jin logo ko nahi pata unhe bata dun ki job portals wah website hoti hai jaha par job dhundhne wale aur job dene wale connect hote hai.

Ex: Jaise ki kisi company me koi vacancy hai to wo company in job portals site me job openings ka post karti  hai. or uske baad aap in site me jakr apne Skill, Requirement ke according job search kar sakte hai agar aapki requirement ki job yaha hogi to aap job ke liye apply kar sakte hai.

Ye ek bahut hi badhiya or asan tarika hai ghar baithe apne nearby aur apni pasand ki job search karne ka. In job portals par daily kai sari job post hoti hai jise aap apne skill ke anusar select kar apply kar sakta hai.

Top online job portals sites in India

2. Facebook Par Job Kaise Search Kare

Facebook ke bare me to hum sabhi jante hi hai sayad hi koi hoga jise facebook ke bare me nahi pata hoga ya use na karta ho, Facebook ka use normally friends ke sath chat karne, new friends banane, post padhne, share karne, etc. ke liye karte hai but iske alawa kya aapko pata hai ki facebook ki madad se hum apne nearby aur apni pasand ki job ko bhi find kar sakte hai.

Step1. Facebook se job search karne ke liye sabse pahle aap apne facebook account me login kar lijiye, Uske baad yaha left side me Explore wale tab me Jobs ka option hoga us par click kar dijiye.

facebook job hindi

Step2: Ab next page me aapko bahut sari job dikhenge jinhe aap apne Location, Job type, Category, etc. ke according filter kar job search kar sakte hai.

how to search job in facebook 2020

Step3: Job ko search karne ke baad aap Apply Now ke button par click kar mangi gayi details fill kar Send kar dijiye, Uske baad aapne jis company me job ke liye apply kiya hai agar unhe aapki details sahi lagti hai to wah company aapse contact kar legi.

3. Google Par Job Kaise Dundhe

Nearby job search karne ke liye yah bhi ek best or asan tarika hai, Google par aap apne local area ke aspas jitni bhi job available hai unhe easily find kar sakte hai.

Step1: Google se job find karne ke liye aap sabse pahle browser me Google.com open kar lijiye, Uske baad search box me near me job type kar enter kat dijiye.

Step2: Ab aapke near by jitney bhi vacancy hogi un sabhi ki list open hogi, Ab yaha se aap niche diye 100+ more jobs wale option me click kar dijiye.

google se job kaise find kareStep3: Ab next page me aapko bahut sari job mil jayegi jaha par aapko sari details jaise ki job kis date ko post hui thi, Location kya hai etc. Aap apne Category, Location, Type, etc. ke according filter kar job search kar sakte hai.

google par job kaise search kare 2020

4. OLX Par Job Search Kare

OLX purane saman buy and sell karne ke liye bahut popular site hai, But kya aap jante hai ki aap is site ki madad se aap apne nearby apni pasand ki job bhi find kar sakte hai, OLX par daily new new job post hoti hai, jise aap easily apne skill ke according select kar job ke liye aaply kar sakte hai.

Step1: OLX par job search karne ke liye sabse pahle aap olx.in ko open kar lijiye uske baad yaha apna Location select kar search bar me apne category ki job ko type kar enter kar dijiye.

Step2: Ab yaha par aapko bahut sari job dikh jayegi jisme ki aapko wo job kis date ko post hui thi location kya hai etc. sari details hogi. Aap apne Category, Skill ke according job search kar sakte hai.

olx par job kaise search kare

5. Newspaper Me Job Search Kare

Newspaper ko har roj padhe, Newpaper jaise ki Amar Ujala, Jagran Josh, Dainik Bhaskar, etc. par daily job alert diya jata hai to aap un job me apne category ki job ko find kar job ke liye apply kar sakte hai.

Iske alawa weekly newspaper Employment News, Shine Jobs, etc. bhi ate hai jaha par saari jobs ki jankari hoti hai unme se aap apni category ki job ko search kar job ke liye apply kar sakte hai.

Bonus Tips: Upar bate job search karke ke tariko ke alawa aap companies ki official website ko bhi regularly check karte rahe. Companies job opening ke bare me apni site me posting karti hai. or companies apne social site me apne official pages, account me bhi job opening ki post karti hai so aap waha se bhi job ko search kar sakte hai.

Ummid karta hun ki aapko ye private job kaise dhunde post achi lagi hogi. Agar aapko is post me bataye tariko se job search karne me koi problem ati hai to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment