Online paise kaise kamaye | Hello friend aj hum is post me ghar baithe kaam karke online paise kaise kamaye ke bare me janenge. Agar aap bhi ghar baithe online paise kamane ke bare me search kar rahe hai to ye post aapke liye helpful rahegi, Is post me mene top 30 online paise kamane ke best tariko ke bare me bataya hai jinki madad se aap ghar baithe online kaam kar paise kama sakte hai.
Aaj ke samay me paise kamane ke liye jaruri nahi hai ki aap office jakar subhah se shyam tak job kare, Agar aapme kaam karne ki lagan ho or thodi bahut internet or computer ki knowledge hai to aap ghar baithe bhi apne pc, laptop or mobile ki madad se online paise kama sakte hai. Or online paise kamane ki sabse achi bat yaha hai ki aapko ise karne ke liye kisi prakar ki koi investment ya kisi khas degree ki jarurat nahi hai, Aap apne skills or mehnat se online paise kama sakte hai.
Online internet se paise kamana koi kathin kaam nahi hai, lekin jaisa ki hum sab jante hai ki paise kamane ke liye humhe mehanat to karni padhati hai fir chahe wo online kaam karke paise kamaye ya offline, So online paise kamane ke liye bhi hume mehnat karni hogi.
Jab aap internet me online paise kaise kamaye ya make money online etc. search karte hai to aapko hajaro sites mil jayegi but usme se adhe se jyada fake hoti hai jo humse sirf kaam karwati hai or payment nahi deti hai, but internet me kuch aese sites bhi hai jo 100% genuine hoti hai jo humhe humare kaam ke badale payment karti hai. So aaj hum is post me aese hi top 30 tariko ke bare me janenge jisse hum ghar baithe online kaam kar ache paise kama sakte hai.
Yaha mai aapko online paise kamane ke jin tariko ke bare me bata raha hun ye sabhi genuine hai or inse bahut sare log acha paisa kama rahe hai. So aap bhi in tariko se ghar baithe online kaam kar ache paise kama sakte hai.
Online Paise Kamane Ke Liye Kin Kin Chijo Ki Jarurat Padhati Hai
Online internet se paise kamane ke liye aapke paas kuch chijo ka hona jaruri hai jaise ki –
- Basic computer knowledge.
- Aapke paas PC, Laptop ya Smart Phone hona chahiye.
- Aapka ek email address hona chahiye jo ki ajkal har kisi ke paas hota hai.
- Paypal account.
- Bank account.
To chaliye ab jante hai top 30 best online paise kamane ke tariko ke bare me jinki madad se hum online paise kama sakte hai.
Online Paise Kaise Kamaye Top 30 Best Tarike
1. Social Sites Se Paise Kamaye
Aap social networking sites jaise ki Facebook, Instagram, WhatsApp, Twitter se badhi hi asani se online paise kama sakte hai. Agar social sites par aapke ache followers hai ya aapke facebook page me kai hajaro me likes hai to aap social site se kai tariko se paise kama sakte hai, jaise ki kisi product ka promotion kar, affiliate program se, app referral program se etc. kai sare tariko se aap social sites se paise kama sakte hai.
2. Web Testing Se Paise Kamaye
Isame aapko kisi website, app ko test kar usaka reviews dena hota hai, ki website ya app kaisa hai usame kya kya kamiya hai, itna karne ke aapko paise milte hai.
Kai badi companyan apni website ya application ko market me launch karne se pahle wo apni website, app ka testing karwati hai, jisase ki agar usame koi kharabi ho to wo use launch karne se pahle hi thik kar sake.
Is kaam ko wo company khud se nahi karti, internet par bahut si aise website hai jo ye kaam karti hai wo company bhi inhi website se apne app or website ki testing karwati hai or wo company apni website ya app ko logo se test karwane ke badle wo online test karwane wali website ko paise deti hai.
Ab wo online test karwani wali website hum jaise logo ko kuchh paise dekhar humse us website ya app ka testing karwati hai. So is prakar aap us app ya website ko test kar usaka feedback dekar ghar baithe paise kama sakte hai.
Web testing ke liye aap usertesting.com website ka use kar sakte hai yah ek bahut hi popular web testing website hai. Is site me aapko ek testing ke $10 se $15 tak milte hai.
3. Upwork Se Kaise Kamaye
Upwork ek bahut hi popular freelancing website hai, jisame aap apne skill ke anusar online kaam kar paise kama sakte hai. Isame aapko bahut sare kaam mil jayenge jaise ki Data entry, Web designing, Graphic designing , Video editing, logo banana, etc. bahut sare kaam aapko is website me mil jayenge aap apne skill ke anusar work ko select kar kaam kar skate hai.
