Paypal account kaise banaye | Hello friends aj hum is post me Paypal kya hai? Paypal account kaise banaye ke bare me step by step janenge, Agar aap paypal account kaise banaye ke bare me search kar rahe hai to aap is post ko pura badhe is post me aapko puri jankari mil jayegi.Dosto agar aap online business karte hai ya phir aap online paise kamate hai to aapke paas paypal account hona jaruri hai qunki jyadatar online website payment ke liye paypal ka istemal karti hai.
PayPal Kya Hai? What is PayPal Account
PayPal ek American company hai jo pure worlds me online payment send or receive karne ke liye sabse popular hai. PayPal ek tarah se ek online bank hai, PayPal se aap puri duniya me kahi se bhi payment receive kar sakte hai or payment kar sakte hai. Agar aapke pas Paypal account hai to aap puri duniya me kahi se bhi paiso ka len den kar sakte hai, Chahe aap international shopping kar rhe ho ya kisi ke account me paise bhej rhe ho ya mangwa rahe ho. PayPal online transaction karne ke liye sabse best or secure tarika hai. Paypal aapke bank se link hota hai isliye paypal se magwaya hua paisa direct aapke bank account me ata hai.
PayPal Account Upyog Karne Ke Benefits
- Paypal ki madad se aap international shopping kar sakte hai.
- Agar aap online shopping karte hai or aap apne card ki detail nahi dena chahte hai to aap paypal se payment kar sakte hai.
- Agar aapko kahi bahr foreign country se paise mangwane hote hi to aapko ya to western union ya kisi bank me jana padhta hai jaha par aapse bank account ki detail mangi jati hai but dosto payapl me paise mangwane ke liye aapko bas email id deni hoti hai or aapko ghar se bahr jane ki bhi jarurat nahi hoti hai or aapki payment bhi kuchh hi second me a jayegi or paypal account se paisa automatically aapke bank account me transfer ho jayega.
- Agar aap freelancing work karte hai to paypal sabse acha madhyam hai payment receive karne ke liye.
PayPal Account Kaise Banaye Step by Step
Step 1: Sabse pahle aap paypal.com ki website ko open kar lijiye uske baad Sign up ke button par click kar aap jis bhi type ka paypal account create karna chahte hai use select kar lijiye. Aap jis bhi purpose ke liye paypal account banana chahte hai use select kar lijiye.
Step 2: Ab yaha par apni Country, Email address or Password kar (Password aapka strong hona chahiye) Continue ke button par click kar dijiye.Step 3: Ab is page me aapko apni kuch detail bharni hai jaise :
- Apna first name type kajiye.
- Middle name type kare.
- Last name type kare.
- Date of birth type dale.
- Nationality ko select kare.
- Address type kare.
- Town/City dal dijiye.
- State select kar lijiye.
- Apni city ka PIN(zip) code dal dijiye.
- Yaha par apana Mobile number dal dijiye.
- I agree receive marketing communications from PayPal is option par tick kar dijiye
- Ab Agree and Create account par click kar lijiye.
Step 4: Ab next page me aapse credit card ya debit card number dalne ko kaha jayega jaisa ki mene upar bataya tha ki aap paypal se payment bhi kar sakte ho or kahi se payment receive bhi kar skate ho isliye ye aapse debit card ya credit card link karne ko bol rha hai agar aap paypal ke through payment karna chahte ho to aap yaha apna debit card ya credit card ko link kar sakte ho or agar aap paypal account ka use sirf payment receive karne ke liye karna chahte hai to aap ise khali chhod sakte hai, Agar aap apna credit card ya debit card ko link nahi karna chahte hai to aap I’ll link my card latter ke button par click kar dijiye.Step 5: Ab ek or new page open hoga yaha par sabse niche Go to your account ka option diya hoga us par click kar dijiye.
Step 6: Dosto ab humara PayPal account create ho chuka hai, ab sabse pahle hume apne email address ko verify karna hoga. Account banate samay aapne jo email id dala tha us par aapko paypal ki tarf se ek mail aya hoga aap use open kar lijiye us mail me confirm email address ka option hoga us par click kar ke apana email address ko verify kar lijiye.
Email address verify karne ke baad aapko tasks complete karna hai uske liye aap yaha bell wale icon par click kar dijiye jaise hi aap bell par click kar lete hai to right side me ek notification bar open ho jayega yaha se “To receive payment as per as Indian regulations, please complete your tasks” likha hoga is par click kar dijye .Step 6: Jaise hi aap is option par click krenge to aapke samne ek popup open hoga yaha se aap Get started ke button par click kar lijiye. Yaha par aapko apne pan card ki detail dalni hai, 1.First name, 2.Middle name 3.Last name, 4.PAN number, 5.Residential address fir 6.Submit ke button par click kr dijiye.Step 7: Ab yaha left side me account ke option me Purpose code or Add bank ka option diya hoga.
- Purpose code par click kar ke aapko yaha se select karna hoga ki aap ne ye account kis purpose ke liye banaya hai. Agar aap advertising se payment receive karte hai to aap “Advertising and market research” ko select kare, ya fir aap jo karte hai use select kar le. Yaha par bahut sare option diye huye hai. Usake baad Submit ke button par click kar lijiye.
- Add bank ke option par click kar ke aapko apane bank account ko add karna hai usake liye yaha Next ke button par click kar dijiye, ab next page me Link a bank account par click kar dijiye. Ab next page me aapko apna Account number or IFSC code dalna hai usake baad Continue ke button par click kar dijiye.
Ab aapko apna bank account verify karna hoga, Jab aap ek baar paypal par apna bank account add kar dete ho to PayPal aapke bank account me 2 small amount send karega, aapko ye payment 2-3 day me aapke bank account me mil jayegi, jab aapke bank account me payment aa jayegi to aap paypal account par log in karke sabse uper verify link ke option par click kar ke un actual amount ko daal dijiye jo paypal ki tarf se aya hai, fir Conform ke button par click kar dijiye. or jaise hi aapka account verify ho jayega aap kahi se bhi paypal me paise magwa sakte hai or paypal se aapke bank account me transfer ho jayega.
Ummid karta hun ki aap is post ke steps ko follow kar ke easily PayPal par new account create kar lenge. Agar aapke man me is post paypal kya hai paypal account kaise banaye se related koi bhi question ho to aap niche comment me apne question puch sakte hai.