Website blog ko Google me submit kaise kare | Hello friends aj hum is post me apne website blog ko Google, Bing, Yandex jaise search engines me submit kaise kare ke bare me step by step janenge. Agar aapne new website blog banaya hai aur abhi tak aapne apni website blog ko Google, Bing, Yandex search engines me submit nhi kiya hai to ye post aapke liye helpful ho sakti hai. Is post me bataye gaye steps ko follow kar aap apni website blog ko Google, Bing, Yandex search engines me easily submit kar sakte hai.
Website blog ki traffic increase karne ke liye hume apni website blog ko search engine me submit karna bahut hi important hota hai. Waise to aj ke samay me bahut sare search engines hai but unme se sabse popular Google, Bing, Yandex hai. Inhi search engines ko hi log jyada use karte hai or inki madad se aap apne website blog me jyada se jyada traffic la sakte hai.
So aap bhi aapne website blog ko Google, Bing, Yandex search engines me submit kar apne website blog me traffic increased kar sakte hai.
Kisi bhi website blog ko search engines me submit karne ke koi charge nahi lagte hai, Search engines me aap free me apni website blog ko submit kar sakte hai.
Humare website blog google search engine me submit hai ya nahi kaise check kare?
Apki website blog google search engine me submit hai ya nahi ye check karne ke liye aap google search box me apne website blog ka address(elearninhindi.com) type kar enter kar dijiye. Ab agar aapki site blog 1st number me nahi hai to aapko apne website blog ko google search engine me submit karna hoga.
So chaliye ab jante hai ki hum apne website blog ko Google, Bing, Yandex search engines me submit kaise karte hai.
Google Me Website Blog Ko Submit Kaise Kare
Yah to hum sabhi jante hai ki Google world ka sabse popular search engine hai. So website blog ki traffic increased karne ke liye jaruri hai ki hume apne website blog ko google search engine me submit karna bahut hi important hai.
Step 1: Website blog ko google search engine me submit karne ke liye sabse pahel aap google search console ko open kar lijiye. Fir apne gmail account se sign in kar lijiye. Uske bad apni site ka URL type kar Add Property ke button par click kar djiye.
Step 2: Ab ek new popup open hoga jaha par aapko apni site ko verify karna hoga or uske liye aapko yaha par bahut sare option milenge isme se sabse best or asan hai <Meta> tag option iske liye aap HTML Tag wale option ko select kar lijiye.
Step 3: HTML tag par click karne ke baad aapko ek code milega jise aapko apne website blog me add karna hota hai. Agar aapki website blog worpdress par hai or aap Yoast SEO plugin use karte hai to aap is code ko apne yoast plugin me add kar dijiye.
Uske liye aap apne wordpress me login kar yoast SEO>General>Webmaster tools wale tap par click kar dijiye. Ab yaha se aap Google verification code wale option me jakar is code ko enter kar dijiye fir Save changes par click kar dijiye.
Ab fir return search console me chale jaye or Verify ke button par click kar dijiye. Jaise hi aap verify ke button par click kar denge to aapka website verified ho jayegi. Fir aapke search console ka dashboard open ho jayega.Or agar aap Yoast plugin ya WordPress use nahi karte hai to aap apne website blog ke template me jakr <head> tag ke undar is pure code ko paste kar dijiye.
Itna karne ke baad ab aapko google search console me apni website ka sitemap submit karna hota hai.
Website blog ke liye sitemap generate karna bahut hi asan hai. Sitemap generate karne ke kai tarike hai jaise ki agar aap yoast plugin use karte hai to aap waha se easily apne website blog ka sitemap generate kar sakte hai nahi to aap XML-sitemaps.com site me apne website ka url dal kar easily sitemap generate kar sakte hai.
Google Search Console Me Blog Ka Sitemap Kaise Submit Kare?
- Sabse pahle aap apne google search console account ko open kar lijiye, Uske bad apko yaha ek sitemaps ka option milega is par click kar dijiye.
- Ab yaha par aapko apni site ka sitemap link add karna hai. Yaha par apki site ka url(xyz.com) pahle se diya hua hota hai so yaha aapko sitemap link me iske age ka link type karna hai.