Isame kaam karne ke liye sabase pahle aapko is website me signup karna hoga isame aap free sign up kar sakte hai, Sign up kar lene ke baad aapko apani profile ko complete karna hota hai usake baad aap jo bhi work karna chahte hai usake liye apply kar sakte hai. Upwork par earn kiye paise ko aap Paypal, Payoneer se magwa sakte hai. Upwork ek bahut hi badhiya website hai is website se bahut se log achhe paise kama rahe hai.
4. Online Tuition Padha Kar Paise Kamaye
Agar aapko kisi subject me achhi jankari hai or aap student ko ache se padha sakte ho to aap online tuition padha kar achhe paise kama sakte hai. Aap din ke 1-2 hours tuition padha kar rs.1000 se lekar rs.2000 tak kama sakte hai.
Online tuition padhane ke liye aapke paas ek pc jisame webcam ho or achha internet connection hona chahiye. Online tuition padhane ke liye aap tutorvista, tutornext.com jaise website ko use kar sakte hai.
5. Android App Bana Kar Paise Kamaye
Dosto aj ke samay me kai sare log hai jo app bana kar online lakho rupay kama rahe hai. Agar aapko c++, java ati hai to aap badhi hi asani se app bana lenge or agar aapko ye language nhi ati hai to bhi aap app bana sakte hai, Aaj internet me bahut sare aisi websites hai jinki madad se aap bina coding jane bhi app bana sakate hai simple drag and drop karke wo bhi free me.
Bina coding jane app banane ke liye aap thunkable, appybuilder, makeroid jaisi website ki madad le sakte hai aap in website se just drag and drop kar app bana sakte hai.
Jab aapka app ban jayega to aap apne app me admob se add lagakar paise kama sakte hai.
6. Swagbucks Se Paise Kamaye
Yah ek online surveys sites hai isame aapko surveys karke, video dekhane, apne friends, family ko referral karne, game khelne etc. ke paise milte hai. Swagbucks se aap bahut sare tariko se paise kama sakte hai. Swagbucks ek bahut hi badhiya online survey site hai, Swagbucks se kamaye gaye paise ko aap Gift card, Paypal etc. ke jariye le sakte hai. Isame paypal se minimum payout $5 hai.
Agar aapke paas paypal account nahi hai to aap Paypal par account kaise banaye is post ko padh kar apana paypal account bana sakte hai.
7. Google AdSense Se Paise Kamaye
Agar aapke pass koi Blog, Website, YouTube channel hai or unme daily ke achhe visitors ate hai to aap waha par Google AdSense ke add laga kar achhe paise kama sakte hai. Isake alawa aap infolinks, media.net jaisi advertisement site ke bhi add ko apane blog, webste me laga kar paise kama sakte hai.
8. Smartphone Se Paise Kamaye
Agar aap mobile ko jyada use karte hai to aap apne mobile se ache paise kama sakte hia. Aj ke samay me internet me aisi bahut si application hai jise aapko download karne, friends family ko refer karne, video dekhane etc ke badhale paise milte hai.
Mobile se paise kaise kamaye ke bare me mene already details me 2 post likhi hui hai aap in post ko padh kar sikh sakte hai ki mobile se paise kaise kamate hai.
9. Domain Flipping Se Paise Kamaye
Domain flipping ka matlb hota hai ki aap kisi domain ko low price me kharid kar high price me sell karna. Domain flipping se aap ache paise kama sakte hai, Agar aapme ek achha sa domain name find karne ki achhi knowledge hai to aap use kam price me buy kar jyada price me sell kar sakte hai. Domain flipping ka business thik usi prakar hai jis prakar hum kam kimat me jamin ko kharid kar kuchh mahino, salo baad jyada kimat me sell kar dete hai.
Domain filliping se kai log lakho karodo me kama rahe hai yaha ek bahut hi badhiya online business hai. Domain ko sell karne ke liye aap flipa.com, godaddy jaise website ka use kar sakte hai.
10. Virtual Call Center Se Paise Kamaye
Virtual call center ek aisa platform hai online paise kamane ka jisame aap ghar se hi call center chala kar paise kama sakte hai, Agar aapko logo se bat karne ka achhi knowledge hai to aap ghar se call center ki job kar paise kama sakte hai.
Virtual call center chalane ke liye aapke pass high speed internet connection hona chahiye, Computer hona chahiye, or aapko achhi English aani chahiye.
Virtual call center start karne ke liye aap livepos.com jaise website ki madad le sakte hai.
11. Photo Sell Kar Paise Kamaye
Agar aap ek achhe photographer hai or aapko photo khichane ka shauk hai to aap photo ko online sell kar paise kama sakte hai. Internet par bahut sari website hai jisme aap apni phto ko sell kar paise kama sakte hai.
Photo ko online kaise sell kare, kaha sell kare isake isake bare me details me janne ke liye aap Online photo sell kar paise kaise kamaye post ko padh sakte hai.
