Hello friends aj hum is post me social site Instagram ke new feature ke bare me janenge jo ki hal hi me launch hua hai.
Jaise ki dosto hum sab ko pata hai ki instagram me story share karne ka feature kaphi popular hai. Isame aapko story banane ke liye stickers, filter milte the ab instagram story ko or popular banane ke liye Instagram ne 10 may 2018 ko ek new emoji slider poll feature ko launch kiya hai, jo ki bahut badhiya features hai. Jo log poll se relative story banate the un logo ke liye ye feature kabhi achha hone wala hai.
- Instagram Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide In Hindi 2018
- Facebook Se Paise Kaise Kamaye in Hindi- Earn Money From Facebook
Poll feature me kya hota tha ki aap jo bhi instagram me story banate the or usame poll feature use karte the to aapko 2 option milte the jisame se kisi ek ko chunna hota tha lekin is naye feature emoji slider poll ki madad se aap apne according story par apni ray de sakte ho.
Emoji slider poll feature ko aap IOS or android dono phone me use kar sakte hai.
Emoji Slider Poll Feature Ko Kaise Use Kare
Step1: Sabse pahle aap apne Instagram account ko open kar lijiye. Usake baad uper top me left corner par bane camera ke icon pr click kar dijiye.
Step2: Usake baad aap koi bhi story create kar lijiye fir upper bane first icon smiley ke icon par click kar dijiye.
Step3: Ab aapko yaha par ek emoji slider poll ka option dikhega us par click kar dijiye.
Step4: Ab aap koi question type kar dijiye usake baad story ko publish kar dijiye.
Ab aapke followers apne according aapke us story me apni ray de sakte hai slider ko kam jyada kar ke is prakar aap emoji slider poll feature ka use kar apne instagram story ko or achha bana sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko ye post instagram new feature emoji slider poll achhi lagi hogi or agar aapke man me koi doubt ya question ho to aap niche comment me puchh sakte hai.