Hello friends aaj hum is post me sikhenge ki Facebook app se apne aas pass ke free WiFi ko kaise dekh sakte hai. How to find free Wifi on facebook app?
Facebook ne new feature launch kiya hai jiska naam hai ‘Find WiFi’ isase aap apne facebook app ke jariye apne ass pass ke sabhi free or open wifi ko dekh sakte ho.
Facebook Par Find WiFi Feature Ka Use Kaise Kare? How to access Find WiFi feature on facebook ?
Step1: Sabse pahle aap apne mobile me Facebook app ko open kar lijiye, Jaise hi aap apne Facebook app ko open kar lete hai to right corner par aapko 3 bar dikhenge(three horizontal line)us par click kar dijiye.
Step2: Ab apps wale option me find WiFi ka option dikhega (agar aapko apps tab me find WiFi ka option na mile to see more ke option par click kar dijiye) is par click kar dijiye.
Step3: Ab yaha se aapko enable find WiFi ke button par click krna hai.
NOTE : Dhyan rakhiye aapke phon ka location on hona chahiye.
Step4: Ab yaha se aap turn on location services ke button par click kar dijiye. Usake baad ye aapse permission magega use aap allow kar dijiye. Ab aapke aas pass jaha kahi bhi free WiFi available hai un sahi jagah ke naam show hone lagegi.
Dosto is feature ka fayda ye hota hai ki agar aap kahi bhi jate ya fir kisi naye sahar me jate hai or aapko wifi ki jarurat pad jati hai to aap is feature se ye dekh sakte hai ki aapke aas pass free wifi kaha mil sakte hai.
Unfortunately aap is feature ka use apne computer ya mobile site se nahi kar skate hai, is feature ka use kewal aap apne android or ios app par kar sakte hai.
Ummeed karata hun ki aapko ye post achhi lagi hogi, Agar aapko is post me kuchh samjh nhi aya hoga ya apke dimag me koi bhi doubt ya sawal hai to aap niche comment me puchh sakte hai.
- Facebook MarketPlace Par Products Ko Kaise Sell Kare – Facebook Se Paise Kaise Kamaye 2018
- Facebook Se Paise Kaise Kamaye in Hindi- Earn Money From Facebook 2018
- Instagram Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide In Hindi 2018
-
Online Resume Kaise Banaye – Top 5 Best Online Resume Banane ki Websites 2018