12. Ebook Se Paise Kamaye
Agar aap kisi chij ke bare me achhi jankari rakhate hai to aap us par ebook likh kar use online sell kar paise kama sakte hai. Apni ebook ko sell karne ke liye aap Amazon Kindle jaise website ka use kar sakte hai.
13. Old Saman Ko Sell Kar Paise Kamaye
Agar aapke pass koi aisa saman hai jaise ki old Mobile, Laptop, TV etc. jiska aap koi use nahi karte to aap use online sell kar kuchh paise kama sakte hai. Aap apne purane saman ko olx, quiker, eBay, facebook marketplace par sell kar sakte hai.
14. Link Short Kar Paise Kamaye
Isame aapko kisi link ko short link ki website ki madad se short kar use share karna hota hai usake baad agar koi aapke us short link par click karta hai to use 5 second ka ek add show hota hai usi add ko dekhne ke aapko earning hoti hai, jitne jyada aapke short link par click honge aapko earning bhi utani hi achhi hogi.
Link short ke liye aap za.gl, adfly, linksrink jaise website ko use kar sakte hai.
15. Logo Design Kar Paise Kamaye
Dosto agar aapko designing ati hai to aap kisi company, website ke like logo design kar achhe paise kama sakte hai. Logo design job ke liye aap fiverr, upwork jaise website ki madad le sakte hai.
16. Amazon Se Paise Kamaye
Amazon se aap kai tariko se paise kama sakte hai. Jaise ki amazon par aap apna khud ka online store open kar product ko sell kar paise kama sakte hai, Amazaon associate program se paise kama sakte hai, Amazon par aap kuchh chhote mote task jaise ki capcha fill karna, surveys karna etc. se bhi paise kama sakte hai isake liye aapko amazon mechanical turk website me jakar signin karna hoga.
17. Old Books Sell Kar Paise Kamaye
Dosto agar aapke pass koi aise books hai jinko aap nahi padhte hai or wo rakhe rakhe kharab ho rahi hai to aap un book ko online sell kar kuchh paise kama sakte hai. old books ko aap ebay ki site par sell kar sakte hai.
18. PTC Sites Se Paise Kamaye
PTC(paid to click) se paise kamane ke liye aapko bas ptc website ko open kar kuchh task karne hote hai, task me aapko kuchh seconds ki add dekhane, surveys karna ko milta hai. Agar aap thodi der kaam kar online kuchh paise kamana chhate hai to PYC site online paise kamaane ke liye best hai. Internet par bahut sari aisi PTC website hai jisame aap add dekh kar, surveys kar paise kama sakte hai.
PTC website se paise kaise kamaye ke bare me adhhik janne ke liye aap Online paise kamane ke top 5 PTC sites is post ko padh sakte hai.
19. Sell Coin and Note
Agar aapke pass koi purane samay ka ya koi esa coin ya note ho jo unique jaise ki 786, star bana ho etc. to aap un note ya coin ko online sell kar paise kama sakte hai. Unique coin ya note ko aap ebay website par sell kar sakte hai.
20. Flipcart Affiliate Program Se Paise Kamaye
Flipcart se paise kamane ke liye sabse pahle apapko flipcart affiliate program join karna hoga usake baad kisi products ka affiliate link generate kar use apne blog, websites, youtube channel, social site jaise ki facebook, twitter, instagarm, whatsapp par share kar dijiye jab bhi koi us link par click kar us product ko buy karega to aapko us product ka kuchh % commission milega. Is prakar aap flipcart affiliate program se ache paise kama sakte hai.
21. Transcription Se Paise Kamaye
Isame aapko video ya audio ko text me convert karna hota hai. Jaise ki aapko koi 5 minute ki video di gayi hai to aapko us me jo kuchh bhi bola ja rha hai use text format me likhana hota hai jisake badhle me aapko paise milte hai.
Transcription job ke liye aap Transcribe.com, upwork, scribie.com, fivver jaise website me apply kar sakte hai.
22. Online Products Sell Kar Paise Kamaye
Aaj ke samay me aise kai sare log hai jo products ko online amazon, flipcart,ebay jaisi ecommerce sites par sell kar ache paise kama rahe hai.
Ajkal har koi saman ko online buy karna pasand karta hai aise me aap bhi product ko online sell kar paise kama sakte hai usake liye bas aapko aise koi product ko search karna hoga jisaki online jyada demand hai or jaldi sell ho jaye, product select karne ke baad aapko us product ko amazon, flipcart, ebay jaisi ecommerce site par as a seller register kar apne product ko list kar sell kar sakte hai ya fir aap apni khud ki website bana kar apne product ko sell kar sakte hai.
23. Online Micro Job Se Paise Kamaye
Micro job me aapko kuchh chhote moote task karne hote hai jaise ki capcha solve karna, surveys karna, transcription karna or bhi bahut kuchh jinhe karne ke liye kuchh hi second lagte hai. Is prakar aap kuchh chhote mote task kar online paise kama sakte hai.
