Meme Kya Hai Aur Ise Kaise Banate Hai – Meme Meaning in Hindi

Meme meaning in hindi | Hello friends aj hum is post me Meme kya hai? Meme kaise banate hai? ke bare me janenge. Aapne aksar social sites jaise ki Facebook, Instagram, Whatsapp me funny meme, sad meme, inspiration mene, etc. jarur dekhe honge, But kya aapko pata hai ki Meme kya hote hai, Meme ka meaning kya hota hai? Mene kaise banate hai? Meme banaye ke kya fayde hai? Agar aapko nahi pata hai to yah post aapke liye useful rahegi.

Meme Meaning in Hindi 2020

Meme ka asli maksad logo ko kisi chhavi ke jariye manoranjan pradan karna hota hai. Is tarh ke chhavi dekhne me bahut funny lagte hai jisse log meme ko bahut pasand karte hai. Meme dwara social sites me like, followers increase karne ka ek bahut hi popular tarika hai.

Meme Meaning In Hindi

Saral bhasha me Meme ek aesa tarika hai jisme hum kisi Image, Gif, Video ka use kar logo ko hasane, motivate karne ke liye karte hai. Meme ka use ek person dwara dusre person ya vastu ke liye kiya jata hai. Mene ka use kisi jankari ko logo tak pahuchane ke liye bhi kiya jata hai. Isme kisi image, gif, video me koi text add kar meme create kar share kiya hata hai. Meme ka use jyadatr social sites me hota hai.

Meme shabd ka istemaal sabse pahle 1976 me Richard Dawkins ki book The Selfish Gene me hui thi.

Richard Dawkins ke hisaab se meme meaning ‘vichaar jo dimaag se dimaag tak phaile’ kaha gaya hai. Aur jo internet meme hai uska mtlb Oxford English dictionary ke anusaar kisi images, videos, gif me kisi bhi tarh ka changes kar internet ke madhyam se phailaya jata hai use meme kaha gaya hai.

Bahut se lo isko मेमे या मीमी bolte hai but iska sahi uchcharn मीम hota hai.

Types of Meme on Internet

Waise to meme kai sare types ke hote hai, Meme kisi bhi topic par banaya ja sakta hai. But kuch aese topics hai jo bahut hi popular hai jo duniyabhar me viral hai.

Classic meme: Is categories me kisi person ya character ke photo ke top aur bottom me text likha hota hai, text me koi dialog ya funny joke likha hota hai.

Dank Mene: Is tarh ke meme bahut hi popular hote hai, Jinhe ek unique idea ke sath banaya jata hai is tarh ke meme jyadar movies, viral video, games par bane hote hai.

Meme Kaise Banate Hai? How to make meme Online

Aapke paas ek acha unique idea hai to aap meme kai tarh se bana sakte hai. Agar aapko photo editing software ki knowledge hai to aap usme own custom meme bana sakte hai, Agar aapko photo editing ki knowledge nahi hai to online tools ki madad se meme bana sakte hai. Internet me bahut sare aese tools hai jiski madad se aap easily online meme create kar sakte hai kisi bhi topic par, Yaha mai aapke sath ek aese free site aur ek mobile app ke bare me bata raha hun jaha se aap meme create kar sakte hai.

Website Ki Madad Se Meme Kaise Banaye?

Step1: Meme banane ke liye sabse pahle aap Imgflip.com ki site ko open kar lijiye. Yah ek bahut hi badhiya aur free meme create karne ki site hai. Yaha se aap kisi topic par meme create kar sakte hai.

Step2: Is site me aapko pahle se bahut sare meme template mil jayenge, Yaha par aapko search ka option milega jaha se aap apne topic ke according template search kar meme create kar sakte hai.

Step3: Agar aapke pas koi meme template(image) hai jiska use kar aap meme create karna chahte hai to aap yaha Upload your own image par click kar upload kar meme create kar sakte hai.

meme kaise create kare

Step4: Image select karne ke baad aapko text add karne ke liye by default 2 text box milte hai jaha par aap image ke top or bottom me text add kar sakte hai. Agar aapko 2 se jyada text box ki jarurt hai to aap More Options par click kar Add Another Textbox ke button par click kar add kar sakte hai.

meme kaise banaye online

Step5: Agar aap Font Color, Font Size, Font Type, Alignment, Bold, etc.karna chahte hai to aap text boxt ke samne bane color box aur setting gear icon par click kar change kar sakte hai.

meme meaning in hindi 2020

Step6: Meme complete create karne ke baad niche Generate Meme ke button par click kar use social site me share kar sakte hai, ya apne pc, phone me download bhi kar sakte hai.

Mobile App ki Madad Se Meme Kaise Banaye?

Step1: Mobile se meme create karne ke liye sabse pahle aap apne phone me GATM Meme Generator app ko install kar open kar lijiye.

Step2: App open karne ke baad aapko yaha par bahut sare Meme create ke liye images milengi inme se apko jo pasand hai usko select kar lijye.

best app for meme create 2020Step3: Image select karne ke baad yaha se aap meme me top aur bottom me jo text add karna chahte hai use type kar dijiye, fir niche Save Meme ke button par click kar dijiye. Uske baad aapka meme aapke phone me save ho jayega.

how to make meme on mobile

Meme Banane Ke Fayde

Meme banane ke kai fayde hai, Meme ka use kar log apne social media pages me followers, likes increase karte hai. Internet me kai sare aese social media pages hai jo meme share kar popular huye hai. In pages me ache followers hone ke karn yah online bahut acha paisa kamate hai.

Aap bhi social media par page banakr kisi viral topics par apne unique idea se memes banakar use social sites me share kar apne pages me followers, like ko increase kar sakte hai aur jab aapke page me likes increase honge to aapke page ki demand badhegi aur aap usse paise kama sakte hai.

I hope ki aapko ye Meme kya hai? Meme meaning in hindi post achi lagi hogi. Agar aapka is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment