Hello friends aaj hum is post me ebay se paise kaise kamaye ke bare me janenge?
Agar aaj ke samay me aap internet me search karenge ki online paise kaise kamaye to aapko bahut sare tarike mil jayenge. or unme se ebay bhi ek aisa tarika hai jisase hum online kaam karake paise kama sakte hai.
Aaj hum is post me janenge ki ebay se paise kaise kama sakte h, kitne tariko se kama sakte hai or kitne paise hum ebay se kama sakte hai.
Jaisa ki hum sabhi ko pata hai ki ebay ek international e-commerce website hai, jaha par hum saman ko buy or sell kar sakate hai. ebay par aap purana or naya dono tarah ke saman ko buy and sell kar sakte hai. Or yaha par aapko har tarah ka saman mil jayega fashion, electronic, sports, gits etc.
- Facebook Se Paise Kaise Kamaye in Hindi- Earn Money From Facebook
- Wooplr Se Online Paise Kaise Kamaye – Open Your Online Store For Free 2018
Aapke man me hoga ki e-commerce site to flipcart, amazon, snapdeal jaise site bhi hai jaha par hum apne saman ko sell buy kar sakte hai to fir ebay par apne saman ko buy sell kyu kare to mai aapako bata dun ebay or other e-commerce site me different kya hai. Jaise ki amazon, flipcart,bsnapdeal jaisi e-commerce site par aap kisi saman ko sell karne ke liye fixed price rakhana hota hai, lekin ebay ki khas baat yah hai ki isame aap kisi saman ko fixed price me to sell kar sakte hi hai or saath hi isame aapko ek auction ka feature milta hai jisame aap apne kisi antique or unique (aisa saman jo market me bahut hi kam available ho ya asani se nahi milta ho) saman ki boli (Bid) lagwa sakte hai or us saman ko jyada se jyada kimat me sell kar sakte hai.
ebay Se Paise Kaise Kamaye
1. Auction and bidding
2. Affiliate program
3. Sell old books, DVDs, CDs
4. Sell products
ebay Auction or Bidding Se Paise Kamaye :
ebay me auction feature bahut hi achha or popular hai isake jariye aap rato raat lakhpati bhi ban sakte hai.
Isame aap apne kisi khas samaan jaise ki agar aapke paas koi purana coin ho, purana note, unique serial number wale note ya koi aisa unique saman (aisa saman jo market me bahut hi kam available ho ya asani se nahi milta ho) etc. ko auction or bidding ke jariye achhe paise kama sakte hai.
Isame aapko us saman ka ek minimum price set karke rakhna hota hai usake baad agar logo ko aapka wo saman pasand aata hai to log us par boli (bid) lagayenge or isase aapke us samana ki kimat badh jayegi jisase aapko us saman ke ache paise mil jayenege. Ye auction 7 din ke liye hoti hai. ebay se ek bidding ke lakho tak kama sakte hai.
Example : man lete hai ki humne koi old coin ko auction sell karna chahte hai or usaka minimum price humne $10 rakh diya usake baad log us coin par boli ( bid) lagate hai or kisi ko wo coin achha lagta hai to wo us coin ke $200 ya usase bhi adhik dekhar use karid lega, is prakar aap auction sell se achhe paise kama sakte hai. Aapka saman jitna jyada unique hoga bidding bhi utani hi achhi hogi.
Suggestion : Aap apane saman ko ebay.com par hi sell kare waise to aap chahe ebay.in par bhi sell kar sakte hai but ebay.com par sell karne se aap ka saman pure duniya me kahi se bhi buy ho sakta hai, or ebay.in par sell karne se aapka saman only india me hi sell hoga.
ebay Affiliate Program Se Paise Kamaye :
ebay affiliate program se paise kamana bahut aasan or best tarika hai.
Affiliate program me aap kisi product ka apne facebook, website, youtube channel etc. me promotion kar usako sell karna hota hai or usake badle wo affiliate program company aapko us product ke price ka commission deti hai.
ebay affiliate program se paise kamane ke liye sabse pahle ebay ki affiliate program ko join karna hoga, isame join hone ke koi charge nahi lagta ye free hai.
ebay affiliate program ko join karna bahut hi aasan hi isame aapko simple apane bare me information fill karni hoti hai usake baad aap ebay affiliate program me registered ho jayenge.
Jab aap ebay affiliate program ko join kar lete hai to aapko product ka affiliate link milta hai jise aap apane social site, website etc. me share karte hai or agar koi us link par click kar us product ko buy karta hai to aapako commission milega.
Affiliate program ke bare me or adhik janne ke liye aap humari affiliate program se paise kaise kamaye post ko padh sakte hai yaha mene pura step by step bataya hua hai.
Sell Old Books, DVDs, CDs
Dosto aapke paas agar koi aise books hai jise aap padh chuke ho or ab wo aapake kaam ki nahi hai or rakhe rakhe kharab ho rahi hai to aap un books ko ebay par sell kar unse kuchh paise kama sakte hai.
Isi tarh agar aapke paas koi old DVDs ya CDs hai jinhe aap dekh chuke hai or ab aapake wo kaam ki nahi to aap unhe bhi sell kar sakte hai.
Sell Your Own Products :
Jaisa ki mene uper bataya tha ki ebay ek online e-commerce website hai or agar aap kisi products ka business karte hai to aap ebay ke jariye apne product ko jyada se jyada logo tak sell kar sakte hai.
ebay par aap new and old dono tarah ke saman ko sell kar sakte hai.
jaisa ki ebay ek international e-commerce website hai or yaha par purana saman bhi buy kar sakte hai to isaka fayda yah hai ki hum US, Uk jaisi country se saman ko kam price me kharid kar unhe kisi other site jaise ki olx ya offline kisi dukan me adhik price me sell kar sakte hai.
Suggestion: aap kisi bhi product ko buy karne se pahle uski rating, customer review ko jarur padhe usake baad hi us product ko buy kare.
Ummid karta hun ki aapko samj me a gya hoga ki ebay se paise kaise kamate hai. agar aapke man ebay se paise kaise kamaye ke bare me koi sawal ya doubt ho to aai niche comment me puchh sakte hai.
Very Very Nice Work. Please Kuch Aur Posts Add kijiye. Thanks
thank you