Micro job ke liye aap mTurk, MicroWorkers jaisi website ki madad le sakte hai.
24. SEO Services Se Paise Kamaye
Ajkal har koi apne business ke liye apni khud ki website banata hai or wo chahte hai ki unki website top result me aye jisase ki usaka online business jyada se jyada logo tak pahuch sake or business growth ho sake, aise me agar aap SEO ke bare me jante hai to aap ghar baithe SEO service dekhar ache paise kama sakte hai.
Seo service ke liye aap SEOClerks website me register kar sakte hai is website par aap apani seo service ko sell kar paise kama sakte hai.
25. Content Writing Se Paise Kamaye
Agar aapko likhane ka sauk hai to aap kisi ke liye content likh kar achhe paise kama sakte hai. Ajakl content writing ka kaam bahut demand par hai isake aap kisis company ke liye blog, article likh kar ache paise kama sakte hai.
Content writing job pane ke liye aap fivver, elance, iwritter, textbroker jaise website ki madad le sakte hai.
26. Whatsapp Se Online Paise Kaise Kamaye
Whatsapp se paise kamane ke bahut se tarike hai, jaise ki –
- Agar aap koi online business chalate hai to aap apne products ko whatsapp me prompt kar paise kama sakte hai. Isake liye aap whatsapp group bana sakte hai, ya kisi aise group ko join kar le jaha par product ko promote kiya jata hai, internet par aapko bahut se aise whatsapp group ke link mil jayenge aap un group ko search kar join kar lijiye or usame apne products ko promote kar sakte hai.
- Aap amazon, flipcart jaise website ke affiliate link ko whatsapp me share kar paise kama sakte hai.
- PPD(pay par download) internet par bahut sari iase app hai jo ki humhe apne friend, family ke sath refer karne ke paise deti hai aise me aap un app ko search kar apne mobile me install kar apne referral link ko whatsapp me share kar sakte hai usake baad koi aapke link se un app ko install karta hai to aapki earning hogi.
27. Email Marketing Se Paise Kamaye
Dosto email marketing se paise kamana bahut hi asan hai. Email marketing ka matlab hai ki hum email ki jariye advertisement kar paise kamana jaise ki hum kisi product and service ka promotion apne site, ya social sites jaise jagah par kar usase paise kamate hai thik usi prakar hum email ke dwara bhi kisi product and service ka promotion kar paise kama sakte hai. Email marketing se paise kamane ke liye aapke paas bahut sare email addresses hone jaruri hai. Jab aapke paas jyada(up to 4k) email addresses ho jayenge to aap kisi product ya service ko email ke through advertisement kar paise kama sakte hai.
28. Freelancing Website Se Paise Kamaye
Agar aapme kisi kaam ko karne ki achhi skill hai to aap ghar baithe freelancing website ki madad se ache paise kama sakte hai. Freelancing website par aap kai sare kaam ko kar paise kama sakte hai jaise ki data entry, photo editing, video editing, etc bahut sare kaam aapko mil jayenge.
Yakin maniye aaj ke samay me kai log aise hai jo sirf freelancing kaam kar mahine ke lakho kama rahe hai. Freelancing job ke liye aap upwork, fivver, people per hour jaise top website ka use kar sakte hai.
29. Data Entry Job Se Paise Kamaye
Agar aapko basic computer knowledge hai or aapki typing speed(40wpm) achi hai or aapke paas pc ya laptop hai to aap data entry ka kaam kar achhe paise kama sakte hai. Data entry me aap PDf to text, copy paste, capcha entry, etc kaam kar sakte hai.
Data entry job ke ke liye aap fivver, clickworker, upwork, elance, 2capcha etc. jaisi website ka use kar sakte hai.
30. Virtual Assistant Job Se Paise Kamaye
Agar hum kisi company me as a data entry ka, billing work, research etc. ki job karte hai to iskae liye humhe office jakar kaam karna hota hai. Virual assistant me hum in kaam ko apne ghar se hi kar sakte hai jiske badle humhe payment milti hai.
Virtual assistance job ke liye aap HireMyMom, MyTasker, Zirtual, uAssistMe, 123Employee in sab website me try kar sakte hai.
To dosto ye hai top 30 best tarike online paise kamane ke jinpar aap ghar baithe online kaam kar paise kama sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko ye internet se ghar baithe online paise kaise kamaye top 30 tarike post achi lagi hogi, Agar aapke man me online paise kaise kamaye se related koi doubt ya question ho to aap niche comment me puchh sakte hai.
Agar aapne is post se kuch naya sikha ho or aapko ye post achi lagi ho to aap ise apne social sites me apne friends ke sath share jarur kare.
Nice Information sir
Thank you Nitish Sharma