- Ab submit ke button par click kar dijiye. Ab aapka sitemap successfully google search console me submit ho gaya hai. or ise activate hone me kuch time 5 -10 minute ya usse bhi jyada lag sakta hai. So aap thoda wait kare.
Isi prakar aapko Bing search console me bhi apni website blog ko submit karna hota hai.
Website Blog Ko Bing Webmaster Tools Me Kaise Submit Kare?
Step 1: Bing webmaster tools me website blog ko submit karne ke liye sabse pahle aap bing webmaster tools ko open kar lijiye. Fir sing in ke button par click kar dijiye, Yaha par aap apne Microsoft, Google, ya Facebook accounts se sing in kar sakte hai.
Step 2: Sing in karne ke baad bing webmaster tools open ho jayega, Ab yaha par aapko apni website blog ka url enter kar Add ke button par click karna hai.
Step 3: Ab ek new page open hoga jaha par aapko apni kuch details fill karni hai.
- Url : Yaha par aapko apni site ka url enter karna hai.
- Add a sitemap : Yaha par aapko apni site ka sitemap link add karna hai. Jo apne google search console me submit karne ke liye sitemap generate ki thi usi sitemap link ko yaha dal dijiye.
- Yaha aap All day default hi rahne de.
- Apna first or last name enter kare.
- Yaha par apna email id dale.
- Job role me aap Admin type kar sakte hai.
- Industry : Yaha aap apni site se related option ko select kare.
- Contact phone, city, state, Zip code ye sab daal dijiye aap chahe to khali bhi chhod sakte hai.
- Country me India se hai to India select kar lijiye.
- Uske baad Save ke button par click kar dijiye.
Step 4: Ab aapko bing me apni website ko verify karna hoga, Uske liye yaha par 3 option hai, Isme sabse asan 2nd option hai jo ki same upar google search console ki tarh hai, Isme bhi same waise hi karna hai jaise ki upar google search console me kiya tha, Is code ko aapko apne wordpress ke yoast SEO>Webmaster tools>Bing verification code ke option me add kar Save kar dena hai. fir return bing webmaster tools me akar Verify ke button par click kar dijiye.
Verify par click karte hai aap bing webmasters tool ke dashboard me chale jayenge. or ise activated home me kuch time lag sakta hai, Uske baad yaha se aap apni website blog ki sari information ko dekh sakte hai.
Yandex Webmaster Tools Me Blog Ko Kaise Submit Kare?
Step 1: Yandex webmaster tools me apni website blog ko submit karne ke liye sabse pahle aapko yandex webmaster ko open kar registration karna hoga.
Step 2: Yandex webmaster me registered karna bahut hi asan hai, Yaha aap apna First name, Last name, Username, Password or mobile number dalakr easily register kar sakte hai.
Step 3: Yandex webmaster tool me successfully sing in kane ke baad yaha add site ke button par click kar apne website blog ka url add kare.
Step 4: Ab aapko yandex me apni website blog ko verify karna hi uske liye yaha bahut se option hai aap Meta tag wale option ko select kar lijiye uske baad same upar bataye gaye google search console or bing ki tarh apni site ko verify kar lijiye same processes hai code ko yoast plugin me add kar Save kar lijiye uske baad yandex me akar Check ke button par click kar dijiye.
Step 5: Ab aapko yandex me apni website blog ka sitemap submit karna hai.
Yandex Webmaster Me Blog Website Ka Sitemap Kaise Submit Kare?
Sabse pahle aap yandex ke dashboard ko open kar lijiye, Uske baad yaha aapko ek Tools ke option me Sitemap validation ka option milega is par click kar dijiye. Uske baad URL wale option par click kar apni website blog ke sitemap link ko enter kar check ke button par click kar dijiye.
So is prakar aap apni website blog ko Google, Bing, Yandex search engines me submit kar sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko ye website blog ko google, bing, yandex search engines me submit kaise kare post achi lagi hogi. Agar aapko apne blog ko google, bing, yandex search engines me submit karne me koi bhi problem ati hai to aap niche comment me puch sakte hai.
Agar aapko ye post helpful lagi ho to aap is post ko social sites me apne friends ke sath share jarur kare.