Most useful adroid apps | Hello friends aj hum is post me 10 most useful android apps ke bare me janenge. Agar aap bhi ek android user hai to aapko in apps ko apne mobile me jarur install karna chahiye. Yeh apps hume kai tarh ki jankari dene ke sath sath kai muskile bhi asan karte hai. 10 best most useful android apps in hindi.
Jaisa ki hum sab jante hai ki aj ke samay me har kaam ke liye mobile apps hai, Jaise ki online tickets booking, Shopping, Banking, Study, Game khelna, Videos dekhna, etc. sabhi kamo ko easily mobile app ke jariye kiye jate hai.
Lekin Google play store me bahut sare apps hone ke karan hume ye nahi samjh ata ki kaun se app ko install kare or kaun sa nahi aese me hum apne phone me kai sare apps ko install kar lete hai jiske karan humara phon slow or hang hone lagta hai. So aj mai aapko is post me kuch most useful android apps ke bare me bataunga jin app ko har ek android user ko apne phone me jarur rakhna chahiye. yeh sabhi apps aapke liye bahut hi useful aur helpful honge.
10 Most Useful Android Apps In Hindi
Niche bataye apps ko use kar aap apne smartphone ko or bhi smart tarike se use kar sakte hai.
1. WPS Office + PDF
Yah ek bahut hi badhiya or useful android app hai, Is app ki madad se aap apne mobile me hi MS office ka use kar MS office me kiye jane wale kaam ko kar sakte hai, Jaise ki aapko koi latter type karna ho, Notes likhna ho, koi bhi office presentation banani ho, etc.
Is app ka use or kai tariko se kiya ja sakta hai, Jaise ki agar aapko kisi file ko PDF me convert karna ho ya kai bar humare phone me kuch aese office document hote hai jinhe open karne par error show hota hai, Aise me aap un file ko is app ki madad se open kar sakte hai.
2. Smart Kit
Yah bhi bahut hi badhiya app hai, Jaisa ki hume apne phone me alag alag kaam ke liye new new apps ko install karna padta hai jisse humare phone ki storage full ho jati hai or humara phone hang or show hone lagta hai, Lekin agar aap is app ka use karenge to aapko chote mote kaam ke liye alag se app ko apne phone me install nhi karna padega is app me aapko kai sare jarurat ki app mil jayegi.
Smart kit app jiska size 5.4 MB hai, Is app me aapko kai sare useful app mil jayenge jaise ki Notepad, Translator, Dictionary, Flashlight, Battery Saver, All social media apps, All World News app, All shopping apps, etc. bahut sare features aapko is app me mil jayenge.
3. Google Goggles
Dosto yah bhi bahut hi badhiya app hai, Is app ki madad se aap kisi bhi chij ko scan kar uske bare me jan sakte hai ki ye kya hai, kaha ki hai etc.
Jaise ki agar aapke paas koi book hai ya kuchh or saman jiske bare me aapko nahi pata ki ye kya hai or kaha ki hai to aap use is app ki madad se scan kar uske bare me sabhi detail jan sakte hai.
4. TestM – Smartphone Condition Check
Is app ki madad se app apne smartphone ko check kar sakte hai ki aapke phon me kya kharabi hai, Jaise ki aapke phone ka Screen, Speaker, Camera, etc. proper kam kar rahe hai ya nahi aap is app ki madad se jan sakte hai.
Yah app tab jyada useful sabit ho sakti hai jab agar aap koi old phone buy kar rahe hai to aap is app ka use kar jan sakte hai ki us phone me sabhi chije proper kaam kar rahi hai ya nahi.
Download TestM – Smartphone Condition Check
5. CamScanner – Phone PDF Creator
Jab hum koi online form bharte hai to usme documents ko scan karke upload karna hota hai, Aese me agar aapke pas scanner nahi hai to aap is app ki madad se easily kisi bhi document ko scan kar sakte hai aur use JPEG, PDF format me save kar sakte hai. Yeh app bahut hi useful hai.
Download CamScanner – Phone PDF Creator
6. All India Code Finder – Offline
Yeh ek bahut hi badhiya or useful android app hai, Is app ki madad se aap offline india ke kisi bhi area ka Pin code, STD code, Bank IFSC code jan sakte hai. or sath hi aap is app ki madad apne near by ATM, Railway station, Post office, etc. location ki details bhi jan sakte hai.
Download All India Code Finder – Offline
7. Google Assistant
Is app ko Google company dwara banaya gaya hai, Is app ki madad se aap apne phone me kisi kaam ko bade hi smart tarike se kar sakte hai, Jaise ki agar aapko apne phon ke contact list me se Mr. A ko call karna ho to aapko bas is app ko call Mr. A bolna hoga uske baad yeh app aapki call Mr. A ko laga dega, Aapko selfie leni ho to aap take selfie bol dijiye apne aap aapka front camera on ho jayega, isi tarh aap bol kar is app ki madad se apne mobile me sabhi kaam kar sakte hai.
Yah ek bahut hi badhiya app hai aap is app ko jarur se try kare aapko kaphi pasand ayega.
8. Selfissimo!
Selfissimo ek bahut hi cool app hai, Agar aapko selfie lena pasand hai to ye app apke liye kaphi useful ho sakti hai. Is app me aapko selfie lene ke liye koi bhi button press ya click karne ki jarurat nhi padegi bas aap selfissimo app ko open kar lijiye or pose karte rahe ye app automatically hi aapki photo khichega.
9. Remove Object
Yeh bhi bahut hi cool app hai, Is app ki madad se aap kisi bhi photo se unwanted object ko remove kar sakte hai, Jaise ki aapne koi photo click ki or usme koi aesa object a gya jise aap us photo se remove karna chahte hai to simple aap is app ki madad se us object ko easily remove kar sakte hai.
10. Vyng Video Ringtones
Is app ki madad se aap apne ringtone me video ko set kar sakte hai, Jaise ki agar koi aapko call karega to aapke phone me audio ke sath video bhi play hoga.
Agar aap apne phone me ek hi ringtone se bore ho gaye hai or aap chahte hai ki jab bhi koi call aye to audio or video dono hi play ho to aap is app ka use kar sakte hai.
Is app me aapko kaphi sare video clip mil jayegi jinhe aap apne ringtone me set kar sakte hai.
So dosto ye hai 10 best most useful android apps, Ummid karta hun ki aapko ye most useful android apps post achi lagi hogi, Agar apke man me is post se related koi bhi question ya sujhav ho to aap niche comment me jarur bataye or is post ko apne friends ke sath social sites me share jarur kare.