Best Photo Editing Apps | Hello Friends aj hum is post me 5 best photo editing apps ke bare me janenge. Jinka use kar aap apne simple photos ko apne phone se hi edit kar ek acha look or attractive bana sakte hai.
Pahle kya hota tha ki agar humhe koi bhi photo editing karni hoti thi to humhe computer or photo editing software ki jaruart padti thi, Lekin aj ke samay me agar aapko koi bhi photo editing karni ho to jaruri nahi hai ki aapke paas computer ya koi photo editing software ho, Agar aapke paas ek android phone hai to aap badhi hi asani se apni photo ko edit kar sakte hai.
Aj ke samay me playstore me kai aise free photo editing apps hai, jinka use kar aap apne photo ko asani se edit kar sakte hai or aapko in app ko use karne ke liye kisi khas knowledge ki jarurt bhi nhi padti. Simple aap drag and drop kar photos ko edit kar sakte hai.
Agar aap playstore me search karenge best photo editing app to aapko kai sare app mil jayenge but un sabhi apps me wo sabhi features, tools nahi hote jo ki humhe photo editing ke liye jarurat hoti hai.
Aise me humhe ye nahi pata ki kaun sa app best hai or kaun sa nahi, to aj mai is post me ese b est 5 photo editing apps ke bare me bataunga, jo jyada popular or sabse jyada use kiye jane wale apps me se hai, or in app me wo sabhi features available hai jinki jarurat humhe photo editing me padti hai. In app ka use kar aap apne photos ko advanced or professional tarike se edit kar sakte hai.
To chaliye jante hai in best 5 photo editing apps or unke features ke bare me.
- Top 10 Best Useful Android Apps In Hindi – Best Mobile Apps
- Top 5 Useful Mobile Tips and Tricks In Hindi – Phone Tips & Tricks
5 Best Photo Editing Apps
1. Facetone – Selfie Photo Editor
Facetone ek bahut hi badhiya photo editing app hai, Agar aap selfie lene ke shaukin hai to aapke liye ye best app ho sakti hai, Is app ki madad se aap skin, face se related sari editing kar sakte hai, Jaise ki Teeth whitening, Face smooth, Pimple remove, Eye brighter etc. sare features is app me available hai, Is app se aap apni photo ko same photoshop ki tarf edit kar professional bana sakte hai.
Is app ko ab tak 1 million se jyada logo ne download kiya hai, or isko playstore me 4.4 ki rating mili hai. Ap is app ko ek bar jarur se try kare, Aapko jarur pasand ayega.
Download Facetone – Selfie Photo Editor
2. Pixl – Free Photo Editor
Yah bhi ek bahut hi popular photo editing app hai, Yah ek bahut purani app hai, Lekin is app ko time to time update or new new features ko add karne ke karan is app ki popularity din pe din badti ja rahi hai, Is app me aapko wo sabhi tools mil jayenge jo ki ek achhi photo editing ke liye jarurat hoti hai, Jaise ki aap is app se apni photos ka collages bana sakte hai, Photos me text add kar sakte hai, Background remove kar sakte hai etc kai sare features is app me aapko mil jayenge.
Is app ke ab tak 50 millions download hai, or is app ko playstore me 4.4 ki rating mili hui hai.
Download Pixl – Free Photo Editor
3. Snapseed
Is app ko google company ne develop kiya hai, Is app ki madad se aap apne photo ko ek professional ki tarh edit kar sakte hai or photo ko ek professional look de sakte hai, Is app me aapko kai sare tool mil jayeneg jaise ki blur, perspective, white balance, text add karna, crop etc, aise bahut sare option aapko is app me mil jayenge.
Is app ko ab tak 10 millions logo ne download kiya or is app ko 4.4 ki rating mili hui hai.
4. Photo Effects Pro
Yah app un logo ke liye jyada useful sabit ho sakti hai, jinhe apne photos me filters, stickers or effect lagana pasand hai, Is app me aapko kai tarike ke filters, stickers mil jayenge, Jaise ki oil painting filter etc. aise kai sare filters aapko is app me mil jayenge jinhe aap apne photos me add kar apne photo ko attractive bana sakte hai. Yah ek acha simple photo editing app hai jo aapke sabhi jarurat ko pura karta hai.
Photo effect pro app ko 50 millions se jyada logo ne download kiya hai.
5. Photo Lap Picture Editor
Yah ek bahut hi badhiya photo editing app hai, Is app me aapko bahut sare Effects, Filters, Frames mil jayenge jinka use kar aap apne photo ko or bhi badhiya bana sakte hai, Is app me aapko wo sab editing ke features mil jayenge jo ki ek advanced or professional photo editor software me hote hai.
Photo Lap Picture Editor aap ke 50 millions download hai, or is app ki 4.5 ki rating hai.
download Photo Lap Picture editor
To ye the best 5 photo editing apps, Agar aapko is post se related koi bhi doubt ya question ho to aap niche comment me puch sakte hai, Or agar aapko ye post achi lagi ho to ise aap apne friends ke sath social site me share jarur kare.